Paidāish 7
sailāb kā aġāz
1phir rabb ne nūh se kahā, “apne gharāne samet kashtī meṅ dāḵẖil ho jā, kyūṅki is daur ke logoṅ meṅ se maiṅ ne sirf tujhe rāstbāz pāyā hai. 2har qism ke pāk jānvaroṅ meṅ se sāt sāt nar-o-mādā ke joṛe jabki nāpāk jānvaroṅ meṅ se nar-o-mādā kā sirf ek ek joṛā sāth le jānā. 3isī tarah har qism ke par rakhne vāloṅ meṅ se sāt sāt nar-o-mādā ke joṛe bhī sāth le jānā tāki un kī nasleṅ bachī raheṅ. 4ek hafte ke bād maiṅ chālīs din aur chālīs rāt mutvātir bārish barasāūṅgā. is se maiṅ tamām jāndāroṅ ko rū-e-zamīn par se miṭā ḍālūṅgā, agarchi maiṅ hī ne unheṅ banāyā hai.”
5nūh ne vaisā hī kiyā jaisā rabb ne hukm diyā thā. 6vah 600 sāl kā thā jab yah tūfānī sailāb zamīn par āyā.
7tūfānī sailāb se bachne ke liye nūh apne beṭoṅ, apnī bīvī aur bahūoṅ ke sāth kashtī meṅ savār huā. 8zamīn par phirne vāle pāk aur nāpāk jānvar, par rakhne vāle aur tamām reṅgne vāle jānvar bhī āe. 9nar-o-mādā kī sūrat meṅ do do ho kar vah nūh ke pās ā kar kashtī meṅ savār hue. sab kuchh vaisā hī huā jaisā allāh ne nūh ko hukm diyā thā. 10ek hafte ke bād tūfānī sailāb zamīn par ā gayā.
11yah sab kuchh us vaqt huā jab nūh 600 sāl kā thā. dūsre mahīne ke 17veṅ din zamīn kī gaharāiyoṅ meṅ se tamām chashme phūṭ nikle aur āsmān par pānī ke darīche khul gae. 12chālīs din aur chālīs rāt tak mūslādhār bārish hotī rahī. 13jab bārish shurū huī to nūh, us ke beṭe sim, hām aur yāfat, us kī bīvī aur bahūeṅ kashtī meṅ savār ho chuke the. 14un ke sāth har qism ke jaṅglī jānvar, maveshī, reṅgne aur par rakhne vāle jānvar the. 15har qism ke jāndār do do ho kar nūh ke pās ā kar kashtī meṅ savār ho chuke the. 16nar-o-mādā āe the. sab kuchh vaisā hī huā thā jaisā allāh ne nūh ko hukm diyā thā. phir rabb ne darvāze ko band kar diyā.
17chālīs din tak tūfānī sailāb jārī rahā. pānī chaṛhā to us ne kashtī ko zamīn par se uṭhā liyā. 18pānī zor pakaṛ kar bahut baṛh gayā, aur kashtī us par tairne lagī. 19āḵẖirkār pānī itnā ziyādā ho gayā ki tamām ūṅche pahāṛ bhī us meṅ chhup gae, 20balki sab se ūṅchī choṭī par pānī kī gaharāī 20 fuṭ thī. 21zamīn par rahane vālī har maḵẖlūq halāk huī. parinde, maveshī, jaṅglī jānvar, tamām jāndār jin se zamīn bharī huī thī aur insān, sab kuchh mar gayā. 22zamīn par har jāndār maḵẖlūq halāk huī. 23yūṅ har maḵẖlūq ko rū-e-zamīn par se miṭā diyā gayā. insān, zamīn par phirne aur reṅgne vāle jānvar aur parinde, sab kuchh ḵẖatm kar diyā gayā. sirf nūh aur kashtī meṅ savār us ke sāthī bach gae.
24sailāb ḍeṛh sau din tak zamīn par ġālib rahā.