Hosea 1
nabī kā ḵẖāndān isrāīl kī alāmat hai
1zail meṅ rabb kā vah kalām darj hai jo un dinoṅ meṅ hosea bin bairī par nāzil huā jab uzziyāh, yūtām, āḵẖaz aur hizaqiyāh yahūdāh ke bādshāh aur yarubiām bin yūās isrāīl kā bādshāh thā.
2jab rabb pahalī bār hosea se hamkalām huā to us ne hukm diyā, “jā, zinākār aurat se shādī kar aur zinākār bacche paidā kar, kyūṅki mulk rabb kī pairvī chhoṛ kar musalsal zinā kartā rahatā hai.” 3chunāṅche hosea kī jumar bint diblāim se shādī huī. us kā pāoṅ bhārī huā, aur beṭā paidā huā. 4tab rabb ne hosea se kahā, “us kā nām yazrael rakhnā. kyūṅki jald hī maiṅ yāhū ke ḵẖāndān ko yazrael meṅ us qatl-o-ġārat kī sazā dūṅgā jo us se sarzad huī. sāth sāth maiṅ isrāīlī bādshāhī ko bhī ḵẖatm karūṅgā. 5us din maiṅ maidān-e-yazrael meṅ isrāīl kī kamān ko toṛ ḍālūṅgā.”
6is ke bād jumar dubārā ummīd se huī. is bār beṭī paidā huī. rabb ne hosea se kahā, “is kā nām loruhāmā yānī ‘jis par raham na huā ho’ rakhnā, kyūṅki āindā maiṅ isrāīliyoṅ par raham nahīṅ karūṅgā balki vah mere raham se sarāsar maharūm raheṅge.
7lekin yahūdāh ke bāshindoṅ par maiṅ raham karke unheṅ chhuṭkārā dūṅgā. maiṅ unheṅ kamān, talvār, jaṅg ke hathiyāroṅ, ghoṛoṅ yā ghuṛasavāroṅ kī mārifat chhuṭkārā nahīṅ dūṅgā balki maiṅ jo rabb un kā ḵẖudā hūṅ ḵẖud hī unheṅ najāt dūṅgā.”
8loruhāmā kā dūdh chhuṛāne par jumar phir hāmilā huī. is martabā beṭā paidā huā. 9tab rabb ne farmāyā, “is kā nām loammī yānī ‘merī qaum nahīṅ’ rakhnā. kyūṅki tum merī qaum nahīṅ, aur maiṅ tumhārā ḵẖudā nahīṅ hūṅgā.
10lekin vah vaqt āegā jab isrāīlī samundar kī ret jaise beshumār hoṅge. na un kī paimāish kī jā sakegī, na unheṅ ginā jā sakegā. tab jahāṅ un se kahā gayā ki ‘tum merī qaum nahīṅ’ vahāṅ vah ‘zindā ḵẖudā ke farzand’ kahalāeṅge. 11tab yahūdāh aur isrāīl ke log muttahid ho jāeṅge aur mil kar ek rāhanumā muqarrar kareṅge. phir vah mulk meṅ se nikal āeṅge, kyūṅki yazrael [a] yānī allāh bīj botā hai. kā din azīm hogā