Hosea 11
bevafāī ke bāvujūd allāh kī shafqat
1rabb farmātā hai, “isrāīl abhī laṛkā thā jab maiṅ ne use piyār kiyā, jab maiṅ ne apne beṭe ko misr se bulāyā. 2lekin bād meṅ jitnā hī maiṅ unheṅ bulātā rahā utnā hī vah mujh se dūr hote gae. vah bāl devtāoṅ ke liye jānvar chaṛhāne, butoṅ ke liye baḵẖūr jalāne lage. 3maiṅ ne ḵẖud isrāīl ko chalne kī tarbiyat dī, bār bār unheṅ god meṅ uṭhā kar liye phirā. lekin vah na samjhe ki maiṅ hī unheṅ shifā dene vālā hūṅ. 4maiṅ unheṅ khaiṅchtā rahā, lekin aise rassoṅ se nahīṅ jo insān bardāsht na kar sake balki shafqat bhare rassoṅ se. maiṅ ne un ke gale par kā jūā halkā kar diyā aur narmī se unheṅ ḵẖurāk khilāī.
5kyā unheṅ mulk-e-misr vāpas nahīṅ jānā paṛegā? balki asūr hī un kā bādshāh banegā, is liye ki vah mere pās vāpas āne ke liye tayyār nahīṅ. 6talvār un ke shaharoṅ meṅ ghūm ghūm kar ġaibdānoṅ ko halāk karegī aur logoṅ ko un ke ġalat mashvaroṅ ke sabab se khātī jāegī. 7lekin merī qaum mujhe tark karne par tulī huī hai. jab use ūpar allāh kī taraf dekhne ko kahā jāe to us meṅ se koī bhī us taraf rujū nahīṅ kartā.
8ai isrāīl, maiṅ tujhe kis tarah chhoṛ saktā hūṅ? maiṅ tujhe kis tarah dushman ke havāle kar saktā, kis tarah admā kī tarah dūsroṅ ke qabze meṅ chhoṛ saktā, kis tarah zaboīm kī tarah tabāh kar saktā hūṅ? merā irādā sarāsar badal gayā hai, maiṅ tujh par shafqat karne ke liye bechain hūṅ. 9na maiṅ apnā saḵẖt ġazab nāzil karūṅgā, na dubārā isrāīl ko barbād karūṅgā. kyūṅki maiṅ insān nahīṅ balki ḵẖudā hūṅ, vah quddūs jo tere darmiyān sukūnat kartā hai. maiṅ ġazab meṅ nahīṅ āūṅgā. 10us vaqt vah rabb ke pīchhe hī chaleṅge. tab vah sherbabar kī tarah dahāṛegā. aur jab dahāṛegā to us ke farzand maġrib se larazte hue vāpas āeṅge. 11vah parindoṅ kī tarah phaṛphaṛāte hue misr se āeṅge, thartharāte kabūtaroṅ kī tarah asūr se lauṭeṅge. phir maiṅ unheṅ un ke gharoṅ meṅ basā dūṅgā. yah merā, rabb kā farmān hai.
12isrāīl ne mujhe jhūṭ se gher liyā, fareb se merā muhāsarā kar liyā hai. lekin yahūdāh bhī mazbūtī se allāh ke sāth nahīṅ hai balki āvārā phirtā hai, hālāṅki quddūs ḵẖudā vafādār hai.”