Hosea 12

sarkashī kī rām kahānī

1isrāīl havā charne kī koshish kar rahā hai, pūrā din vah mashriqī lū ke pīchhe bhāgtā rahatā hai. us ke jhūṭ aur zulm meṅ izāfā hotā jā rahā hai. asūr se ahd bāṅdhne ke sāth sāth vah misr ko bhī zaitūn kā tel bhej detā hai.

2rabb adālat meṅ yahūdāh se bhī laṛegā. vah yāqūb [a] yāqūb se murād isrāīl hai. ko us ke chāl-chalan kī sazā, us ke āmāl kā munāsib ajr degā. 3kyūṅki māṅ ke peṭ meṅ hī us ne apne bhāī kī eṛī pakaṛ kar use dhokā diyā. jab bāliġ huā to allāh se laṛā 4balki farishte se laṛte laṛte us par ġālib āyā. phir us ne rote rote us se iltijā kī ki mujh par raham kar. bād meṅ yāqūb ne allāh ko bait-el meṅ pāyā, aur vahāṅ ḵẖudā us se hamkalām huā. 5rabb jo lashkaroṅ kā ḵẖudā hai aur jis kā nām rabb hī hai, us ne farmāyā, 6“apne ḵẖudā ke pās vāpas ā kar raham aur insāf qāim rakh! kabhī apne ḵẖudā par ummīd rakhne se bāz na ā.”

7isrāīl tājir hai jis ke hāth meṅ ġalat tarāzū hai aur jise logoṅ se nājāiz fāidā uṭhāne kā baṛā shauq hai. 8vah kahatā hai, “maiṅ amīr ho gayā hūṅ, maiṅ ne kasrat kī daulat pāī hai. koī sābit nahīṅ kar sakegā ki mujh se yah tamām milkiyat hāsil karne meṅ koī qusūr yā gunāh sarzad huā hai.”

9“lekin maiṅ, rabb jo misr se tujhe nikālte vaqt āj tak terā ḵẖudā hūṅ maiṅ yah nazar’andāz nahīṅ karūṅgā. maiṅ tujhe dubārā ḵẖaimoṅ meṅ basne dūṅgā. yūṅ hogā jis tarah un pahale dinoṅ meṅ huā jab isrāīlī merī parastish karne ke liye registān meṅ jamā hote the. 10maiṅ bār bār nabiyoṅ kī mārifat tum se hamkalām huā, maiṅ ne unheṅ mut’addid royāeṅ dikhāīṅ aur un ke zarīe tumheṅ tamsīleṅ sunāīṅ.”

butparastī kā ajr zavāl hai

11kyā jiliād bedīn hai? us ke log nākārā hī haiṅ! jiljāl meṅ logoṅ ne sāṅḍ qurbān kie haiṅ, is liye un kī qurbāngāheṅ malbe ke ḍher ban jāeṅgī. vah bīj bone ke liye tayyārshudā khet ke kināre par lage patthar ke ḍher jaisī baneṅgī.

12yāqūb ko bhāg kar mulk-e-arām meṅ panāh lenī paṛī. vahāṅ vah bīvī milne ke liye mulāzim ban gayā, aurat ke bāis us ne bheṛ-bakriyoṅ kī gallābānī kī. 13lekin bād meṅ rabb nabī kī mārifat isrāīl ko misr se nikāl lāyā aur nabī ke zarīe us kī gallābānī kī. 14to bhī isrāīl ne use baṛā taish dilāyā. ab unheṅ un kī qatl-o-ġārat kā ajr bhugatnā paṛegā. unhoṅ ne apne āqā kī tauhīn kī hai, aur ab vah unheṅ munāsib sazā degā.

[a] yāqūb se murād isrāīl hai.