Hosea 3

jumar kī tarah isrāīl ko vāpas ḵẖarīdā jāegā

1rabb mujh se hamkalām huā, “jā, apnī bīvī ko dubārā piyār kar, hālāṅki us kā āshiq hai jis se us ne zinā kiyā hai. use yūṅ piyār kar jis tarah rabb isrāīliyoṅ ko piyār kartā hai, hālāṅki un kā ruḵẖ dīgar mābūdoṅ kī taraf hai aur unheṅ un hī kī aṅgūr kī ṭikkiyāṅ pasand haiṅ.”

2tab maiṅ ne chāṅdī ke 15 sikke aur jau ke 195 kilogrām de kar use vāpas ḵẖarīd liyā. 3maiṅ ne us se kahā, “ab tujhe baṛe arse tak mere sāth rahanā hai. itne meṅ na zinā kar, na kisī ādmī se sohbat rakh. maiṅ bhī baṛī der tak tujh se hambistar nahīṅ hūṅgā.”

4isrāīl kā yahī hāl hogā. baṛī der tak na un kā bādshāh hogā, na rāhanumā, na qurbānī kā intizām, na yādgār patthar, na imām kā bālāposh. un ke pās but tak bhī nahīṅ hoṅge. 5is ke bād isrāīlī vāpas ā kar rabb apne ḵẖudā aur dāūd apne bādshāh ko talāsh kareṅge. āḵẖirī dinoṅ meṅ vah larazte hue rabb aur us kī bhalāī kī taraf rujū kareṅge.