Hosea 5

isrāīl aur yahūdāh donoṅ qusūrvār haiṅ

1ai imāmo, suno merī bāt! ai isrāīl ke gharāne, tavajjuh de! ai shāhī ḵẖāndān, mere paiġām par ġaur kar!

tum par faislā hai, kyūṅki apnī butparastī se tum ne misfāh meṅ phaṅdā lagā diyā, tabūr pahāṛ par jāl bichhā diyā 2aur shittīm meṅ gaṛhā khudvā liyā hai. ḵẖabardār! maiṅ tum sab ko sazā dūṅgā.

3maiṅ to isrāīl ko ḵẖūb jāntā hūṅ, vah mujh se chhupā nahīṅ rah saktā. isrāīl ab ismatafarosh ban gayā hai, vah nāpāk hai. 4un kī burī harkateṅ unheṅ un ke ḵẖudā ke pās vāpas āne nahīṅ detīṅ. kyūṅki un ke andar zinākārī kī rūh hai, aur vah rabb ko nahīṅ jānte. 5isrāīl kā takabbur us ke ḵẖilāf gavāhī detā hai, aur vah apne qusūr ke bāis gir jāegā. yahūdāh bhī us ke sāth gir jāegā.

6tab vah apnī bheṛ-bakriyoṅ aur gāy-bailoṅ ko le kar rabb ko talāsh kareṅge, lekin befāidā. vah use pā nahīṅ sakeṅge, kyūṅki vah unheṅ chhoṛ kar chalā gayā hai. 7unhoṅ ne rabb se bevafā ho kar nājāiz aulād paidā kī hai. ab nayā chāṅd unheṅ un kī maurūsī zamīnoṅ samet haṛap kar legā.

apnī qaum par allāh kā ilzām

8jibiā meṅ narsiṅgā phūṅko, rāmā meṅ turam bajāo! bait-āvan meṅ jaṅg ke nāre buland karo. ai binyamīn, dushman tere pīchhe paṛ gayā hai! 9jis din maiṅ sazā dūṅgā us din isrāīl vīrān-o-sunsān ho jāegā. dhyān do ki maiṅ ne isrāīlī qabīloṅ ke bāre meṅ qābil-e-etimād bāteṅ batāī haiṅ.

10yahūdāh ke rāhanumā un jaise ban gae haiṅ jo nājāiz taur par apnī zamīn kī hudūd baṛhā dete haiṅ. javāb meṅ maiṅ apnā ġazab mūslādhār bārish kī tarah un par nāzil karūṅgā. 11isrāīl par is liye zulm ho rahā hai aur us kā haq mārā jā rahā hai ki vah bemānī butoṅ ke pīchhe bhāgne par tulā huā hai. 12maiṅ isrāīl ke liye pīp aur yahūdāh ke liye saṛāhaṭ kā bāis banūṅgā.

13isrāīl ne apnī bīmārī dekhī aur yahūdāh ne apne nāsūr par ġaur kiyā. tab isrāīl ne asūr kī taraf rujū kiyā aur asūr ke azīm bādshāh ko paiġām bhej kar us se madad māṅgī. lekin vah tumheṅ shifā nahīṅ de saktā, vah tumhāre nāsūr kā ilāj nahīṅ kar saktā.

14kyūṅki maiṅ sherbabar kī tarah isrāīl par ṭūṭ paṛūṅgā aur javān sherbabar kī tarah yahūdāh par jhapaṭ paṛūṅgā. maiṅ unheṅ phāṛ kar apne sāth ghasīṭ le jāūṅgā, aur koī unheṅ nahīṅ bachāegā. 15phir maiṅ apne ghar vāpas jā kar us vaqt tak un se dūr rahūṅgā jab tak vah apnā qusūr taslīm karke mere chihare ko talāsh na kareṅ. kyūṅki jab vah musībat meṅ phaṅs jāeṅge tab hī mujhe talāsh kareṅge.”