Hosea 6

1us vaqt vah kaheṅge, “āo, ham rabb ke pās vāpas chaleṅ. kyūṅki usī ne hameṅ phāṛā, aur vahī hameṅ shifā bhī degā. usī ne hamārī piṭāī kī, aur vahī hamārī marham-paṭṭī bhī karegā. 2do din ke bād vah hameṅ nae sire se zindā karegā aur tīsre din hameṅ dubārā uṭhā khaṛā karegā tāki ham us ke huzūr zindagī guzāreṅ. 3āo, ham use jān leṅ, ham pūrī jidd-o-jahd ke sāth rabb ko jānne ke liye koshāṅ raheṅ. vah zarūr ham par zāhir hogā. yah utnā yaqīnī hai jitnā sūraj kā rozānā tulū honā yaqīnī hai. jis tarah mausam-e-bahār kī tez bārish zamīn ko serāb kartī hai usī tarah allāh bhī hamāre pās āegā.”

4“ai isrāīl, maiṅ tere sāth kyā karūṅ? ai yahūdāh, maiṅ tere sāth kyā karūṅ? tumhārī muhabbat subah kī dhund jaisī ārizī hai. dhūp meṅ os kī tarah vah jald hī kāfūr ho jātī hai. 5isī liye maiṅ ne apne nabiyoṅ kī mārifat tumheṅ paṭaḵẖ diyā, apne muṅh ke alfāz se tumheṅ mār ḍālā hai. mere insāf kā nūr sūraj kī tarah hī tulū hotā hai. 6kyūṅki maiṅ qurbānī nahīṅ balki raham pasand kartā hūṅ, bhasm hone vālī qurbāniyoṅ kī nisbat mujhe yah pasand hai ki tum allāh ko jān lo.

adālat kī fasal pak gaī hai

7vah ādam shahar meṅ ahd toṛ kar mujh se bevafā ho gae. 8jiliād shahar mujrimoṅ se bhar gayā hai, har taraf ḵẖūn ke dāġ haiṅ. 9imāmoṅ ke jathe ḍākuoṅ kī mānind ban gae haiṅ. kyūṅki vah sikam ko pahuṅchāne vāle rāste par musāfiroṅ kī tāk lagā kar unheṅ qatl karte haiṅ. hāṅ, vah sharmanāk harkatoṅ se gurez nahīṅ karte. 10maiṅ ne isrāīl meṅ aisī bāteṅ dekhī haiṅ jin se roṅgṭe khaṛe ho jāte haiṅ. kyūṅki isrāīl zinā kartā hai, vah apne āp ko nāpāk kartā hai. 11lekin yahūdāh par bhī adālat kī fasal pakne vālī hai.

jab kabhī maiṅ apnī qaum ko bahāl karke