Hosea 7

1isrāīl ko shifā denā chāhatā hūṅ to isrāīl kā qusūr aur sāmriyā kī burāī sāf zāhir ho jātī hai. kyūṅki fareb denā un kā peshā hī ban gayā hai. chor gharoṅ meṅ naqab lagāte jabki bāhar galī meṅ ḍākūoṅ ke jathe logoṅ ko lūṭ lete haiṅ. 2lekin vah ḵẖayāl nahīṅ karte ki mujhe un kī tamām burī harkatoṅ kī yād rahatī hai. vah nahīṅ samajhte ki ab vah apne ġalat kāmoṅ se ghire rahate haiṅ, ki yah gunāh har vaqt mujhe nazar āte haiṅ. 3apnī burāī se vah bādshāh ko ḵẖush rakhte haiṅ, un ke jhūṭ se buzurg lutf’andoz hote haiṅ. 4sab ke sab zinākār haiṅ. vah us tapte tanūr kī mānind haiṅ jo itnā garm hai ki nānbāī ko use mazīd chheṛne kī zarūrat nahīṅ. agar vah āṭā gūṅdh kar us ke ḵẖamīr hone tak intizār bhī kare to bhī tanūr itnā garm rahatā hai ki roṭī pak jāegī. 5hamāre bādshāh ke jashn par rāhanumā mai pī pī kar mast ho jāte haiṅ, aur vah kufr bakne vāloṅ se hāth milātā hai. 6yah log qarīb ā kar tāk meṅ baiṭh jāte haiṅ jabki un ke dil tanūr kī tarah tapte haiṅ. pūrī rāt ko un kā ġussā soyā rahatā hai, lekin subah ke vaqt vah bedār ho kar sholāzan āg kī tarah dahakne lagtā hai. 7sab tanūr kī tarah tapte tapte apne rāhanumāoṅ ko haṛap kar lete haiṅ. un ke tamām bādshāh gir jāte haiṅ, aur ek bhī mujhe nahīṅ pukārtā.

8isrāīl dīgar aqvām ke sāth mil kar ek ho gayā hai. ab vah us roṭī kī mānind hai jo tave par sirf ek taraf se pak gaī hai, dūsrī taraf se kacchī hī hai. 9ġairmulkī us kī tāqat khā khā kar use kamzor kar rahe haiṅ, lekin abhī tak use patā nahīṅ chalā. us ke bāl safed ho gae haiṅ, lekin abhī tak use mālūm nahīṅ huā. 10isrāīl kā takabbur us ke ḵẖilāf gavāhī detā hai. to bhī na vah rabb apne ḵẖudā ke pās vāpas ā jātā, na use talāsh kartā hai.

11isrāīl nāsamajh kabūtar kī mānind hai jise āsānī se varġalāyā jā saktā hai. pahale vah misr ko madad ke liye bulātā, phir asūr ke pās bhāg jātā hai. 12lekin jūṅ hī vah kabhī idhar kabhī idhar dauṛeṅge to maiṅ un par apnā jāl ḍālūṅgā, unheṅ uṛte hue parindoṅ kī tarah nīche utārūṅgā. maiṅ un kī yūṅ tādīb karūṅgā jis tarah un kī jamāat ko āgāh kiyā gayā hai.

13un par afsos, kyūṅki vah mujh se bhāg gae haiṅ. un par tabāhī āe, kyūṅki vah mujh se sarkash ho gae haiṅ. maiṅ fidyā de kar unheṅ chhuṛānā chāhatā thā, lekin javāb meṅ vah mere bāre meṅ jhūṭ bolte haiṅ. 14vah ḵẖulūsdilī se mujh se iltijā nahīṅ karte. vah bistar par leṭe leṭe “hāy hāy” karte aur ġallā aur aṅgūr ko hāsil karne ke liye apne āp ko zaḵẖmī karte haiṅ. lekin mujh se vah dūr rahate haiṅ.

15maiṅ hī ne unheṅ tarbiyat dī, maiṅ hī ne unheṅ taqviyat dī, lekin vah mere ḵẖilāf bure mansūbe bāṅdhte haiṅ. 16vah taubā karke vāpas ā jāte haiṅ, lekin mere pās nahīṅ, lihāzā vah ḍhīlī kamān jaise bekār ho gae haiṅ. chunāṅche un ke rāhanumā kufr bakne ke sabab se talvār kī zad meṅ ā kar halāk ho jāeṅge. is bāt ke bāis vah misr meṅ mazāq kā nishānā ban jāeṅge.