Yashāyāh 54
rabb ne yarūshalam ko dubārā qabūl kar liyā hai
1rabb farmātā hai, “ḵẖushī ke nāre lagā, tū jo beaulād hai, jo bacche ko janm hī nahīṅ de saktī. buland āvāz se shādiyānā bajā, tū jise paidāish kā dard na huā. kyūṅki ab tark kī huī aurat ke bacche shādīshudā aurat ke bacchoṅ se ziyādā haiṅ. 2apne ḵẖaime ko baṛā banā, us ke parde har taraf bichhā! bachat mat karnā! ḵẖaime ke rasse lambe lambe karke meḵẖeṅ mazbūtī se zamīn meṅ ṭhoṅk de. 3kyūṅki tū tezī se dāīṅ aur bāīṅ taraf phail jāegī, aur terī aulād dīgar qaumoṅ par qabzā karke tabāhashudā shaharoṅ ko az sar-e-nau ābād karegī.
4mat ḍarnā, terī rusvāī nahīṅ hogī. sharmasār na ho, terī behuramtī nahīṅ hogī. ab tū apnī javānī kī sharmindagī bhūl jāegī, tere zahan se bevā hone kī zillat utar jāegī. 5kyūṅki terā ḵẖāliq terā shauhar hai, rabb-ul-afwāj us kā nām hai, aur terā chhuṛāne vālā isrāīl kā quddūs hai, jo pūrī duniyā kā ḵẖudā kahalātā hai.”
6terā ḵẖudā farmātā hai, “tū matrūkā aur dil se majrūh bīvī kī mānind hai, us aurat kī mānind jis ke shauhar ne use radd kiyā, go us kī shādī us vaqt huī jab kuṅvārī hī thī. lekin ab maiṅ, rabb ne tujhe bulāyā hai. 7ek hī lamhe ke liye maiṅ ne tujhe tark kiyā, lekin ab baṛe raham se tujhe jamā karūṅgā. 8maiṅ ne apne ġazab kā pūrā zor tujh par nāzil karke pal bhar ke liye apnā chiharā tujh se chhupā liyā, lekin ab abdī shafqat se tujh par raham karūṅgā.” rabb terā chhuṛāne vālā yah farmātā hai.
9“baṛe sailāb ke bād maiṅ ne nūh se qasam khāī thī ki āindā sailāb kabhī pūrī zamīn par nahīṅ āegā. isī tarah ab maiṅ qasam khā kar vādā kartā hūṅ ki āindā na maiṅ kabhī tujh se nārāz hūṅgā, na tujhe malāmat karūṅgā. 10go pahāṛ haṭ jāeṅ aur pahāṛiyāṅ jumbish khāeṅ, lekin merī shafqat tujh par se kabhī nahīṅ haṭegī, merā salāmatī kā ahd kabhī nahīṅ hilegā.” yah rabb kā farmān hai jo tujh par taras khātā hai.
nayā shahar yarūshalam
11“bechārī beṭī yarūshalam! shadīd tūfān tujh par se guzar gae haiṅ, aur koī nahīṅ hai jo tujhe tasallī de. dekh, maiṅ terī dīvāroṅ ke patthar mazbūt chūne se joṛ dūṅgā aur terī bunyādoṅ ko saṅg-e-lājvard [a] lapis lazuli se rakh dūṅgā. 12maiṅ terī dīvāroṅ ko yāqūt, tere darvāzoṅ ko āb-e-bahar [b] berayal aur terī tamām fasīl ko qīmtī javāhir se tāmīr karūṅgā. 13tere tamām farzand rabb se tālīm pāeṅge, aur terī aulād kī salāmatī azīm hogī. 14tujhe insāf kī mazbūt bunyād par rakhā jāegā, chunāṅche dūsroṅ ke zulm se dūr rah, kyūṅki ḍarne kī zarūrat nahīṅ hogī. dahshatzadā na ho, kyūṅki dahshat khāne kā sabab tere qarīb nahīṅ āegā. 15agar koī tujh par hamlā kare bhī to yah merī taraf se nahīṅ hogā, is liye har hamlāāvar shikast khāegā.
16dekh, maiṅ hī us lohār kā ḵẖāliq hūṅ jo havā de kar koiloṅ ko dahakā detā hai tāki kām ke liye mauzūṅ hathiyār banā le. aur maiṅ hī ne tabāh karne vāle ko ḵẖalaq kiyā tāki vah barbādī kā kām anjām de. 17chunāṅche jo bhī hathiyār tujh par hamlā karne ke liye tayyār ho jāe vah nākām hogā, aur jo bhī zabān tujh par ilzām lagāe use tū mujrim sābit karegā. yahī rabb ke ḵẖādimoṅ kā maurūsī hissā hai, maiṅ hī un kī rāstbāzī barqarār rakhūṅgā.” rabb ḵẖud yah farmātā hai.