Yashāyāh 55
rabb ke pās āo tāki zindagī pāo
1“kyā tum piyāse ho? āo, sab pānī ke pās āo! kyā tumhāre pās paise nahīṅ? udhar āo, saudā ḵẖarīd kar khānā khāo. yahāṅ kī mai aur dūdh muft hai. āo, use paise die baġair ḵẖarīdo. 2us par paise kyūṅ ḵẖarch karte ho jo roṭī nahīṅ hai? jo ser nahīṅ kartā us ke liye mehanat-mashaqqat kyūṅ karte ho? suno, suno merī bāt! phir tum acchhī ḵẖurāk khāoge, behtarīn khāne se lutf’andoz hoge. 3kān lagā kar mere pās āo! suno to jīte rahoge.
maiṅ tumhāre sāth abdī ahd bāṅdhūṅgā, tumheṅ un anmiṭ meharbāniyoṅ se navāzūṅgā jin kā vādā dāūd se kiyā thā. 4dekh, maiṅ ne muqarrar kiyā ki vah aqvām ke sāmne merā gavāh ho, ki aqvām kā raīs aur hukmarān ho. 5dekh, tū aisī qaum ko bulāegā jise tū nahīṅ jāntā, aur tujh se nāvāqif qaum rabb tere ḵẖudā kī ḵẖātir tere pās dauṛī chalī āegī. kyūṅki jo isrāīl kā quddūs hai us ne tujhe shān-o-shaukat atā kī hai.”
merā kalām betāsīr nahīṅ rahatā
6abhī rabb ko talāsh karo jabki use pāyā jā saktā hai. abhī use pukāro jabki vah qarīb hī hai. 7bedīn apnī burī rāh aur sharīr apne bure ḵẖayālāt chhoṛe. vah rabb ke pās vāpas āe to vah us par raham karegā. vah hamāre ḵẖudā ke pās vāpas āe, kyūṅki vah farāḵẖdilī se muāf kar detā hai.
8kyūṅki rabb farmātā hai, “mere ḵẖayālāt aur tumhāre ḵẖayālāt meṅ aur merī rāhoṅ aur tumhārī rāhoṅ meṅ baṛā farq hai. 9jitnā āsmān zamīn se ūṅchā hai utnī hī merī rāheṅ tumhārī rāhoṅ aur mere ḵẖayālāt tumhāre ḵẖayālāt se buland haiṅ.
10bārish aur barf par ġaur karo! zamīn par paṛne ke bād yah ḵẖālī hāth vāpas nahīṅ ātī balki zamīn ko yūṅ serāb kartī hai ki paude phūṭne aur phalne phūlne lagte haiṅ balki pakte pakte bīj bone vāle ko bīj aur bhūke ko roṭī muhayyā karte haiṅ. 11mere muṅh se niklā huā kalām bhī aisā hī hai. vah ḵẖālī hāth vāpas nahīṅ āegā balki merī marzī pūrī karegā aur us meṅ kāmyāb hogā jis ke liye maiṅ ne use bhejā thā.
12kyūṅki tum ḵẖushī se nikloge, tumheṅ salāmatī se lāyā jāegā. pahāṛ aur pahāṛiyāṅ tumhāre āne par bāġ bāġ ho kar shādiyānā bajāeṅgī, aur maidān ke tamām daraḵẖt tāliyāṅ bajāeṅge. 13kāṅṭedār jhāṛī kī bajāy jūnīpar kā daraḵẖt ugegā, aur bicchhūbūṭī kī bajāy mehaṅdī phale phūlegī. yūṅ rabb ke nām ko jalāl milegā, aur us kī qudrat kā abdī aur anmiṭ nishān qāim hogā.”