Yashāyāh 62
yarūshalam kī bahālī
1siyyūn kī ḵẖātir maiṅ ḵẖāmosh nahīṅ rahūṅgā, yarūshalam kī ḵẖātir tab tak ārām nahīṅ karūṅgā jab tak us kī rāstī tulū-e-subah kī tarah na chamke aur us kī najāt mash’al kī tarah na bhaṛke.
2aqvām terī rāstī dekheṅgī, tamām bādshāh terī shān-o-shaukat kā mushāhadā kareṅge. us vaqt tujhe nayā nām milegā, aisā nām jo rabb kā apnā muṅh mut’ayyin karegā. 3tū rabb ke hāth meṅ shāndār tāj aur apne ḵẖudā ke hāth meṅ shāhī kulāh hogī. 4āindā log tujhe na kabhī ‘matrūkā’ na tere mulk ko ‘vīrān-o-sunsān’ qarār deṅge balki tū merā lutf aur terā mulk byāhī kahalāegā. kyūṅki rabb tujh se lutf’andoz hogā, aur terā mulk shādīshudā hogā. 5jis tarah javān ādmī kuṅvārī se shādī kartā hai usī tarah tere farzand tujhe byāh leṅge. aur jis tarah dūlhā dulhan ke bāis ḵẖushī manātā hai usī tarah terā ḵẖudā tere sabab se ḵẖushī manāegā.
6ai yarūshalam, maiṅ ne terī fasīl par paharedār lagāe haiṅ jo din rāt āvāz deṅ. unheṅ ek lamhe ke liye bhī ḵẖāmosh rahane kī ijāzat nahīṅ hai. ai rabb ko yād dilāne vālo, us vaqt tak na ḵẖud ārām karo, 7na rabb ko ārām karne do jab tak vah yarūshalam ko az sar-e-nau qāim na kar le. jab pūrī duniyā shahar kī tārīf karegī tab hī tum sukūn kā sāṅs le sakte ho. 8rabb ne apne dāeṅ hāth aur zorāvar bāzū kī qasam khā kar vādā kiyā hai, “āindā na maiṅ terā ġallā tere dushmanoṅ ko khilāūṅgā, na baṛī mehanat se banāī gaī terī mai ko ajnabiyoṅ ko pilāūṅgā. 9kyūṅki āindā fasal kī kaṭāī karne vāle hī rabb kī sitāish karte hue use khāeṅge, aur aṅgūr chunne vāle hī mere maqdis ke sahanoṅ meṅ ā kar un kā ras pieṅge.”
10dāḵẖil ho jāo, shahar ke darvāzoṅ meṅ dāḵẖil ho jāo! qaum ke liye rāstā tayyār karo! rāstā banāo, rāstā banāo! use pattharoṅ se sāf karo! tamām aqvām ke ūpar jhaṅḍā gāṛ do!
11kyūṅki rabb ne duniyā kī intihā tak elān kiyā hai, “siyyūn beṭī ko batāo ki dekh, terī najāt āne vālī hai. dekh, us kā ajr us ke pās hai, us kā in’ām us ke āge āge chal rahā hai.” 12tab vah ‘muqaddas qaum’ aur ‘vah qaum jise rabb ne ivzānā de kar chhuṛāyā hai’ kahalāeṅge. ai yarūshalam beṭī, tū ‘marġūb’ aur ‘ġairmatrūkā shahar’ kahalāegī.