Yashāyāh 64
1kāsh tū āsmān ko phāṛ kar utar āe, ki pahāṛ tere sāmne tharatharāeṅ. 2kāsh tū ḍāliyoṅ ko bhaṛkā dene vālī āg yā pānī ko ek dam ubālne vālī ātish kī tarah nāzil ho tāki tere dushman terā nām jān leṅ aur qaumeṅ tere sāmne laraz uṭheṅ! 3kyūṅki qadīm zamāne meṅ jab tū ḵẖaufnāk aur ġairmutvaqqe kām kiyā kartā thā to yūṅ hī nāzil huā, aur pahāṛiyoṅ hī tere sāmne kāṁpne lage. 4qadīm zamāne se hī kisī ne tere sivā kisī aur ḵẖudā ko na dekhā na sunā hai. sirf tū hī aisā ḵẖudā hai jo un kī madad kartā hai jo tere intizār meṅ rahate haiṅ.
5tū un se miltā hai jo ḵẖushī se rāst kām karte, jo terī rāhoṅ par chalte hue tujhe yād karte haiṅ! afsos, tū ham se nārāz huā, kyūṅki ham shurū se terā gunāh karke tujh se bevafā rahe haiṅ. to phir ham kis tarah bach jāeṅge? 6ham sab nāpāk ho gae haiṅ, hamāre tamām nām-nihād rāst kām gande chīthṛoṅ kī mānind haiṅ. ham sab pattoṅ kī tarah murjhā gae haiṅ, aur hamāre gunāh hameṅ havā ke jhoṅkoṅ kī tarah uṛā kar le jā rahe haiṅ.
7koī nahīṅ jo terā nām pukāre yā tujh se lipaṭne kī koshish kare. kyūṅki tū ne apnā chiharā ham se chhupā kar hameṅ hamāre qusūroṅ ke havāle chhoṛ diyā hai.
8ai rabb, tāham tū hī hamārā bāp, hamārā kumhār hai. ham sab miṭṭī hī haiṅ jise tere hāth ne tashkīl diyā hai. 9ai rabb, hadd se ziyādā ham se nārāz na ho! hamāre gunāh tujhe hameshā tak yād na raheṅ. zarā is kā lihāz kar ki ham sab terī qaum haiṅ. 10tere muqaddas shahar vīrān ho gae haiṅ, yahāṅ tak ki siyyūn bhī biyābān hī hai, yarūshalam vīrān-o-sunsān hai. 11hamārā muqaddas aur shāndār ghar jahāṅ hamāre bāpdādā terī sitāish karte the nazar-e-ātish ho gayā hai, jo kuchh bhī ham azīz rakhte the vah khaṅḍar ban gayā hai.
12ai rabb, kyā tū in vāqiāt ke bāvujūd bhī apne āp ko ham se dūr rakhegā? kyā tū ḵẖāmosh rah kar hameṅ hadd se ziyādā past hone degā?.