Yarmiyāh 13
galī saṛī laṅgoṭī
1rabb mujh se hamkalām huā, “jā, katān kī laṅgoṭī ḵẖarīd kar use bāṅdh le. lekin vah bhīg na jāe.” 2maiṅ ne aisā hī kiyā. laṅgoṭī ḵẖarīd kar maiṅ ne use bāṅdh liyā. 3tab rabb kā kalām dubārā mujh par nāzil huā, 4“ab vah laṅgoṭī le jo tū ne ḵẖarīd kar bāṅdh lī hai. daryā-e-furāt ke pās jā kar use kisī chaṭān kī darāṛ meṅ chhupā de.” 5chunāṅche maiṅ ravānā ho kar daryā-e-furāt ke kināre pahuṅch gayā. vahāṅ maiṅ ne laṅgoṭī ko kahīṅ chhupā diyā jis tarah rabb ne hukm diyā thā. 6bahut din guzar gae. phir rabb mujh se ek bār phir hamkalām huā, “uṭh, daryā-e-furāt ke pās jā kar vah laṅgoṭī nikāl lā jo maiṅ ne tujhe vahāṅ chhupāne ko kahā thā.” 7chunāṅche maiṅ ravānā ho kar daryā-e-furāt ke pās pahuṅch gayā. vahāṅ maiṅ ne khod kar laṅgoṭī ko us jagah se nikāl liyā jahāṅ maiṅ ne use chhupā diyā thā. lekin afsos, vah gal saṛ gaī thī, bilkul bekār ho gaī thī.
8tab rabb kā kalām mujh par nāzil huā, 9“jis tarah yah kapṛā zamīn meṅ dab kar gal saṛ gayā usī tarah maiṅ yahūdāh aur yarūshalam kā baṛā ghamaṅḍ ḵẖāk meṅ milā dūṅgā. 10yah ḵẖarāb log merī bāteṅ sunne ke liye tayyār nahīṅ balki apne sharīr dil kī zid ke mutābiq zindagī guzārte haiṅ. ajnabī mābūdoṅ ke pīchhe lag kar yah un hī kī ḵẖidmat aur pūjā karte haiṅ. lekin in kā anjām laṅgoṭī kī mānind hī hogā. yah bekār ho jāeṅge. 11kyūṅki jis tarah laṅgoṭī ādmī kī kamar ke sāth lipṭī rahatī hai usī tarah maiṅ ne pūre isrāīl aur pūre yahūdāh ko apne sāth lipaṭne kā mauqā farāham kiyā tāki vah merī qaum aur merī shuharat, tārīf aur izzat kā bāis ban jāeṅ. lekin afsos, vah sunne ke liye tayyār nahīṅ the.” yah rabb kā farmān hai.
mai ke ghaṛe bhare hue haiṅ
12“unheṅ batā de ki rabb isrāīl kā ḵẖudā farmātā hai, ‘har ghaṛe ko mai se bharnā hai.’ vah javāb meṅ kaheṅge, ‘ham to ḵẖud jānte haiṅ ki har ghaṛe ko mai se bharnā hai.’ 13tab unheṅ is kā matlab batā. ‘rabb farmātā hai ki is mulk ke tamām bāshinde ghaṛe haiṅ jinheṅ maiṅ mai se bhar dūṅgā. dāūd ke taḵẖt par baiṭhne vāle bādshāh, imām, nabī aur yarūshalam ke tamām rahane vāle sab ke sab bhar bhar kar nashe meṅ dhut ho jāeṅge. 14tab maiṅ unheṅ ek dūsre ke sāth ṭakrā dūṅgā, aur bāp beṭoṅ ke sāth mil kar ṭukṛe ṭukṛe ho jāeṅge. na maiṅ taras khāūṅgā, na un par raham karūṅgā balki hamdardī dikhāe baġair unheṅ tabāh karūṅgā’.” yah rabb kā farmān hai.
qaid kī haibtanāk hālat
15dhyān se suno! maġrūr na ho, kyūṅki rabb ne ḵẖud farmāyā hai. 16is se pahale ki tārīkī phail jāe aur tumhāre pāoṅ dhundalepan meṅ pahāṛoṅ ke sāth ṭhokar khāeṅ, rabb apne ḵẖudā ko jalāl do! kyūṅki us vaqt go tum raushnī ke intizār meṅ rahoge, lekin allāh aṅdhere ko mazīd baṛhāegā, gaharī tārīkī tum par chhā jāegī. 17lekin agar tum na suno to maiṅ tumhāre takabbur ko dekh kar poshīdgī meṅ giryā-o-zārī karūṅgā. maiṅ zār zār roūṅgā, merī āṅkhoṅ se āṅsū zor se ṭapkeṅge, kyūṅki dushman rabb ke revaṛ ko pakaṛ kar jilāvatan kar degā.
18bādshāh aur us kī māṅ ko ittilā de, “apne taḵẖtoṅ se utar kar zamīn par baiṭh jāo, kyūṅki tumhārī shān kā tāj tumhāre saroṅ se gir gayā hai.” 19dasht-e-najab ke shahar band kie jāeṅge, aur unheṅ kholne vālā koī nahīṅ hogā. pūre yahūdāh ko jilāvatan kar diyā jāegā, ek bhī nahīṅ bachegā.
20ai yarūshalam, apnī nazar uṭhā kar unheṅ dekh jo shimāl se ā rahe haiṅ. ab vah revaṛ kahāṅ rahā jo tere sapurd kiyā gayā, terī shāndār bheṛ-bakriyāṅ kidhar haiṅ? 21tū us din kyā kahegī jab rabb unheṅ tujh par muqarrar karegā jinheṅ tū ne apne qarībī dost banāyā thā? janm dene vālī aurat kā sā dard tujh par ġālib āegā. 22aur agar tere dil meṅ savāl ubhar āe ki mere sāth yah kyūṅ ho rahā hai to sun! yah tere saṅgīn gunāhoṅ kī vajah se ho rahā hai. in hī kī vajah se tere kapṛe utāre gae haiṅ aur terī ismatdarī huī hai.
23kyā kālā ādmī apnī jild kā raṅg yā chītā apnī khāl ke dhabbe badal saktā hai? hargiz nahīṅ! tum bhī badal nahīṅ sakte. tum ġalat kām ke itne ādī ho gae ho ki sahīh kām kar hī nahīṅ sakte.
24“jis tarah bhūsā registān kī tez havā meṅ uṛ kar tittar-bittar ho jātā hai usī tarah maiṅ tere bāshindoṅ ko muntashir kar dūṅgā.” 25rabb farmātā hai, “yahī terā anjām hogā, maiṅ ne ḵẖud muqarrar kiyā hai ki tujhe yah ajr milnā hai. kyūṅki tū ne mujhe bhūl kar jhūṭ par bharosā rakhā hai. 26maiṅ ḵẖud tere kapṛe utārūṅgā tāki terī barahanagī sab ko nazar āe. 27maiṅ ne pahāṛī aur maidānī ilāqoṅ meṅ terī ghinaunī harkatoṅ par ḵẖūb dhyān diyā hai. terī zinākārī, terā mastānā hinahinānā, terī besharm ismatafaroshī, sab kuchh mujhe nazar ātā hai. ai yarūshalam, tujh par afsos! tū pāk-sāf ho jāne ke liye tayyār nahīṅ. mazīd kitnī der lagegī?”