Yarmiyāh 14
kāl ke daurān rabb kā paiġām
1kāl ke daurān rabb yaramiyāh se hamkalām huā,
2“yahūdāh mātam kar rahā hai, us ke darvāzoṅ kī hālat qābil-e-raham hai. log sogvār hālat meṅ farsh par baiṭhe haiṅ, aur yarūshalam kī chīḵẖeṅ āsmān tak buland ho rahī haiṅ. 3amīr apne naukroṅ ko pānī bharne bhejte haiṅ, lekin hauzoṅ ke pās pahuṅch kar patā chaltā hai ki pānī nahīṅ hai, is liye vah ḵẖālī hāth vāpas ā jāte haiṅ. sharmindagī aur nadāmat ke māre vah apne saroṅ ko ḍhāṁp lete haiṅ. 4bārish na hone kī vajah se zamīn meṅ darāṛeṅ paṛ gaī haiṅ. khetoṅ meṅ kām karne vāle bhī sharm ke māre apne saroṅ ko ḍhāṁp lete haiṅ. 5ghās nahīṅ hai, is liye hirnī apne naumaulūd bacche ko chhoṛ detī hai. 6jaṅglī gadhe baṅjar ṭīloṅ par khaṛe gīdṛoṅ kī tarah hāṁpte haiṅ. hariyālī na milne kī vajah se vah bejān ho rahe haiṅ.”
7ai rabb, hamāre gunāh hamāre ḵẖilāf gavāhī de rahe haiṅ. to bhī apne nām kī ḵẖātir ham par raham kar. ham mānte haiṅ ki burī tarah bevafā ho gae haiṅ, ham ne terā hī gunāh kiyā hai. 8ai allāh, tū isrāīl kī ummīd hai, tū hī musībat ke vaqt use chhuṭkārā detā hai. to phir hamāre sāth terā sulūk mulk meṅ ajnabī kā sā kyūṅ hai? tū rāt ko kabhī idhar kabhī idhar ṭhaharne vāle musāfir jaisā kyūṅ hai? 9tū kyūṅ us ādmī kī mānind hai jo achānak dam-ba-ḵẖud ho jātā hai, us sūrme kī mānind jo bebas ho kar bachā nahīṅ saktā. ai rabb, tū to hamāre darmiyān hī rahatā hai, aur ham par tere hī nām kā ṭhappā lagā hai. hameṅ tark na kar!
is qaum ke liye duā mat karnā
10lekin rabb is qaum ke bāre meṅ farmātā hai, “yah log āvārā phirne ke shauqīn haiṅ, yah apne pāoṅ ko rok hī nahīṅ sakte. maiṅ un se nāḵẖush hūṅ. ab mujhe un ke ġalat kām yād raheṅge, ab maiṅ un ke gunāhoṅ kī sazā dūṅgā.” 11rabb mazīd mujh se hamkalām huā, “is qaum kī bahabūdī ke liye duā mat karnā. 12go yah rozā bhī rakheṅ to bhī maiṅ in kī iltijāoṅ par dhyān nahīṅ dūṅgā. go yah bhasm hone vālī aur ġallā kī qurbāniyāṅ pesh bhī kareṅ to bhī maiṅ in se ḵẖush nahīṅ hūṅgā balki inheṅ kāl, talvār aur bīmāriyoṅ se nest-o-nābūd kar dūṅgā.”
13yah sun kar maiṅ ne etirāz kiyā, “ai rabb qādir-e-mutlaq, nabī inheṅ batāte āe haiṅ, ‘na qatl-o-ġārat kā ḵẖatrā hogā, na kāl paṛegā balki maiṅ yahīṅ tumhāre liye amn-o-amān kā pakkā band-o-bast kar lūṅgā’.”
14rabb ne javāb diyā, “nabī merā nām le kar jhūṭī peshgoiyāṅ bayān kar rahe haiṅ. maiṅ ne na unheṅ bhejā, na unheṅ koī zimmādārī dī aur na un se hamkalām huā. yah tumheṅ jhūṭī royāeṅ, fuzūl peshgoiyāṅ aur apne dil ke vaham sunāte rahe haiṅ.” 15chunāṅche rabb farmātā hai, “yah nabī talvār aur kāl kī zad meṅ ā kar mar jāeṅge. kyūṅki go maiṅ ne unheṅ nahīṅ bhejā to bhī yah mere nām meṅ nubuvvat karke kahate haiṅ ki mulk meṅ na qatl-o-ġārat kā ḵẖatrā hogā, na kāl paṛegā. 16aur jin logoṅ ko vah apnī nubuvvateṅ sunāte rahe haiṅ vah talvār aur kāl kā shikār ban jāeṅge, un kī lāsheṅ yarūshalam kī galiyoṅ meṅ phaiṅk dī jāeṅgī. unheṅ dafnāne vālā koī nahīṅ hogā, na un ko, na un kī bīviyoṅ ko aur na un ke beṭe-beṭiyoṅ ko. yūṅ maiṅ un par un kī apnī badkārī nāzil karūṅgā.
ai rabb, hameṅ muāf kar!
17ai yaramiyāh, unheṅ yah kalām sunā, ‘din rāt mere āṅsū bah rahe haiṅ. vah ruk nahīṅ sakte, kyūṅki merī qaum, merī kuṅvārī beṭī ko gaharī choṭ lag gaī hai, aisā zaḵẖm jo bhar nahīṅ saktā. 18dīhāt meṅ jā kar mujhe vah sab nazar āte haiṅ jo talvār se qatl kie gae haiṅ. jab maiṅ shahar meṅ vāpas ātā hūṅ to chāroṅ taraf kāl ke bure asrāt dikhāī dete haiṅ. nabī aur imām mulk meṅ māre māre phir rahe haiṅ, aur unheṅ mālūm nahīṅ ki kyā kareṅ’.”
19ai rabb, kyā tū ne yahūdāh ko sarāsar radd kiyā hai? kyā tujhe siyyūn se itnī ghin ātī hai? tū ne hameṅ itnī bār kyūṅ mārā ki hamārā ilāj nāmumkin ho gayā hai? ham amn-o-amān ke intizār meṅ rahe, lekin hālāt ṭhīk na hue. ham shifā pāne kī ummīd rakhte the, lekin is ke bajāy ham par dahshat chhā gaī.
20ai rabb, ham apnī bedīnī aur apne bāpdādā kā qusūr taslīm karte haiṅ. ham ne terā hī gunāh kiyā hai. 21apne nām kī ḵẖātir hameṅ haqīr na jān, apne jalālī taḵẖt kī behuramtī hone na de! hamāre sāth apnā ahd yād kar, use mansūḵẖ na kar. 22kyā dīgar aqvām ke devtāoṅ meṅ se koī hai jo bārish barsā sake? yā kyā āsmān ḵẖud hī bārisheṅ zamīn par bhej detā hai? hargiz nahīṅ, balki tū hī yah sab kuchh kartā hai, ai rabb hamāre ḵẖudā. isī liye ham tujh par ummīd rakhte haiṅ. tū hī ne yah sārā intizām qāim kiyā hai.