Yarmiyāh 17
yahūdāh kā gunāh aur us kī sazā
1ai yahūdāh ke logo, tumhārā gunāh tumhārī zindagiyoṅ kā anmiṭ hissā ban gayā hai. use hīre kī nok rakhne vāle lohe ke āle se tumhāre diloṅ kī taḵẖtiyoṅ aur tumhārī qurbānagāhoṅ ke sīṅgoṅ par kandā kiyā gayā hai. 2na sirf tum balki tumhāre bacche bhī apnī qurbānagāhoṅ aur asīrat devī ke khamboṅ ko yād karte haiṅ, ḵẖwāh vah ghane daraḵẖtoṅ ke sāy meṅ yā ūṅchī jagahoṅ par kyūṅ na hoṅ. 3ai mere pahāṛ jo dīhāt se ghirā huā hai, tere pūre mulk par gunāh kā asar hai, is liye maiṅ hone dūṅgā ki sab kuchh lūṭ liyā jāegā. terā māl, tere ḵẖazāne aur terī ūṅchī jagahoṅ kī qurbāngāheṅ sab chhīn lī jāeṅgī.
4apne qusūr ke sabab se tujhe apnī maurūsī milkiyat chhoṛnī paṛegī, vah milkiyat jo tujhe merī taraf se milī thī. maiṅ tujhe tere dushmanoṅ kā ġulām banā dūṅgā, aur tū ek nāmālūm mulk meṅ basegā. kyūṅki tum logoṅ ne mujhe taish dilāyā hai, aur ab tum par merā ġazab kabhī na bujhne vālī āg kī tarah bhaṛaktā rahegā.”
muḵẖtalif farmān
5rabb farmātā hai, “us par lānat jis kā dil rabb se dūr ho kar sirf insān aur usī kī tāqat par bharosā rakhtā hai. 6vah registān meṅ jhāṛī kī mānind hogā, use kisī bhī acchhī chīz kā tajribā nahīṅ hogā balki vah biyābān ke aise pathrīle aur kallar vāle ilāqoṅ meṅ basegā jahāṅ koī aur nahīṅ rahatā. 7lekin mubārak hai vah jo rabb par bharosā rakhtā hai, jis kā etimād usī par hai. 8vah pānī ke kināre par lage us daraḵẖt kī mānind hai jis kī jaṛeṅ nahar tak phailī huī haiṅ. jhulsāne vālī garmī bhī āe to use ḍar nahīṅ, balki us ke patte hare-bhare rahate haiṅ. kāl bhī paṛe to vah pareshān nahīṅ hotā balki vaqt par phal lātā rahatā hai.
9dil hadd se ziyādā farebdih hai, aur us kā ilāj nāmumkin hai. kaun us kā sahīh ilm rakhtā hai? 10maiṅ, rabb hī dil kī taftīsh kartā hūṅ. maiṅ har ek kī bātinī hālat jāṅch kar use us ke chāl-chalan aur amal kā munāsib ajr detā hūṅ.
11jis shaḵẖs ne ġalat tarīqe se daulat jamā kī hai vah us tītar kī mānind hai jo kisī dūsre ke aṅḍoṅ par baiṭh jātā hai. kyūṅki zindagī ke urūj par use sab kuchh chhoṛnā paṛegā, aur āḵẖirkār us kī hamāqat sab par zāhir ho jāegī.”
12hamārā maqdis allāh kā jalālī taḵẖt hai jo azal se azīm hai. 13ai rabb, tū hī isrāīl kī ummīd hai. tujhe tark karne vāle sab sharmindā ho jāeṅge. tujh se dūr hone vāle ḵẖāk meṅ milāe jāeṅge, kyūṅki unhoṅ ne rabb ko chhoṛ diyā hai jo zindagī ke pānī kā sarchashmā hai.
madad ke liye yaramiyāh kī daraḵẖwāst
14ai rabb, tū hī mujhe shifā de to mujhe shifā milegī. tū hī mujhe bachā to maiṅ bachūṅgā. kyūṅki tū hī merā faḵẖar hai. 15log mujh se pūchhte rahate haiṅ, “rabb kā jo kalām tū ne pesh kiyā vah kahāṅ hai? use pūrā hone de!” 16ai allāh, tū ne mujhe apnī qaum kā gallābān banāyā hai, aur maiṅ ne yah zimmādārī kabhī nahīṅ chhoṛī. maiṅ ne kabhī ḵẖwāhish nahīṅ rakhī ki musībat kā din āe. tū yah sab kuchh jāntā hai, jo bhī bāt mere muṅh se niklī hai vah tere sāmne hai. 17ab mere liye dahshat kā bāis na ban! musībat ke din maiṅ tujh meṅ hī panāh letā hūṅ. 18merā tāqqub karne vāle sharmindā ho jāeṅ, lekin merī rusvāī na ho. un par dahshat chhā jāe, lekin maiṅ is se bachā rahūṅ. un par musībat kā din nāzil kar, un ko do bār kuchal kar ḵẖāk meṅ milā de.
sabat kā din manāo
19rabb mujh se hamkalām huā, “shahar ke avāmī darvāze meṅ khaṛā ho jā, jise yahūdāh ke bādshāh istemāl karte haiṅ jab shahar meṅ āte aur us se nikalte haiṅ. isī tarah yarūshalam ke dīgar darvāzoṅ meṅ bhī khaṛā ho jā. 20vahāṅ logoṅ se kah, ‘ai darvāzoṅ meṅ se guzarne vālo, rabb kā kalām suno! ai yahūdāh ke bādshāho aur yahūdāh aur yarūshalam ke tamām bāshindo, merī taraf kān lagāo!
21rabb farmātā hai ki apnī jān ḵẖatre meṅ na ḍālo balki dhyān do ki tum sabat ke din māl-o-asbāb shahar meṅ na lāo aur use uṭhā kar shahar ke darvāzoṅ meṅ dāḵẖil na ho. 22na sabat ke din bojh uṭhā kar apne ghar se kahīṅ aur le jāo, na koī aur kām karo, balki use is tarah manānā ki maḵẖsūs-o-muqaddas ho. maiṅ ne tumhāre bāpdādā ko yah karne kā hukm diyā thā, 23lekin unhoṅ ne merī na sunī, na tavajjuh dī balki apne mauqif par aṛe rahe aur na merī sunī, na merī tarbiyat qabūl kī.
24rabb farmātā hai ki agar tum vāqaī merī suno aur sabat ke din apnā māl-o-asbāb is shahar meṅ na lāo balki ārām karne se yah din maḵẖsūs-o-muqaddas māno 25to phir āindā bhī dāūd kī nasal ke bādshāh aur sardār is shahar ke darvāzoṅ meṅ se guzareṅge. tab vah ghoṛoṅ aur rathoṅ par savār ho kar apne afsaroṅ aur yahūdāh aur yarūshalam ke bāshindoṅ ke sāth shahar meṅ āte jāte raheṅge. agar tum sabat ko māno to yah shahar hameshā tak ābād rahegā. 26phir pūre mulk se log yahāṅ āeṅge. yahūdāh ke shaharoṅ aur yarūshalam ke gird-o-navāh ke dīhāt se, binyamīn ke qabāilī ilāqe se, maġrib ke nishebī pahāṛī ilāqe se, pahāṛī ilāqe se aur dasht-e-najab se sab apnī qurbāniyāṅ lā kar rabb ke ghar meṅ pesh kareṅge. un kī tamām bhasm hone vālī qurbāniyāṅ, zabah, ġallā, baḵẖūr aur salāmatī kī qurbāniyāṅ rabb ke ghar meṅ chaṛhāī jāeṅgī. 27lekin agar tum merī na suno aur sabat kā din maḵẖsūs-o-muqaddas na māno to phir tumheṅ saḵẖt sazā milegī. agar tum sabat ke din apnā māl-o-asbāb shahar meṅ lāo to maiṅ in hī darvāzoṅ meṅ ek na bujhne vālī āg lagā dūṅgā jo jaltī jaltī yarūshalam ke mahaloṅ ko bhasm kar degī’.”