Yarmiyāh 19
qaum miṭṭī ke ṭūṭe hue bartan kī mānind hogī
1rabb ne hukm diyā, “kumhār ke pās jā kar miṭṭī kā bartan ḵẖarīd le. phir avām ke kuchh buzurgoṅ aur chand ek buzurg imāmoṅ ko apne sāth le kar 2shahar se nikal jā. vādī-e-bin-hinnūm meṅ chalā jā jo shahar ke darvāze banām ‘ṭhīkre kā darvāzā’ ke sāmne hai. vahāṅ vah kalām sunā jo maiṅ tujhe sunāne ko kahūṅgā. 3unheṅ batā,
‘ai yahūdāh ke bādshāho aur yarūshalam ke bāshindo, rabb kā kalām suno! rabb-ul-afwāj jo isrāīl kā ḵẖudā hai farmātā hai ki maiṅ is maqām par aisī āfat nāzil karūṅgā ki jise bhī is kī ḵẖabar milegī us ke kān bajeṅge. 4kyūṅki unhoṅ ne mujhe tark karke is maqām ko ajnabī mābūdoṅ ke havāle kar diyā hai. jin butoṅ se na un ke bāpdādā aur na yahūdāh ke bādshāh kabhī vāqif the un ke huzūr unhoṅ ne qurbāniyāṅ pesh kīṅ. nīz, unhoṅ ne is jagah ko bequsūroṅ ke ḵẖūn se bhar diyā hai. 5unhoṅ ne ūṅchī jagahoṅ par bāl devtā ke liye qurbāngāheṅ tāmīr kīṅ tāki apne beṭoṅ ko un par jalā kar use pesh kareṅ. maiṅ ne yah karne kā kabhī hukm nahīṅ diyā thā. na maiṅ ne kabhī is kā zikr kiyā, na kabhī mere zahan meṅ is kā ḵẖayāl tak āyā.
6chunāṅche ḵẖabardār! rabb farmātā hai ki aisā vaqt āne vālā hai jab yah vādī “tūfat” yā “bin-hinnūm” nahīṅ kahalāegī balki “vādī-e-qatl-o-ġārat.” 7is jagah maiṅ yahūdāh aur yarūshalam ke mansūbe ḵẖāk meṅ milā dūṅgā. maiṅ hone dūṅgā ki un ke dushman unheṅ maut ke ghāṭ utāreṅ, ki jo unheṅ jān se mārnā chāheṅ vah is meṅ kāmyāb ho jāeṅ. tab maiṅ un kī lāshoṅ ko parindoṅ aur darindoṅ ko khilā dūṅgā. 8maiṅ is shahar ko haulnāk tarīqe se tabāh karūṅgā. tab dūsre use apne mazāq kā nishānā banāeṅge. jo bhī guzre us ke roṅgṭe khaṛe ho jāeṅge. us kī tabāhashudā hālat dekh kar vah “taubā taubā” kahegā. 9jab un kā jānī dushman shahar kā muhāsarā karegā to itnā saḵẖt kāl paṛegā ki bāshinde apne bacchoṅ aur ek dūsre ko khā jāeṅge.’
10phir sāth vāloṅ kī maujūdgī meṅ miṭṭī ke bartan ko zamīn par paṭaḵẖ de. 11sāth sāth unheṅ batā, ‘rab-ul-afwāj farmātā hai ki jis tarah miṭṭī kā bartan pāsh pāsh ho gayā hai aur us kī marammat nāmumkin hai usī tarah maiṅ is qaum aur shahar ko bhī pāsh pāsh kar dūṅgā. us vaqt lāshoṅ ko tūfat meṅ dafnāyā jāegā, kyūṅki kahīṅ aur jagah nahīṅ milegī. 12is shahar aur is ke bāshindoṅ ke sāth maiṅ yahī sulūk karūṅgā. maiṅ is shahar ko tūfat kī mānind banā dūṅgā. yah rabb kā farmān hai. 13yarūshalam ke ghar yahūdāh ke shāhī mahaloṅ samet tūfat kī tarah nāpāk ho jāeṅge. hāṅ, vah tamām ghar nāpāk ho jāeṅge jin kī chhatoṅ par tamām āsmānī lashkar ke liye baḵẖūr jalāyā jātā aur ajnabī mābūdoṅ ko mai kī nazreṅ pesh kī jātī thīṅ’.”
14is ke bād yaramiyāh vādī-e-tūfat se vāpas āyā jahāṅ rabb ne use nubuvvat karne ke liye bhejā thā. phir vah rabb ke ghar ke sahan meṅ khaṛe ho kar tamām logoṅ se muḵẖātib huā, 15“rabb-ul-afwāj jo isrāīl kā ḵẖudā hai farmātā hai ki suno! maiṅ is shahar aur yahūdāh ke dīgar shaharoṅ par vah tamām musībat lāne ko hūṅ jis kā elān maiṅ ne kiyā hai. kyūṅki tum aṛ gae ho aur merī bāteṅ sunne ke liye tayyār hī nahīṅ.”