Yarmiyāh 21
bābal kī fauj yarūshalam par fatah pāegī
1ek din sidaqiyāh bādshāh ne fashhūr bin malkiyāh aur māsiyāh ke beṭe safaniyāh imām ko yaramiyāh ke pās bhej diyā. us ke pās pahuṅch kar unhoṅ ne kahā, 2“bābal kā bādshāh nabūkadnazzar ham par hamlā kar rahā hai. shāyad jis tarah rabb ne māzī meṅ kaī bār kiyā is dafā bhī hamārī madad karke nabūkadnazzar ko mojizānā taur par yarūshalam ko chhoṛne par majbūr kare. rabb se is ke bāre meṅ darayāft kareṅ.”
tab rabb kā kalām yaramiyāh par nāzil huā, 3aur us ne donoṅ ādmiyoṅ se kahā, “sidaqiyāh ko batāo ki 4rabb jo isrāīl kā ḵẖudā hai farmātā hai, ‘beshak shahar se nikal kar bābal kī muhāsarā karne vālī fauj aur us ke bādshāh se laṛo. lekin maiṅ tumheṅ pīchhe dhakel kar shahar meṅ panāh lene par majbūr karūṅgā. vahāṅ us ke bīch meṅ hī tum apne hathiyāroṅ samet jamā ho jāoge. 5maiṅ ḵẖud apnā hāth baṛhā kar baṛī qudrat se tumhāre sāth laṛūṅgā, maiṅ apne ġusse aur taish kā pūrā izhār karūṅgā, merā saḵẖt ġazab tum par nāzil hogā. 6shahar ke bāshinde mere hāth se halāk ho jāeṅge, ḵẖwāh insān hoṅ yā haivān. muhalak vabā unheṅ maut ke ghāṭ utār degī.’ 7rabb farmātā hai, ‘is ke bād maiṅ yahūdāh ke bādshāh sidaqiyāh ko us ke afsaroṅ aur bāqī bāshindoṅ samet bābal ke bādshāh nabūkadnazzar ke havāle kar dūṅgā. vabā, talvār aur kāl se bachne vāle sab apne jānī dushman ke qābū meṅ ā jāeṅge. tab nabūkadnazzar berahamī se unheṅ talvār se mār degā. na use un par taras āegā, na vah hamdardī kā izhār karegā.’
8is qaum ko batā ki rabb farmātā hai, ‘maiṅ tumheṅ apnī jān ko bachāne kā mauqā farāham kartā hūṅ. is se fāidā uṭhāo, varnā tum maroge. 9agar tum talvār, kāl yā vabā se marnā chāho to is shahar meṅ raho. lekin agar tum apnī jān ko bachānā chāho to shahar se nikal kar apne āp ko bābal kī muhāsarā karne vālī fauj ke havāle karo. jo koī yah kare us kī jān chhūṭ jāegī’ [a] lafzī tarjumā : vah ġanīmat ke taur par apnī jān ko bachāegā. .
10rabb farmātā hai, ‘maiṅ ne aṭal faislā kiyā hai ki is shahar par meharbānī nahīṅ karūṅgā balki ise nuqsān pahuṅchāūṅgā. ise shāh-e-bābal ke havāle kar diyā jāegā jo ise āg lagā kar tabāh karegā.’
11yahūdāh ke shāhī ḵẖāndān se kah, ‘rabb kā kalām suno! 12ai dāūd ke gharāne, rabb farmātā hai ki har subah logoṅ kā insāf karo. jise lūṭ liyā gayā ho use zālim ke hāth se bachāo! aisā na ho ki merā ġazab tumhārī sharīr harkatoṅ kī vajah se tum par nāzil ho kar āg kī tarah bhaṛak uṭhe aur koī na ho jo use bujhā sake.
13rabb farmātā hai ki ai yarūshalam, tū vādī ke ūpar ūṅchī chaṭān par rah kar faḵẖar kartī hai ki kaun ham par hamlā karegā, kaun hamāre gharoṅ meṅ ghus saktā hai? lekin ab maiṅ ḵẖud tujh se nipaṭ lūṅgā. 14rabb farmātā hai ki maiṅ tumhārī harkatoṅ kā pūrā ajr dūṅgā. maiṅ yarūshalam ke jaṅgal meṅ aisī āg lagā dūṅgā jo ird-gird sab kuchh bhasm kar degī’.”