Yarmiyāh 29
yaramiyāh jilāvatanoṅ ko ḵẖat bhejtā hai
1ek din yaramiyāh nabī ne yarūshalam se ek ḵẖat mulk-e-bābal bhejā. yah ḵẖat un bache hue buzurgoṅ, imāmoṅ, nabiyoṅ aur bāqī isrāīliyoṅ ke nām likhā thā jinheṅ nabūkadnazzar bādshāh jilāvatan karke bābal le gayā thā. 2un meṅ yahūyākīn [a] ibrānī meṅ yahūyākīn kā mutrādif yakūniyāh mustāmal hai. bādshāh, us kī māṅ aur darbārī, aur yahūdāh aur yarūshalam ke buzurg, kārīgar aur lohār shāmil the. 3yah ḵẖat iliāsā bin sāfan aur jamariyāh bin ḵẖilaqiyāh ke hāth bābal pahuṅchā jinheṅ yahūdāh ke bādshāh sidaqiyāh ne bābal meṅ shāh-e-bābal nabūkadnazzar ke pās bhejā thā. ḵẖat meṅ likhā thā,
4“rabb-ul-afwāj jo isrāīl kā ḵẖudā hai farmātā hai, ‘ai tamām jilāvatano jinheṅ maiṅ yarūshalam se nikāl kar bābal le gayā hūṅ, dhyān se suno!
5bābal meṅ ghar banā kar un meṅ basne lago. bāġ lagā kar un kā phal khāo. 6shādī karke beṭe-beṭiyāṅ paidā karo. apne beṭe-beṭiyoṅ kī shādī karāo tāki un ke bhī bacche paidā ho jāeṅ. dhyān do ki mulk-e-bābal meṅ tumhārī tādād kam na ho jāe balki baṛh jāe. 7us shahar kī salāmatī ke tālib raho jis meṅ maiṅ tumheṅ jilāvatan karke le gayā hūṅ. rabb se us ke liye duā karo! kyūṅki tumhārī salāmatī usī kī salāmatī par munhasir hai.’
8rabb-ul-afwāj jo isrāīl kā ḵẖudā hai farmātā hai, ‘ḵẖabardār! tumhāre darmiyān rahane vāle nabī aur qismat kā hāl batāne vāle tumheṅ fareb na deṅ. un ḵẖwāboṅ par tavajjuh mat denā jo yah dekhte haiṅ.’ 9rabb farmātā hai, ‘yah merā nām le kar tumheṅ jhūṭī peshgoiyāṅ sunāte haiṅ, go maiṅ ne unheṅ nahīṅ bhejā.’ 10kyūṅki rabb farmātā hai, ‘tumheṅ bābal meṅ rahate hue kul 70 sāl guzar jāeṅge. lekin is ke bād maiṅ tumhārī taraf rujū karūṅgā, maiṅ apnā purfazl vādā pūrā karke tumheṅ vāpas lāūṅgā.’ 11kyūṅki rabb farmātā hai, ‘maiṅ un mansūboṅ se ḵẖūb vāqif hūṅ jo maiṅ ne tumhāre liye bāṅdhe haiṅ. yah mansūbe tumheṅ nuqsān nahīṅ pahuṅchāeṅge balki tumhārī salāmatī kā bāis hoṅge, tumheṅ ummīd dilā kar ek acchhā mustaqbil farāham kareṅge. 12us vaqt tum mujhe pukāroge, tum ā kar mujh se duā karoge to maiṅ tumhārī sunūṅgā. 13tum mujhe talāsh karke pā loge. kyūṅki agar tum pūre dil se mujhe ḍhūṅḍo 14to maiṅ hone dūṅgā ki tum mujhe pāo.’ yah rabb kā farmān hai. ‘phir maiṅ tumheṅ bahāl karke un tamām qaumoṅ aur maqāmoṅ se jamā karūṅgā jahāṅ maiṅ ne tumheṅ muntashir kar diyā thā. aur maiṅ tumheṅ us mulk meṅ vāpas lāūṅgā jis se maiṅ ne tumheṅ nikāl kar jilāvatan kar diyā thā.’ yah rabb kā farmān hai.
15tumhārā dāvā hai ki rabb ne yahāṅ bābal meṅ bhī hamāre liye nabī barpā kie haiṅ. 16-17 lekin rabb kā javāb suno! dāūd ke taḵẖt par baiṭhne vāle bādshāh aur yarūshalam meṅ bache hue tamām bāshindoṅ ke bāre meṅ rabb-ul-afwāj farmātā hai, ‘tumhāre jitne bhāī jilāvatanī se bach gae haiṅ un ke ḵẖilāf maiṅ talvār, kāl aur muhalak bīmāriyāṅ bhej dūṅgā. maiṅ unheṅ gale hue anjīroṅ kī mānind banā dūṅgā, jo ḵẖarāb hone kī vajah se khāe nahīṅ jā sakeṅge. 18maiṅ talvār, kāl aur muhalak bīmāriyoṅ se un kā yūṅ tāqqub karūṅgā ki duniyā ke tamām mamālik un kī hālat dekh kar ghabrā jāeṅge. jis qaum meṅ bhī maiṅ unheṅ muntashir karūṅgā vahāṅ logoṅ ke roṅgṭe khaṛe ho jāeṅge. kisī par lānat bhejte vaqt log kaheṅge ki use yahūdāh ke bāshindoṅ kā sā anjām nasīb ho. har jagah vah mazāq aur rusvāī kā nishānā ban jāeṅge. 19kyūṅ? is liye ki unhoṅ ne merī na sunī, go maiṅ apne ḵẖādimoṅ yānī nabiyoṅ ke zarīe bār bār unheṅ paiġāmāt bhejtā rahā. lekin tum ne bhī merī na sunī.’ yah rabb kā farmān hai.
20ab rabb kā farmān suno, tum sab jo jilāvatan ho chuke ho, jinheṅ maiṅ yarūshalam se nikāl kar bābal bhej chukā hūṅ. 21rabb-ul-afwāj jo isrāīl kā ḵẖudā hai farmātā hai, ‘aḵẖiyab bin qaulāyāh aur sidaqiyāh bin māsiyāh merā nām le kar tumheṅ jhūṭī peshgoiyāṅ sunāte haiṅ. is liye maiṅ unheṅ shāh-e-bābal nabūkadnazzar ke hāth meṅ dūṅgā jo unheṅ tere dekhte dekhte sazā-e-maut degā. 22un kā anjām ibrat’aṅgez misāl ban jāegā. kisī par lānat bhejte vaqt yahūdāh ke jilāvatan kaheṅge, “rabb tere sāth sidaqiyāh aur aḵẖiyab kā sā sulūk kare jinheṅ shāh-e-bābal ne āg meṅ bhūn liyā!” 23kyūṅki unhoṅ ne isrāīl meṅ bedīn harkateṅ kī haiṅ. apne paṛosiyoṅ kī bīviyoṅ ke sāth zinā karne ke sāth sāth unhoṅ ne merā nām le kar aise jhūṭe paiġām sunāe haiṅ jo maiṅ ne unheṅ sunāne ko nahīṅ kahā thā. mujhe is kā pūrā ilm hai, aur maiṅ is kā gavāh hūṅ.’ yah rabb kā farmān hai.”
samāyāh ke liye rabb kā paiġām
24rabb ne farmāyā, “bābal ke rahane vāle samāyāh naḵẖlāmī ko ittilā de, 25rabb-ul-afwāj jo isrāīl kā ḵẖudā hai farmātā hai ki tū ne apnī hī taraf se imām safaniyāh bin māsiyāh ko ḵẖat bhejā. dīgar imāmoṅ aur yarūshalam ke bāqī tamām bāshindoṅ ko bhī is kī kāpiyāṅ mil gaīṅ. ḵẖat meṅ likhā thā,
26‘rabb ne āp ko yahoyadā kī jagah apne ghar kī dekh-bhāl karne kī zimmādārī dī hai. āp kī zimmādāriyoṅ meṅ yah bhī shāmil hai ki har dīvāne aur nubuvvat karne vāle ko kāṭh meṅ ḍāl kar us kī gardan meṅ lohe kī zanjīreṅ ḍāleṅ. 27to phir āp ne antot ke rahane vāle yaramiyāh ke ḵẖilāf qadam kyūṅ nahīṅ uṭhāyā jo āp ke darmiyān nubuvvat kartā rahatā hai? 28kyūṅki us ne hameṅ jo bābal meṅ haiṅ ḵẖat bhej kar mashvrā diyā hai ki der lagegī, is liye ghar banā kar un meṅ basne lago, bāġ lagā kar un kā phal khāo’.”
29jab safaniyāh ko samāyāh kā ḵẖat mil gayā to us ne yaramiyāh ko sab kuchh sunāyā. 30tab yaramiyāh par rabb kā kalām nāzil huā, 31“tamām jilāvatanoṅ ko ḵẖat bhej kar likh de, ‘rabb samāyāh naḵẖlāmī ke bāre meṅ farmātā hai ki go maiṅ ne samāyāh ko nahīṅ bhejā to bhī us ne tumheṅ peshgoiyāṅ sunā kar jhūṭ par bharosā rakhne par āmādā kiyā hai. 32chunāṅche rabb farmātā hai ki maiṅ samāyāh naḵẖlāmī ko us kī aulād samet sazā dūṅgā. is qaum meṅ us kī nasal ḵẖatm ho jāegī, aur vah ḵẖud un acchhī chīzoṅ se lutf’andoz nahīṅ hogā jo maiṅ apnī qaum ko farāham karūṅgā. kyūṅki us ne rabb se sarkash hone kā mashvrā diyā hai’.”