Yarmiyāh 4
taubā karo
1rabb farmātā hai, “ai isrāīl, agar tū vāpas ānā chāhe to mere pās vāpas ā! agar tū apne ghinaune butoṅ ko mere huzūr se dūr karke āvārā na phire 2aur rabb kī hayāt kī qasam khāte vaqt diyānatdārī, insāf aur sadāqat se apnā vādā pūrā kare to ġair’aqvām mujh se barkat pā kar mujh par faḵẖar kareṅgī.”
3rabb yahūdāh aur yarūshalam ke bāshindoṅ se farmātā hai, “apne diloṅ kī ġairmustāmal zamīn par hal chalā kar use qābil-e-kāsht banāo! apne bīj kāṅṭedār jhāṛiyoṅ meṅ bo kar zāe mat karnā. 4ai yahūdāh aur yarūshalam ke bāshindo, apne āp ko rabb ke liye maḵẖsūs karke apnā ḵẖatnā karāo yānī apne diloṅ kā ḵẖatnā karāo, varnā merā qahar tumhāre ġalat kāmoṅ ke bāis kabhī na bujhne vālī āg kī tarah tujh par nāzil hogā.
shimāl se āfat kā elān
5yahūdāh meṅ elān karo aur yarūshalam ko ittilā do, ‘mulk bhar meṅ narsiṅgā bajāo!’ galā phāṛ kar chillāo, ‘ikaṭṭhe ho jāo! āo, ham qil’āband shaharoṅ meṅ panāh leṅ!’ 6jhaṅḍā gāṛ do tāki log use dekh kar siyyūn meṅ panāh leṅ. mahfūz maqām meṅ bhāg jāo aur kahīṅ na ruko, kyūṅki maiṅ shimāl kī taraf se āfat lā rahā hūṅ, sab kuchh dhaṛām se gir jāegā.
7sherbabar jaṅgal meṅ apnī chhupne kī jagah se nikal āyā, qaumoṅ ko halāk karne vālā apne maqām se ravānā ho chukā hai tāki tere mulk ko tabāh kare. tere shahar barbād ho jāeṅge, aur un meṅ koī nahīṅ rahegā.
8chunāṅche ṭāṭ kā libās pahan kar āh-o-zārī karo, kyūṅki rabb kā saḵẖt ġazab ab tak ham par nāzil ho rahā hai.”
9rabb farmātā hai, “us din bādshāh aur us ke afsar himmat hāreṅge, imāmoṅ ke roṅgṭe khaṛe ho jāeṅge aur nabī ḵẖauf se sun ho kar rah jāeṅge.”
10tab maiṅ bol uṭhā, “hāy, hāy! ai rabb qādir-e-mutlaq, tū ne is qaum aur yarūshalam ko kitnā saḵẖt fareb diyā jab tū ne farmāyā, tumheṅ amn-o-amān hāsil hogā hālāṅki hamāre galoṅ par talvār phirne ko hai.” 11us vaqt is qaum aur yarūshalam ko ittilā dī jāegī, “registān ke baṅjar ṭīloṅ se sab kuchh jhulsāne vālī lū merī qaum ke pās ā rahī hai. aur yah gandum ko phaṭak kar bhūse se alag karne vālī mufīd havā nahīṅ hogī 12balki āṅdhī jaisī tez havā merī taraf se āegī. kyūṅki ab maiṅ un par apne faisle sādir karūṅgā.”
13dekho, dushman tūfānī bādloṅ kī tarah āge baṛh rahā hai! us ke rath āṅdhī jaise, aur us ke ghoṛe uqāb se tez haiṅ. hāy, ham par afsos! hamārā anjām ā gayā hai.
14ai yarūshalam, apne dil ko dho kar burāī se sāf kar tāki tujhe chhuṭkārā mile. tū andar hī andar kab tak apne sharīr mansūbe bāṅdhtī rahegī?
15suno! dān se burī ḵẖabreṅ ā rahī haiṅ, ifrāīm ke pahāṛī ilāqe se āfat kā paiġām pahuṅch rahā hai. 16ġair’aqvām ko ittilā do aur yarūshalam ke bāre meṅ elān karo, “muhāsarā karne vāle faujī dūrdarāz mulk se ā rahe haiṅ! vah jaṅg ke nāre lagā lagā kar yahūdāh ke shaharoṅ par ṭūṭ paṛeṅge. 17tab vah khetoṅ kī chaukīdārī karne vāloṅ kī tarah yarūshalam ko gher leṅge. kyūṅki yah shahar mujh se sarkash ho gayā hai.” yah rabb kā farmān hai. 18“yah tere apne hī chāl-chalan aur harkatoṅ kā natījā hai. hāy, terī bedīnī kā anjām kitnā talḵẖ aur dilḵẖarāsh hai!”
yaramiyāh kā apnī qaum ke liye dukh
19hāy, merī taṛaptī jān, merī taṛaptī jān! maiṅ dard ke māre pech-o-tāb khā rahā hūṅ. hāy, merā dil! vah bekābū ho kar dhaṛak rahā hai. maiṅ ḵẖāmosh nahīṅ rah saktā, kyūṅki narsiṅge kī āvāz aur jaṅg ke nāre mere kān tak pahuṅch gae haiṅ. 20yake bād dīgre shikastoṅ kī ḵẖabreṅ mil rahī haiṅ, chāroṅ taraf mulk kī tabāhī huī hai. achānak hī mere tambū barbād haiṅ, ek hī lamhe meṅ mere ḵẖaime ḵẖatm ho gae haiṅ. 21mujhe kab tak jaṅg kā jhaṅḍā dekhnā paṛegā, kab tak narsiṅge kī āvāz sunnī paṛegī?
22“merī qaum ahamaq hai aur mujhe nahīṅ jāntī. vah bevuqūf aur nāsamajh bacche haiṅ. go vah ġalat kām karne meṅ bahut tez haiṅ, lekin bhalāī karnā un kī samajh se bāhar hai.”
23maiṅ ne mulk par nazar ḍālī to vīrān-o-sunsān thā. jab āsmān kī taraf dekhā to aṅdherā thā. 24merī nigāh pahāṛoṅ par paṛī to tharathrā rahe the, tamām pahāṛiyāṅ hichkole khā rahī thīṅ. 25kahīṅ koī shaḵẖs nazar na āyā, tamām parinde bhī uṛ kar jā chuke the. 26maiṅ ne mulk par nazar dauṛāī to kyā dekhtā hūṅ ki zarḵẖez zamīn registān ban gaī hai. rabb aur us ke shadīd ġazab ke sāmne us ke tamām shahar nest-o-nābūd ho gae haiṅ. 27kyūṅki rabb farmātā hai, “pūrā mulk barbād ho jāegā, agarchi maiṅ use pūre taur par ḵẖatm nahīṅ karūṅgā. 28zamīn mātam karegī aur āsmān tārīk ho jāegā, kyūṅki maiṅ yah farmā chukā hūṅ, aur merā irādā aṭal hai. na maiṅ yah karne se pachhatāūṅgā, na is se bāz āūṅgā.”
29ghuṛasavāroṅ aur tīr chalāne vāloṅ kā shor-sharābā sun kar log tamām shaharoṅ se nikal kar jaṅgaloṅ aur chaṭānoṅ meṅ khisak jāeṅge. tamām shahar vīrān-o-sunsān hoṅge, kisī meṅ bhī log nahīṅ baseṅge.
30to phir tū kyā kar rahī hai, tū jise ḵẖāk meṅ milā diyā gayā hai? ab qirmizī libās aur sone ke zevrāt pahanne kī kyā zarūrat hai? is vaqt apnī āṅkhoṅ ko surme se sajāne aur apne āp ko ārāstā karne kā koī fāidā nahīṅ. tere āshiq to tujhe haqīr jānte balki tujhe jān se mārne ke darpai haiṅ. 31kyūṅki mujhe dard-e-zah meṅ mubtalā aurat kī āvāz, pahalī bār janm dene vālī kī āh-o-zārī sunāī de rahī hai. siyyūn beṭī karāh rahī hai, vah apne hāth phailāe hue kah rahī hai, “hāy, mujh par afsos! merī jān qātiloṅ ke hāth meṅ ā kar nikal rahī hai.”