Yarmiyāh 47
filistiyoṅ ko safhā-e-hastī se miṭāyā jāegā
1firaaun ke ġazzā shahar par hamlā karne se pahale yaramiyāh nabī par filistiyoṅ ke bāre meṅ rabb kā kalām nāzil huā,
2“rabb farmātā hai ki shimāl se pānī ā rahā hai jo sailāb ban kar pūre mulk ko ġarq kar degā. pūrā mulk shaharoṅ aur bāshindoṅ samet us meṅ ḍūb jāegā. log chīḵẖ uṭheṅge, aur mulk ke tamām bāshinde āh-o-zārī kareṅge. 3kyūṅki sarpaṭ dauṛte hue ghoṛoṅ kī ṭāpeṅ sunāī deṅgī, dushman ke rathoṅ kā shor aur pahiyoṅ kī gaṛagaṛāhaṭ un ke kānoṅ tak pahuṅchegī. bāp ḵẖaufzadā ho kar yūṅ sākit ho jāeṅge ki vah apne bacchoṅ kī madad karne ke liye pīchhe bhī dekh nahīṅ sakeṅge. 4kyūṅki vah din āne vālā hai jab tamām filistiyoṅ ko nest-o-nābūd kiyā jāegā tāki sūr aur saidā ke āḵẖirī madad karne vāle bhī ḵẖatm ho jāeṅ. kyūṅki rabb filistiyoṅ ko safhā-e-hastī se miṭāne vālā hai, jazīrā-e-krete ke un bache huoṅ ko jo yahāṅ ā kar ābād hue haiṅ.
5ġazzā beṭī mātam ke ālam meṅ apnā sar muṅḍavāegī, asqalūn shahar mismār ho jāegā. ai maidānī ilāqe ke bache hue logo, tum kab tak apnī jild ko zaḵẖmī karte rahoge? 6‘hāy, ai rabb kī talvār, kyā tū kabhī nahīṅ ārām karegī? dubārā apne miyān meṅ chhup jā! ḵẖāmosh ho kar ārām kar!’ 7lekin vah kis tarah ārām kar saktī hai jab rabb ne ḵẖud use chalāyā hai, jab usī ne use asqalūn aur sāhilī ilāqe par dhāvā bolne kā hukm diyā hai?”