Yarmiyāh 52
shāh-e-yahūdāh sidaqiyāh kī hukūmat
1sidaqiyāh 21 sāl kī umr meṅ bādshāh banā, aur yarūshalam meṅ us kī hukūmat kā daurāniyā 11 sāl thā. us kī māṅ hamūtal bint yaramiyāh libnā shahar kī rahane vālī thī. 2yahūyaqīm kī tarah sidaqiyāh aisā kām kartā rahā jo rabb ko nāpsand thā. 3rabb yarūshalam aur yahūdāh ke bāshindoṅ se itnā nārāz huā ki āḵẖir meṅ us ne unheṅ apne huzūr se ḵẖārij kar diyā.
sidaqiyāh kā farār aur giriftārī
ek din sidaqiyāh bābal ke bādshāh se sarkash huā, 4is liye shāh-e-bābal nabūkadnazzar tamām fauj apne sāth le kar dubārā yarūshalam pahuṅchā tāki us par hamlā kare.
sidaqiyāh kī hukūmat ke navveṅ sāl meṅ bābal kī fauj yarūshalam kā muhāsarā karne lagī. yah kām dasveṅ mahīne ke dasveṅ din [a] 15 janvrī. shurū huā. pūre shahar ke ird-gird bādshāh ne pushte banvāe. 5sidaqiyāh kī hukūmat ke 11veṅ sāl tak yarūshalam qāim rahā. 6lekin phir kāl ne shahar meṅ zor pakṛā, aur avām ke liye khāne kī chīzeṅ na rahīṅ.
chauthe mahīne ke navveṅ din [b] 18 julāī. 7bābal ke faujiyoṅ ne fasīl meṅ raḵẖnā ḍāl diyā. usī rāt sidaqiyāh apne tamām faujiyoṅ samet farār hone meṅ kāmyāb huā, agarchi shahar dushman se ghirā huā thā. vah fasīl ke us darvāze se nikle jo shāhī bāġ ke sāth mulhiq do dīvāroṅ ke bīch meṅ thā. vah vādī-e-yardan kī taraf bhāgne lage, 8lekin bābal kī fauj ne bādshāh kā tāqqub karke use yarīhū ke maidān meṅ pakaṛ liyā. us ke faujī us se alag ho kar chāroṅ taraf muntashir ho gae, 9aur vah ḵẖud giriftār ho gayā. phir use mulk-e-hamāt ke shahar riblā meṅ shāh-e-bābal ke pās lāyā gayā, aur vahīṅ us ne sidaqiyāh par faislā sādir kiyā. 10sidaqiyāh ke dekhte dekhte shāh-e-bābal ne riblā meṅ us ke beṭoṅ ko qatl kiyā. sāth sāth us ne yahūdāh ke tamām buzurgoṅ ko bhī maut ke ghāṭ utār diyā. 11phir us ne sidaqiyāh kī āṅkheṅ nikalvā kar use pītal kī zanjīroṅ meṅ jakaṛ liyā aur bābal le gayā jahāṅ vah jīte jī rahā.
yarūshalam aur rabb ke ghar kī tabāhī
12shāh-e-bābal nabūkadnazzar kī hukūmat ke 19veṅ sāl meṅ bādshāh kā ḵẖās afsar nabūzarādān yarūshalam pahuṅchā. vah shāhī muhāfizoṅ par muqarrar thā. pāṅchveṅ mahīne ke sātveṅ din [c] 17 agast. us ne ā kar 13rabb ke ghar, shāhī mahal aur yarūshalam ke tamām makānoṅ ko jalā diyā. har baṛī imārat bhasm ho gaī. 14us ne apne tamām faujiyoṅ se shahar kī pūrī fasīl ko bhī girā diyā. 15phir nabūzarādān ne sab ko jilāvatan kar diyā jo yarūshalam meṅ pīchhe rah gae the. vah bhī un meṅ shāmil the jo jaṅg ke daurān ġaddārī karke shāh-e-bābal ke pīchhe lag gae the. nabūzarādān bāqīmāndā kārīgar aur ġarīboṅ meṅ se bhī kuchh bābal le gayā. 16lekin us ne sab se nichle tabqe ke bāz logoṅ ko mulk-e-yahūdāh meṅ chhoṛ diyā tāki vah aṅgūr ke bāġoṅ aur khetoṅ ko saṁbhāleṅ.
17bābal ke faujiyoṅ ne rabb ke ghar meṅ jā kar pītal ke donoṅ satūnoṅ, pānī ke bāsnoṅ ko uṭhāne vālī hathgāṛiyoṅ aur samundar nāmī pītal ke hauz ko toṛ diyā aur sārā pītal uṭhā kar bābal le gae. 18vah rabb ke ghar kī ḵẖidmat sar’anjām dene ke liye darkār sāmān bhī le gae yānī bālṭiyāṅ, belache, battī katarne ke auzār, chhiṛkāo ke kaṭore, piyāle aur pītal kā bāqī sārā sāmān. 19ḵẖālis sone aur chāṅdī ke bartan bhī is meṅ shāmil the yānī bāsan, jalte hue koile ke bartan, chhiṛkāo ke kaṭore, bālṭiyāṅ, shamādān, piyāle aur mai kī nazreṅ pesh karne ke bartan. shāhī muhāfizoṅ kā yah afsar sārā sāmān uṭhā kar bābal le gayā. 20jab donoṅ satūnoṅ, samundar nāmī hauz, hauz ko uṭhāne vāle pītal ke bailoṅ aur bāsnoṅ ko uṭhāne vālī hathgāṛiyoṅ kā pītal tuṛvāyā gayā to vah itnā vaznī thā ki use tolā na jā sakā. sulemān bādshāh ne yah chīzeṅ rabb ke ghar ke liye banvāī thīṅ. 21har satūn kī ūṅchāī 27 fuṭ aur gherā 18 fuṭ thā. donoṅ khokhle the, aur un kī dīvāroṅ kī moṭāī 3 iṅch thī. 22un ke bālāī hissoṅ kī ūṅchāī sāḍhe sāt fuṭ thī, aur vah pītal kī jālī aur anāroṅ se saje hue the. 2396 anār lage hue the. jālī ke ird-gird kul 100 anār lage the.
24shāhī muhāfizoṅ ke afsar nabūzarādān ne zail ke qaidiyoṅ ko alag kar diyā : imām-e-āzam sirāyāh, us ke bād āne vāle imām safaniyāh, rabb ke ghar ke tīn darbānoṅ, 25shahar ke bache huoṅ meṅ se us afsar ko jo shahar ke faujiyoṅ par muqarrar thā, sidaqiyāh bādshāh ke sāt mushīroṅ, ummat kī bhartī karne vāle afsar aur shahar meṅ maujūd us ke 60 mardoṅ ko. 26nabūzarādān in sab ko alag karke sūbā hamāt ke shahar riblā le gayā jahāṅ shāh-e-bābal thā. 27vahāṅ nabūkadnazzar ne unheṅ sazā-e-maut dī.
yūṅ yahūdāh ke bāshindoṅ ko jilāvatan kar diyā gayā. 28nabūkadnazzar ne apnī hukūmat ke 7veṅ sāl meṅ yahūdāh ke 3,023 afrād, 2918veṅ sāl meṅ yarūshalam ke 832 afrād, 30aur 23veṅ sāl meṅ 745 afrād ko jilāvatan kar diyā. yah āḵẖirī log shāhī muhāfizoṅ ke afsar nabūzarādān ke zarīe bābal lāe gae. kul 4,600 afrād jilāvatan hue.
yahūyākīn ko āzād kiyā jātā hai
31yahūdāh ke bādshāh yahūyākīn kī jilāvatanī ke 37veṅ sāl meṅ avīl-marūdak bābal kā bādshāh banā. usī sāl ke 12veṅ mahīne ke 25veṅ din [d] 31 mārch. us ne yahūyākīn ko qaidḵẖāne se āzād kar diyā. 32us ne us ke sāth narm bāteṅ karke use izzat kī aisī kursī par biṭhāyā jo bābal meṅ jilāvatan kie gae bāqī bādshāhoṅ kī nisbat ziyādā aham thī. 33yahūyākīn ko qaidī ke kapṛe utārne kī ijāzat milī, aur use zindagī bhar bādshāh kī mez par bāqāidagī se khānā khāne kā sharaf hāsil rahā. 34bādshāh ne muqarrar kiyā ki yahūyākīn ko umr bhar itnā vazīfā miltā rahe ki us kī rozmarrā zarūriyāt pūrī hotī raheṅ.