Yarmiyāh 9
1kāsh merā sar pānī kā mambā aur merī āṅkheṅ āṅsūoṅ kā chashmā hoṅ tāki maiṅ din rāt apnī qaum ke maqtūloṅ par āh-o-zārī kar sakūṅ.
dhokebāzoṅ kī qaum
2kāsh registān meṅ kahīṅ musāfiroṅ ke liye sarāy ho tāki maiṅ apnī qaum ko chhoṛ kar vahāṅ chalā jāūṅ. kyūṅki sab zinākār, sab ġaddāroṅ kā jathā haiṅ.
3rabb farmātā hai, “vah apnī zabān se jhūṭ ke tīr chalāte haiṅ, aur mulk meṅ un kī tāqat diyānatdārī par mabnī nahīṅ hotī. nīz, vah badtar hote jā rahe haiṅ. mujhe to vah jānte hī nahīṅ. 4har ek apne paṛosī se ḵẖabardār rahe, aur apne kisī bhī bhāī par bharosā mat rakhnā. kyūṅki har bhāī chālākī karne meṅ māhir hai, aur har paṛosī tuhamat lagāne par tulā rahatā hai. 5har ek apne paṛosī ko dhokā detā hai, koī bhī sacch nahīṅ boltā. unhoṅ ne apnī zabān ko jhūṭ bolnā sikhāyā hai, aur ab vah ġalat kām karte karte thak gae haiṅ. 6ai yaramiyāh, tū fareb se ghirā rahatā hai, aur yah log fareb ke bāis hī mujhe jānne se inkār karte haiṅ.”
7is liye rabb-ul-afwāj farmātā hai, “dekho, maiṅ unheṅ ḵẖām chāṅdī kī tarah pighlā kar āzmāūṅgā, kyūṅki maiṅ apnī qaum, apnī beṭī ke sāth aur kyā kar saktā hūṅ? 8un kī zabāneṅ muhalak tīr haiṅ. un ke muṅh paṛosī se sulah-salāmatī kī bāteṅ karte haiṅ jabki andar hī andar vah us kī tāk meṅ baiṭhe haiṅ.” 9rabb farmātā hai, “kyā mujhe unheṅ is kī sazā nahīṅ denī chāhie? kyā mujhe aisī qaum se badlā nahīṅ lenā chāhie?”
nohā karo!
10maiṅ pahāṛoṅ ke bāre meṅ āh-o-zārī karūṅgā, biyābān kī charāgāhoṅ par mātam kā gīt gāūṅgā. kyūṅki vah yūṅ tabāh ho gae haiṅ ki na koī un meṅ se guzartā, na revṛoṅ kī āvāzeṅ un meṅ sunāī detī haiṅ. parinde aur jānvar sab bhāg kar chale gae haiṅ. 11“yarūshalam ko maiṅ malbe kā ḍher banā dūṅgā, aur āindā gīdaṛ us meṅ jā baseṅge. yahūdāh ke shaharoṅ ko maiṅ vīrān-o-sunsān kar dūṅgā. ek bhī un meṅ nahīṅ basegā.”
12kaun itnā dānishmand hai ki yah samajh sake? kis ko rabb se itnī hidāyat milī hai ki vah bayān kar sake ki mulk kyūṅ barbād ho gayā hai? vah kyūṅ registān jaisā ban gayā hai, itnā vīrān ki us meṅ se koī nahīṅ guzartā?
13rabb ne farmāyā, “vajah yah hai ki unhoṅ ne merī sharīat ko tark kiyā, vah hidāyat jo maiṅ ne ḵẖud unheṅ dī thī. na unhoṅ ne merī sunī, na merī sharīat kī pairvī kī. 14is ke bajāy vah apne ziddī diloṅ kī pairvī karke bāl devtāoṅ ke pīchhe lag gae haiṅ. unhoṅ ne vahī kuchh kiyā jo un ke bāpdādā ne unheṅ sikhāyā thā.”
15is liye rabb-ul-afwāj jo isrāīl kā ḵẖudā hai farmātā hai, “dekho, maiṅ is qaum ko kaṛvā khānā khilā kar zaharīlā pānī pilā dūṅgā. 16maiṅ unheṅ aisī qaumoṅ meṅ muntashir kar dūṅgā jin se na vah aur na un ke bāpdādā vāqif the. merī talvār us vaqt tak un ke pīchhe paṛī rahegī jab tak halāk na ho jāeṅ.” 17rabb-ul-afwāj farmātā hai, “dhyān de kar giryā karne vālī aurtoṅ ko bulāo. jo janāzoṅ par vāvailā kartī haiṅ un meṅ se sab se māhir aurtoṅ ko bulāo.
18vah jald ā kar ham par āh-o-zārī kareṅ tāki hamārī āṅkhoṅ se āṅsū bah nikleṅ, hamārī palkoṅ se pānī ḵẖūb ṭapakne lage.
19kyūṅki siyyūn se giryā kī āvāzeṅ buland ho rahī haiṅ, ‘hāy, hamāre sāth kaisī ziyādtī huī hai, hamārī kaisī rusvāī huī hai! ham mulk ko chhoṛne par majbūr haiṅ, kyūṅki dushman ne hamāre gharoṅ ko ḍhā diyā hai’.”
20ai aurto, rabb kā paiġām suno. apne kānoṅ ko us kī har bāt par dharo! apnī beṭiyoṅ ko nohā karne kī tālīm do, ek dūsrī ko mātam kā yah gīt sikhāo,
21“maut phalāṅg kar hamārī khiṛkiyoṅ meṅ se ghus āī aur hamāre qilaoṅ meṅ dāḵẖil huī hai. ab vah bacchoṅ ko galiyoṅ meṅ se aur naujvānoṅ ko chaukoṅ meṅ se miṭā ḍālne jā rahī hai.”
22rabb farmātā hai, “nāsheṅ khetoṅ meṅ gobar kī tarah idhar udhar bikhrī paṛī raheṅgī. jis tarah kaṭā huā gandum fasal kāṭne vāle ke pīchhe idhar udhar paṛā rahatā hai usī tarah lāsheṅ idhar udhar paṛī raheṅgī. lekin unheṅ ikaṭṭhā karne vālā koī nahīṅ hogā.”
23rabb farmātā hai, “na dānishmand apnī hikmat par faḵẖar kare, na zorāvar apne zor par yā amīr apnī daulat par. 24faḵẖar karne vālā faḵẖar kare ki use samajh hāsil hai, ki vah rabb ko jāntā hai aur ki maiṅ rabb hūṅ jo duniyā meṅ meharbānī, insāf aur rāstī ko amal meṅ lātā hūṅ. kyūṅki yahī chīzeṅ mujhe pasand haiṅ.”
25rabb farmātā hai, “aisā vaqt ā rahā hai jab maiṅ un sab ko sazā dūṅgā jin kā sirf jismānī ḵẖatnā huā hai. 26in meṅ misr, yahūdāh, adom, ammon, moāb aur vah shāmil haiṅ jo registān ke kināre kināre rahate haiṅ. kyūṅki go yah tamām aqvām zāhirī taur par ḵẖatnā kī rasm adā kartī haiṅ, lekin un kā ḵẖatnā bātinī taur par nahīṅ huā. dhyān do ki isrāīl kī bhī yahī hālat hai.”