Ayyūb 10
mujhe apnī jān se ghin ātī hai
1mujhe apnī jān se ghin ātī hai. maiṅ āzādī se āh-o-zārī karūṅgā, khule taur par apnā dilī ġam bayān karūṅgā. 2maiṅ allāh se kahūṅgā ki mujhe mujrim na ṭhaharā balki batā ki terā mujh par kyā ilzām hai. 3kyā tū zulm karke mujhe radd karne meṅ ḵẖushī mahsūs kartā hai hālāṅki tere apne hī hāthoṅ ne mujhe banāyā? sāth sāth tū bedīnoṅ ke mansūboṅ par apnī manzūrī kā nūr chamkātā hai. kyā yah tujhe acchhā lagtā hai? 4kyā terī āṅkheṅ insānī haiṅ? kyā tū sirf insān kī sī nazar se dekhtā hai? 5kyā tere din aur sāl fānī insān jaise mahdūd haiṅ? hargiz nahīṅ! 6to phir kyā zarūrat hai ki tū mere qusūr kī talāsh aur mere gunāh kī tahqīq kartā rahe? 7tū to jāntā hai ki maiṅ bequsūr hūṅ aur ki tere hāth se koī bachā nahīṅ saktā.
8tere apne hāthoṅ ne mujhe tashkīl de kar banāyā. aur ab tū ne muṛ kar mujhe tabāh kar diyā hai. 9zarā is kā ḵẖayāl rakh ki tū ne mujhe miṭṭī se banāyā. ab tū mujhe dubārā ḵẖāk meṅ tabdīl kar rahā hai. 10tū ne ḵẖud mujhe dūdh kī tarah uṅḍel kar panīr kī tarah jamne diyā. 11tū hī ne mujhe jild aur gosht-post se mulabbas kiyā, haḍḍiyoṅ aur nasoṅ se tayyār kiyā. 12tū hī ne mujhe zindagī aur apnī meharbānī se navāzā, aur terī dekh-bhāl ne merī rūh ko mahfūz rakhā.
13lekin ek bāt tū ne apne dil meṅ chhupāe rakhī, hāṅ mujhe terā irādā mālūm ho gayā hai. 14vah yah hai ki ‘agar ayyūb gunāh kare to maiṅ us kī paharādārī karūṅgā. maiṅ use us ke qusūr se barī nahīṅ karūṅgā.’
15agar maiṅ qusūrvār hūṅ to mujh par afsos! aur agar maiṅ begunāh bhī hūṅ tāham maiṅ apnā sar uṭhāne kī jur’at nahīṅ kartā, kyūṅki maiṅ sharm khā khā kar ser ho gayā hūṅ. mujhe ḵẖūb musībat pilāī gaī hai. 16aur agar maiṅ khaṛā bhī ho jāūṅ to tū sherbabar kī tarah merā shikār kartā aur mujh par dubārā apnī mojizānā qudrat kā izhār kartā hai. 17tū mere ḵẖilāf nae gavāhoṅ ko khaṛā kartā aur mujh par apne ġazab meṅ izāfā kartā hai, tere lashkar saf-dar-saf mujh par hamlā karte haiṅ. 18tū mujhe merī māṅ ke peṭ se kyūṅ nikāl lāyā? behatar hotā ki maiṅ usī vaqt mar jātā aur kisī ko nazar na ātā. 19yūṅ hotā jaisā maiṅ kabhī zindā hī na thā, mujhe sīdhā māṅ ke peṭ se qabr meṅ pahuṅchāyā jātā. 20kyā mere din thoṛe nahīṅ haiṅ? mujhe tanhā chhoṛ! mujh se apnā muṅh pher le tāki maiṅ chand ek lamhoṅ ke liye ḵẖush ho sakūṅ, 21kyūṅki jald hī mujhe kūch karke vahāṅ jānā hai jahāṅ se koī vāpas nahīṅ ātā, us mulk meṅ jis meṅ tārīkī aur ghane sāy rahate haiṅ. 22vah mulk aṅdherā hī aṅdherā aur kālā hī kālā hai, us meṅ ghane sāy aur betartībī hai. vahāṅ raushnī bhī aṅdherā hī hai.”