Ayyūb 11
zūfar kā javāb : taubā kar
1phir zūfar nāmātī ne javāb de kar kahā,
2“kyā in tamām bātoṅ kā javāb nahīṅ denā chāhie? kyā yah ādmī apnī ḵẖālī bātoṅ kī binā par hī rāstbāz ṭhaharegā? 3kyā terī bemānī bāteṅ logoṅ ke muṅh yūṅ band kareṅgī ki tū āzādī se lān-tān kartā jāe aur koī tujhe sharmindā na kar sake? 4allāh se tū kahatā hai, ‘merī tālīm pāk hai, aur terī nazar meṅ maiṅ pāk-sāf hūṅ.’
5kāsh allāh ḵẖud tere sāth hamkalām ho, vah apne hoṅṭoṅ ko khol kar tujh se bāt kare! 6kāsh vah tere liye hikmat ke bhed khole, kyūṅki vah insān kī samajh ke nazdīk mojize se haiṅ. tab tū jān letā ki allāh tere gunāh kā kāfī hissā darguzar kar rahā hai.
7kyā tū allāh kā rāz khol saktā hai? kyā tū qādir-e-mutlaq ke kāmil ilm tak pahuṅch saktā hai? 8vah to āsmān se buland hai, chunāṅche tū kyā kar saktā hai? vah pātāl se gaharā hai, chunāṅche tū kyā jān saktā hai? 9us kī lambāī zamīn se baṛī aur chauṛāī samundar se ziyādā hai.
10agar vah kahīṅ se guzar kar kisī ko giriftār kare yā adālat meṅ us kā hisāb kare to kaun use rokegā? 11kyūṅki vah farebdih ādmiyoṅ ko jān letā hai, jab bhī use burāī nazar āe to vah us par ḵẖūb dhyān detā hai. 12aqal se ḵẖālī ādmī kis tarah samajh pā saktā hai? yah utnā hī nāmumkin hai jitnā yah ki jaṅglī gadhe se insān paidā ho.
13ai ayyūb, apnā dil pūre dhyān se allāh kī taraf māil kar aur apne hāth us kī taraf uṭhā! 14agar tere hāth gunāh meṅ mulavvas hoṅ to use dūr kar aur apne ḵẖaime meṅ burāī basne na de! 15tab tū beilzām hālat meṅ apnā chiharā uṭhā sakegā, tū mazbūtī se khaṛā rahegā aur ḍaregā nahīṅ. 16tū apnā dukh-dard bhūl jāegā, aur vah sirf guzre sailāb kī tarah yād rahegā. 17terī zindagī dopahar kī tarah chamakdār, terī tārīkī subah kī mānind raushan ho jāegī. 18chūṅki ummīd hogī is liye tū mahfūz hogā aur salāmatī se leṭ jāegā. 19tū ārām karegā, aur koī tujhe dahshatzadā nahīṅ karegā balki bahut log terī nazar-e-ināyat hāsil karne kī koshish kareṅge. 20lekin bedīnoṅ kī āṅkheṅ nākām ho jāeṅgī, aur vah bach nahīṅ sakeṅge. un kī ummīd māyūskun hogī [a] yā un kī vāhid ummīd is meṅ hogī ki dam chhoṛeṅ. .”