Ayyūb 13

1yah sab kuchh maiṅ ne apnī āṅkhoṅ se dekhā, apne kānoṅ se sun kar samajh liyā hai. 2ilm ke lihāz se maiṅ tumhāre barābar hūṅ. is nāte se maiṅ tum se kam nahīṅ hūṅ. 3lekin maiṅ qādir-e-mutlaq se hī bāt karnā chāhatā hūṅ, allāh ke sāth hī mubāhasā karne kī ārzū rakhtā hūṅ.

4jahāṅ tak tumhārā tālluq hai, tum sab farebdih lep lagāne vāle aur bekār ḍākṭar ho. 5kāsh tum sarāsar ḵẖāmosh rahate! aisā karne se tumhārī hikmat kahīṅ ziyādā zāhir hotī. 6mubāhise meṅ zarā merā mauqif suno, adālat meṅ mere bayānāt par ġaur karo!

7kyā tum allāh kī ḵẖātir kajrau bāteṅ pesh karte ho, kyā usī kī ḵẖātir jhūṭ bolte ho? 8kyā tum us kī jānibdārī karnā chāhate ho, allāh ke haq meṅ laṛnā chāhate ho? 9soch lo, agar vah tumhārī jāṅch kare to kyā tumhārī bāt banegī? kyā tum use yūṅ dhokā de sakte ho jis tarah insān ko dhokā diyā jātā hai?

10agar tum ḵẖufiyā taur par bhī jānibdārī dikhāo to vah tumheṅ zarūr saḵẖt sazā degā. 11kyā us kā rob tumheṅ ḵẖaufzadā nahīṅ karegā? kyā tum us se saḵẖt dahshat nahīṅ khāoge? 12phir jin kahāvatoṅ kī yād tum dilāte rahate ho vah rākh kī amsāl sābit hoṅgī, patā chalegā ki tumhārī bāteṅ miṭṭī ke alfāz haiṅ.

13ḵẖāmosh ho kar mujh se bāz āo! jo kuchh bhī mere sāth ho jāe, maiṅ bāt karnā chāhatā hūṅ. 14maiṅ apne āp ko ḵẖatre meṅ ḍālne ke liye tayyār hūṅ, maiṅ apnī jān par khelūṅgā. 15shāyad vah mujhe mār ḍāle. koī bāt nahīṅ, kyūṅki merī ummīd jātī rahī hai. jo kuchh bhī ho meṅ usī ke sāmne apnī rāhoṅ kā difā karūṅgā. 16aur is meṅ maiṅ panāh letā hūṅ ki bedīn us ke huzūr āne kī jur’at nahīṅ kartā.

17dhyān se mere alfāz suno, apne kān mere bayānāt par dharo. 18tumheṅ patā chalegā ki maiṅ ne ehatiyāt aur tartīb se apnā muāmalā tayyār kiyā hai. mujhe sāf mālūm hai ki maiṅ haq par hūṅ! 19agar koī mujhe mujrim sābit kar sake to maiṅ chup ho jāūṅgā, dam chhoṛne tak ḵẖāmosh rahūṅgā.

ayyūb kī māyūsī meṅ duā

20ai allāh, merī sirf do daraḵẖwāsteṅ manzūr kar tāki mujhe tujh se chhup jāne kī zarūrat na ho. 21pahale, apnā hāth mujh se dūr kar tāki terā ḵẖauf mujhe dahshatzadā na kare. 22dūsre, is ke bād mujhe bulā tāki maiṅ javāb dūṅ, yā mujhe pahale bolne de aur tū hī is kā javāb de.

23mujh se kitne gunāh aur ġaltiyāṅ huī haiṅ? mujh par merā jurm aur merā gunāh zāhir kar! 24tū apnā chiharā mujh se chhupāe kyūṅ rakhtā hai? tū mujhe kyūṅ apnā dushman samajhtā hai? 25kyā tū havā ke jhoṅkoṅ ke uṛāe hue patte ko dahshat khilānā chāhatā, ḵẖushk bhūse kā tāqqub karnā chāhatā hai?

26yah terā hī faislā hai ki maiṅ talḵẖ tajriboṅ se guzrūṅ, terī hī marzī hai ki maiṅ apnī javānī ke gunāhoṅ kī sazā pāūṅ. [a] lafzī tarjumā : mīrās meṅ pāūṅ. 27tū mere pāoṅ ko kāṭh meṅ ṭhoṅk kar merī tamām rāhoṅ kī paharādārī kartā hai. tū mere har ek naqsh-e-qadam par dhyān detā hai, 28go maiṅ mai kī ghisī phaṭī mashk aur kīṛoṅ kā ḵẖarāb kiyā huā libās hūṅ.

[a] lafzī tarjumā : mīrās meṅ pāūṅ.