Ayyūb 14

1aurat se paidā huā insān chand ek din zindā rahatā hai, aur us kī zindagī bechainī se bharī rahatī hai. 2phūl kī tarah vah chand lamhoṅ ke liye phūṭ nikaltā, phir murjhā jātā hai. sāy kī tarah vah thoṛī der ke bād ojhal ho jātā aur qāim nahīṅ rahatā. 3kyā tū vāqaī ek aisī maḵẖlūq kā itne ġaur se muāinā karnā chāhatā hai? maiṅ kaun hūṅ ki tū mujhe peshī ke liye apne huzūr lāe?

4kaun nāpāk chīz ko pāk-sāf kar saktā hai? koī nahīṅ! 5insān kī umr to muqarrar huī hai, us ke mahīnoṅ kī tādād tujhe mālūm hai, kyūṅki tū hī ne us ke dinoṅ kī vah hadd bāṅdhī hai jis se āge vah baṛh nahīṅ saktā. 6chunāṅche apnī nigāh us se pher le aur use chhoṛ de tāki vah mazdūr kī tarah apne thoṛe dinoṅ se kuchh mazā le sake.

7agar daraḵẖt ko kāṭā jāe to use thoṛī bahut ummīd bāqī rahatī hai, kyūṅki ain mumkin hai ki muḍh se koṁpleṅ phūṭ nikleṅ aur us kī naī shāḵẖeṅ ugtī jāeṅ. 8beshak us kī jaṛeṅ purānī ho jāeṅ aur us kā muḍh miṭṭī meṅ ḵẖatm hone lage, 9lekin pānī kī ḵẖushbū sūṅghte hī vah koṁpleṅ nikālne lagegā, aur panīrī kī sī ṭahaniyāṅ us se phūṭne lageṅgī.

10lekin insān farq hai. marte vaqt us kī har tarah kī tāqat jātī rahatī hai, dam chhoṛte vaqt us kā nām-o-nishān tak nahīṅ rahatā. 11vah us jhīl kī mānind hai jis kā pānī ojhal ho jāe, us nadī kī mānind jo sukaṛ kar ḵẖushk ho jāe. 12vafāt pāne vāle kā yahī hāl hai. vah leṭ jātā aur kabhī nahīṅ uṭhegā. jab tak āsmān qāim hai na vah jāg uṭhegā, na use jagāyā jāegā.

13kāsh tū mujhe pātāl meṅ chhupā detā, mujhe vahāṅ us vaqt tak poshīdā rakhtā jab tak terā qahar ṭhaṅḍā na ho jātā! kāsh tū ek vaqt muqarrar kare jab tū merā dubārā ḵẖayāl karegā. 14(kyūṅki agar insān mar jāe to kyā vah dubārā zindā ho jāegā?) phir maiṅ apnī saḵẖt ḵẖidmat ke tamām din bardāsht kartā, us vaqt tak intizār kartā jab tak merī sabukdoshī na ho jātī. 15tab tū mujhe āvāz detā aur maiṅ javāb detā, tū apne hāthoṅ ke kām kā ārzūmand hotā. 16us vaqt bhī tū mere har qadam kā shumār kartā, lekin na sirf is maqsad se ki mere gunāhoṅ par dhyān de. 17tū mere jarāim thaile meṅ bāṅdh kar us par muhar lagā detā, merī har ġaltī ko ḍhāṅk detā.

18lekin afsos! jis tarah pahāṛ gir kar chūr chūr ho jātā aur chaṭān khisak jātī hai, 19jis tarah bahatā pānī patthar ko ragaṛ ragaṛ kar ḵẖatm kartā aur sailāb miṭṭī ko bahā le jātā hai usī tarah tū insān kī ummīd ḵẖāk meṅ milā detā hai. 20tū mukammal taur par us par ġālib ā jātā to vah kūch kar jātā hai, tū us kā chiharā bigāṛ kar use fāriġ kar detā hai. 21agar us ke bacchoṅ ko sarfarāz kiyā jāe to use patā nahīṅ chaltā, agar unheṅ past kiyā jāe to yah bhī us ke ilm meṅ nahīṅ ātā. 22vah sirf apne hī jism kā dard mahsūs kartā aur apne liye hī mātam kartā hai.”