Ayyūb 18

bildad : allāh bedīnoṅ ko sazā detā hai

1bildad sūḵẖī ne javāb de kar kahā,

2“tū kab tak aisī bāteṅ karegā? in se bāz ā kar hosh meṅ ā! tab hī ham sahīh bāt kar sakeṅge. 3tū hameṅ ḍaṅgar jaise ahamaq kyūṅ samajhtā hai? 4go tū āg-bagūlā ho kar apne āp ko phāṛ rahā hai, lekin kyā tere bāis zamīn ko vīrān honā chāhie aur chaṭānoṅ ko apnī jagah se khisaknā chāhie? hargiz nahīṅ!

5yaqīnan bedīn kā charāġ bujh jāegā, us kī āg kā sholā āindā nahīṅ chamkegā. 6us ke ḵẖaime meṅ raushnī aṅdherā ho jāegī, us ke ūpar kī shamā bujh jāegī. 7us ke lambe qadam ruk ruk kar āge baṛheṅge, aur us kā apnā mansūbā use paṭaḵẖ degā.

8us ke apne pāoṅ use jāl meṅ phaṅsā dete haiṅ, vah dām par hī chaltā phirtā hai. 9phaṅdā us kī eṛī pakaṛ letā, kamand use jakaṛ letī hai. 10use phaṅsāne kā rassā zamīn meṅ chhupā huā hai, rāste meṅ phaṅdā bichhā hai.

11vah aisī chīzoṅ se ghirā rahatā hai jo use qadam-ba-qadam dahshat khilātī aur us kī nāk meṅ dam kartī haiṅ. 12āfat use haṛap kar lenā chāhatī hai, tabāhī tayyār khaṛī hai tāki use girte vaqt hī pakaṛ le. 13bīmārī us kī jild ko khā jātī, maut kā pahalauṭhā us ke āzā ko nigal letā hai. 14use us ke ḵẖaime kī hifāzat se chhīn liyā jātā aur ghasīṭ kar dahshatoṅ ke bādshāh ke sāmne lāyā jātā hai.

15us ke ḵẖaime meṅ āg bastī, us ke ghar par gaṅdhak bikhar jātī hai. 16nīche us kī jaṛeṅ sūkh jātī, ūpar us kī shāḵẖeṅ murjhā jātī haiṅ. 17zamīn par se us kī yād miṭ jātī hai, kahīṅ bhī us kā nām-o-nishān nahīṅ rahatā.

18use raushnī se tārīkī meṅ dhakelā jātā, duniyā se bhagā kar ḵẖārij kiyā jātā hai. 19qaum meṅ us kī na aulād na nasal rahegī, jahāṅ pahale rahatā thā vahāṅ koī nahīṅ bachegā. 20us kā anjām dekh kar maġrib ke bāshindoṅ ke roṅgṭe khaṛe ho jāte aur mashriq ke bāshinde dahshatzadā ho jāte haiṅ. 21yahī hai bedīn ke ghar kā anjām, usī ke maqām kā jo allāh ko nahīṅ jāntā.”