Ayyūb 19

ayyūb : maiṅ jāntā hūṅ ki merā najātadihandā zindā hai

1tab ayyūb ne javāb meṅ kahā,

2“tum kab tak mujh par tashaddud karnā chāhate ho, kab tak mujhe alfāz se ṭukṛe ṭukṛe karnā chāhate ho? 3ab tum ne das bār mujhe malāmat kī hai, tum ne sharm kie baġair mere sāth badasulūkī kī hai. 4agar yah bāt sahīh bhī ho ki maiṅ ġalat rāh par ā gayā hūṅ to mujhe hī is kā natījā bhugatnā hai. 5lekin chūṅki tum mujh par apnī sabqat dikhānā chāhate aur merī rusvāī mujhe ḍāṅṭne ke liye istemāl kar rahe ho 6to phir jān lo, allāh ne ḵẖud mujhe ġalat rāh par lā kar apne dām se gher liyā hai.

7go maiṅ chīḵẖ kar kahūṅ, ‘mujh par zulm ho rahā hai,’ lekin javāb koī nahīṅ miltā. go maiṅ madad ke liye pukārūṅ, lekin insāf nahīṅ pātā. 8us ne mere rāste meṅ aisī dīvār khaṛī kar dī ki maiṅ guzar nahīṅ saktā, us ne merī rāhoṅ par aṅdherā hī chhā jāne diyā hai. 9us ne merī izzat mujh se chhīn kar mere sar se tāj utār diyā hai. 10chāroṅ taraf se us ne mujhe ḍhā diyā to maiṅ tabāh huā. us ne merī ummīd ko daraḵẖt kī tarah jaṛ se ukhāṛ diyā hai. 11us kā qahar mere ḵẖilāf bhaṛak uṭhā hai, aur vah mujhe apne dushmanoṅ meṅ shumār kartā hai. 12us ke daste mil kar mujh par hamlā karne āe haiṅ. unhoṅ ne merī fasīl ke sāth miṭṭī kā ḍher lagāyā hai tāki us meṅ raḵẖnā ḍāleṅ. unhoṅ ne chāroṅ taraf se mere ḵẖaime kā muhāsarā kiyā hai.

13mere bhāiyoṅ ko us ne mujh se dūr kar diyā, aur mere jānne vāloṅ ne merā huqqā-pānī band kar diyā hai. 14mere rishtedāroṅ ne mujhe tark kar diyā, mere qarībī dost mujhe bhūl gae haiṅ. 15mere dāmangīr aur naukrāniyāṅ mujhe ajnabī samajhte haiṅ. un kī nazar meṅ maiṅ ajnabī hūṅ. 16maiṅ apne naukar ko bulātā hūṅ to vah javāb nahīṅ detā. go maiṅ apne muṅh se us se iltijā karūṅ to bhī vah nahīṅ ātā.

17merī bīvī merī jān se ghin khātī hai, mere sage bhāī mujhe makrūh samajhte haiṅ. 18yahāṅ tak ki chhoṭe bacche bhī mujhe haqīr jānte haiṅ. agar maiṅ uṭhne kī koshish karūṅ to vah apnā muṅh dūsrī taraf pher lete haiṅ. 19mere dilī dost mujhe karāhiyat kī nigāh se dekhte haiṅ, jo mujhe piyāre the vah mere muḵẖālif ho gae haiṅ. 20merī jild sukaṛ kar merī haḍḍiyoṅ ke sāth jā lagī hai. maiṅ maut se bāl bāl bach gayā hūṅ. [a] lafzī tarjumā : mere dāṅtoṅ kī jild hī bach gaī hai. matlab mubham sā hai.

21mere dosto, mujh par taras khāo, mujh par taras khāo. kyūṅki allāh hī ke hāth ne mujhe mārā hai. 22tum kyūṅ allāh kī tarah mere pīchhe paṛ gae ho, kyūṅ merā gosht khā khā kar ser nahīṅ hote?

23kāsh merī bāteṅ qalamband ho jāeṅ! kāsh vah yādgār par kandā kī jāeṅ, 24lohe kī chhainī aur sīse se hameshā ke liye patthar meṅ naqsh kī jāeṅ! 25lekin maiṅ jāntā hūṅ ki merā chhuṛāne vālā zindā hai aur āḵẖirkār mere haq meṅ zamīn par khaṛā ho jāegā, 26go merī jild yūṅ utārī bhī gaī ho. lekin merī ārzū hai ki jism meṅ hote hue allāh ko dekhūṅ, 27ki maiṅ ḵẖud hī use dekhūṅ, na ki ajnabī balki apnī hī āṅkhoṅ se us par nigāh karūṅ. is ārzū kī shiddat se merā dil tabāh ho rahā hai.

28tum kahate ho, ‘ham kitnī saḵẖtī se ayyūb kā tāqqub kareṅge’ aur masle kī jaṛ to usī meṅ pinhāṅ hai. 29lekin tumheṅ ḵẖud talvār se ḍarnā chāhie, kyūṅki tumhārā ġussā talvār kī sazā ke lāiq hai, tumheṅ jānnā chāhie ki adālat āne vālī hai.”

[a] lafzī tarjumā : mere dāṅtoṅ kī jild hī bach gaī hai. matlab mubham sā hai.