Ayyūb 22
ilīfaz : ayyūb sharīr hai
1phir ilīfaz temānī ne javāb de kar kahā,
2“kyā allāh insān se fāidā uṭhā saktā hai? hargiz nahīṅ! us ke liye dānishmand bhī fāide kā bāis nahīṅ. 3agar tū rāstbāz ho bhī to kyā vah is se apne liye nafā uṭhā saktā hai? hargiz nahīṅ! agar tū beilzām zindagī guzāre to kyā use kuchh hāsil hotā hai? 4allāh tujhe terī ḵẖudātaras zindagī ke sabab se malāmat nahīṅ kar rahā. yah na soch ki vah isī liye adālat meṅ tujh se javāb talab kar rahā hai. 5nahīṅ, vajah terī baṛī badkārī, tere lā-mahdūd gunāh haiṅ.
6jab tere bhāiyoṅ ne tujh se qarz liyā to tū ne bilāvajah vah chīzeṅ apnā lī hoṅgī jo unhoṅ ne tujhe zamānat ke taur par dī thīṅ, tū ne unheṅ un ke kapṛoṅ se maharūm kar diyā hogā. 7tū ne thakemāndoṅ ko pānī pilāne se aur bhūke marne vāloṅ ko khānā khilāne se inkār kiyā hogā. 8beshak terā ravayyā is ḵẖayāl par mabnī thā ki pūrā mulk tāqatavaroṅ kī milkiyat hai, ki sirf baṛe log us meṅ rah sakte haiṅ. 9tū ne bevāoṅ ko ḵẖālī hāth moṛ diyā hogā, yatīmoṅ kī tāqat pāsh pāsh kī hogī. 10isī liye tū phaṅdoṅ se ghirā rahatā hai, achānak hī tujhe dahshatanāk vāqiāt ḍarāte haiṅ. 11yahī vajah hai ki tujh par aisā aṅdherā chhā gayā hai ki tū dekh nahīṅ saktā, ki sailāb ne tujhe ḍubo diyā hai.
12kyā allāh āsmān kī bulandiyoṅ par nahīṅ hotā? vah to sitāroṅ par nazar ḍāltā hai, ḵẖwāh vah kitne hī ūṅche kyūṅ na hoṅ. 13to bhī tū kahatā hai, ‘allāh kyā jāntā hai? kyā vah kāle bādloṅ meṅ se dekh kar adālat kar saktā hai? 14vah ghane bādloṅ meṅ chhupā rahatā hai, is liye jab vah āsmān ke gumbad par chaltā hai to use kuchh nazar nahīṅ ātā.’ 15kyā tū us qadīm rāh se bāz nahīṅ āegā jis par badkār chalte rahe haiṅ? 16vah to apne muqarrarā vaqt se pahale hī sukaṛ gae, un kī bunyādeṅ sailāb se hī uṛā lī gaīṅ. 17unhoṅ ne allāh se kahā, ‘ham se dūr ho jā,’ aur ‘qādir-e-mutlaq hamāre liye kyā kuchh kar saktā hai?’ 18lekin allāh hī ne un ke gharoṅ ko bharpūr ḵẖushhālī se navāzā, go bedīnoṅ ke bure mansūbe us se dūr hī dūr rahate haiṅ. 19rāstbāz un kī tabāhī dekh kar ḵẖush hue, bequsūroṅ ne un kī haṅsī uṛā kar kahā, 20‘lo, yah dekho, un kī jāydād kis tarah miṭ gaī, un kī daulat kis tarah bhasm ho gaī hai!’
21ai ayyūb, allāh se sulah karke salāmatī hāsil kar, tab hī tū ḵẖushhālī pāegā. 22allāh ke muṅh kī hidāyat apnā le, us ke farmān apne dil meṅ mahfūz rakh. 23agar tū qādir-e-mutlaq ke pās vāpas āe to bahāl ho jāegā, aur tere ḵẖaime se badī dūr hī rahegī. 24sone ko ḵẖāk ke barābar, ofīr kā ḵẖālis sonā vādī ke patthar ke barābar samajh le 25to qādir-e-mutlaq ḵẖud terā sonā hogā, vahī tere liye chāṅdī kā ḍher hogā. 26tab tū qādir-e-mutlaq se lutf’andoz hogā aur allāh ke huzūr apnā sar uṭhā sakegā. 27tū us se iltijā karegā to vah terī sunegā aur tū apnī mannateṅ baṛhā sakegā. 28jo kuchh bhī tū karne kā irādā rakhe us meṅ tujhe kāmyābī hogī, terī rāhoṅ par raushnī chamkegī. 29kyūṅki jo sheḵẖī bhagārtā hai use allāh past kartā jabki jo pastahāl hai use vah najāt detā hai. 30vah bequsūr ko chhuṛātā hai, chunāṅche agar tere hāth pāk hoṅ to vah tujhe chhuṛāegā.”