Ayyūb 23

ayyūb : kāsh maiṅ allāh ko kahīṅ pātā

1ayyūb ne javāb meṅ kahā,

2“beshak āj merī shikāyat sarkashī kā izhār hai, hālāṅki maiṅ apnī āhoṅ par qābū pāne kī koshish kar rahā hūṅ.

3kāsh maiṅ use pāne kā ilm rakhūṅ tāki us kī sukūnatgāh tak pahuṅch sakūṅ. 4phir maiṅ apnā muāmalā tartībavār us ke sāmne pesh kartā, maiṅ apnā muṅh dalāil se bhar letā. 5tab mujhe us ke javāboṅ kā patā chaltā, maiṅ us ke bayānāt par ġaur kar saktā. 6kyā vah apnī azīm quvvat mujh se laṛne par sarf kartā? hargiz nahīṅ! vah yaqīnan mujh par tavajjuh detā. 7agar maiṅ vahāṅ us ke huzūr ā saktā to diyānatdār ādmī kī tarah us ke sāth muqaddmā laṛtā. tab maiṅ hameshā ke liye apne munsif se bach nikaltā!

8lekin afsos, agar maiṅ mashriq kī taraf jāūṅ to vah vahāṅ nahīṅ hotā, maġrib kī jānib baṛhūṅ to vahāṅ bhī nahīṅ miltā. 9shimāl maiṅ use ḍhūṅḍūṅ to vah dikhāī nahīṅ detā, junūb kī taraf ruḵẖ karūṅ to vahāṅ bhī poshīdā rahatā hai. 10kyūṅki vah merī rāh ko jāntā hai. agar vah merī jāṅch-paṛtāl kartā to maiṅ ḵẖālis sonā sābit hotā. 11mere qadam us kī rāh meṅ rahe haiṅ, maiṅ rāh se na bāīṅ, na dāīṅ taraf haṭā balki sīdhā us par chaltā rahā. 12maiṅ us ke hoṅṭoṅ ke farmān se bāz nahīṅ āyā balki apne dil meṅ hī us ke muṅh kī bāteṅ mahfūz rakhī haiṅ.

13agar vah faislā kare to kaun use rok saktā hai? jo kuchh bhī vah karnā chāhe use amal meṅ lātā hai. 14jo bhī mansūbā us ne mere liye bāṅdhā use vah zarūr pūrā karegā. aur us ke zahan meṅ mazīd bahut se aise mansūbe haiṅ. 15isī liye maiṅ us ke huzūr dahshatzadā hūṅ. jab bhī maiṅ in bātoṅ par dhyān dūṅ to us se ḍartā hūṅ. 16allāh ne ḵẖud mujhe shikastādil kiyā, qādir-e-mutlaq hī ne mujhe dahshat khilāī hai. 17kyūṅki na maiṅ tārīkī se tabāh ho rahā hūṅ, na is liye ki ghane aṅdhere ne mere chihare ko ḍhāṁp diyā hai.