Ayyūb 25
bildad : allāh ke sāmne koī rāstbāz nahīṅ ṭhahar saktā
1phir bildad sūḵẖī ne javāb de kar kahā,
2“allāh kī hukūmat dahshatanāk hai. vahī apnī bulandiyoṅ par salāmatī qāim rakhtā hai. 3kyā koī us ke dastoṅ kī tādād gin saktā hai? us kā nūr kis par nahīṅ chamaktā? 4to phir insān allāh ke sāmne kis tarah rāstbāz ṭhahar saktā hai? jo aurat se paidā huā vah kis tarah pāk-sāf sābit ho saktā hai? 5us kī nazar meṅ na chāṅd purnūr hai, na sitāre pāk haiṅ. 6to phir insān kis tarah pāk ṭhahar saktā hai jo kīṛā hī hai? ādamzād to makoṛā hī hai.”