Ayyūb 3

ayyūb kī āh-o-zārī

1tab ayyūb bol uṭhā aur apne janm din par lānat karne lagā. 2us ne kahā,

3“vah din miṭ jāe jab maiṅ ne janm liyā, vah rāt jis ne kahā, ‘peṭ meṅ laṛkā paidā huā hai!’ 4vah din aṅdherā hī aṅdherā ho jāe, ek kiran bhī use raushan na kare. allāh bhī jo bulandiyoṅ par hai us kā ḵẖayāl na kare. 5tārīkī aur ghanā aṅdherā us par qabzā kare, kāle kāle bādal us par chhāe raheṅ, hāṅ vah raushnī se maharūm ho kar saḵẖt dahshatzadā ho jāe. 6ghanā aṅdherā us rāt ko chhīn le jab maiṅ māṅ ke peṭ meṅ paidā huā. use na sāl, na kisī mahīne ke dinoṅ meṅ shumār kiyā jāe. 7vah rāt bāṅjh rahe, us meṅ ḵẖushī kā nārā na lagāyā jāe. 8jo dinoṅ par lānat bhejte aur liviyātān ajhdahe ko taharīk meṅ lāne ke qābil hote haiṅ vahī us rāt par lānat kareṅ. 9us rāt ke dhundalke meṅ ṭimaṭimāne vāle sitāre bujh jāeṅ, fajr kā intizār karnā befāidā hī rahe balki vah rāt tulū-e-subah kī palkeṅ [a] palkoṅ se murād pahalī kirneṅ hai. bhī na dekhe. 10kyūṅki us ne merī māṅ ko mujhe janm dene se na rokā, varnā yah tamām musībat merī āṅkhoṅ se chhupī rahatī.

11maiṅ paidāish ke vaqt kyūṅ mar na gayā, māṅ ke peṭ se nikalte vaqt jān kyūṅ na de dī? 12māṅ ke ghuṭnoṅ ne mujhe ḵẖush’āmadīd kyūṅ kahā, us kī chhātiyoṅ ne mujhe dūdh kyūṅ pilāyā? 13agar yah na hotā to is vaqt maiṅ sukūn se leṭā rahatā, ārām se soyā hotā. 14maiṅ un hī ke sāth hotā jo pahale bādshāh aur duniyā ke mushīr the, jinhoṅ ne khaṅḍarāt az sar-e-nau tāmīr kie. 15maiṅ un ke sāth hotā jo pahale hukmarān the aur apne gharoṅ ko sone-chāṅdī se bhar lete the. 16mujhe zāe ho jāne vāle bacche kī tarah kyūṅ na zamīn meṅ dabā diyā gayā? mujhe us bacche kī tarah kyūṅ na dafnāyā gayā jis ne kabhī raushnī na dekhī? 17us jagah bedīn apnī belagām harkatoṅ se bāz āte aur vah ārām karte haiṅ jo tag-o-dau karte karte thak gae the. 18vahāṅ qaidī itmīnān se rahate haiṅ, unheṅ us zālim kī āvāz nahīṅ sunnī paṛtī jo unheṅ jīte jī hāṅktā rahā. 19us jagah chhoṭe aur baṛe sab barābar hote haiṅ, ġulām apne mālik se āzād rahatā hai.

20allāh musībatazadoṅ ko raushnī aur shikastādiloṅ ko zindagī kyūṅ atā kartā hai? 21vah to maut ke intizār meṅ rahate haiṅ lekin befāidā. vah khod khod kar use yūṅ talāsh karte haiṅ jis tarah kisī poshīdā ḵẖazāne ko. 22agar unheṅ qabr nasīb ho to vah bāġ bāġ ho kar jashn manāte haiṅ. 23allāh us ko zindā kyūṅ rakhtā jis kī nazroṅ se rāstā ojhal ho gayā hai aur jis ke chāroṅ taraf us ne bāṛ lagāī hai. 24kyūṅki jab mujhe roṭī khānī hai to hāy hāy kartā hūṅ, merī āheṅ pānī kī tarah muṅh se phūṭ nikaltī haiṅ. 25jis chīz se maiṅ ḍartā thā vah mujh par āī, jis se maiṅ ḵẖauf khātā thā us se merā vāstā paṛā. 26na mujhe itmīnān huā, na sukūn yā ārām balki mujh par bechainī ġālib āī.”

[a] palkoṅ se murād pahalī kirneṅ hai.