Ayyūb 32

chauthe sāthī ilīhū kī taqrīr

1tab mazkūrā tīnoṅ ādmī ayyūb ko javāb dene se bāz āe, kyūṅki vah ab tak samajhtā thā ki maiṅ rāstbāz hūṅ. 2yah dekh kar ilīhū bin barkel ġusse ho gayā. būz shahar ke rahane vāle is ādmī kā ḵẖāndān rām thā. ek taraf to vah ayyūb se ḵẖafā thā, kyūṅki yah apne āp ko allāh ke sāmne rāstbāz ṭhaharātā thā. 3dūsrī taraf vah tīnoṅ dostoṅ se bhī nārāz thā, kyūṅki na vah ayyūb ko sahīh javāb de sake, na sābit kar sake ki mujrim hai. 4ilīhū ne ab tak ayyūb se bāt nahīṅ kī thī. jab tak dūsroṅ ne bāt pūrī nahīṅ kī thī vah ḵẖāmosh rahā, kyūṅki vah buzurg the. 5lekin ab jab us ne dekhā ki tīnoṅ ādmī mazīd koī javāb nahīṅ de sakte to vah bhaṛak uṭhā 6aur javāb meṅ kahā,

“maiṅ kamaumr hūṅ jabki āp sab umrrasīdā haiṅ, is liye maiṅ kuchh sharmīlā thā, maiṅ āp ko apnī rāy batāne se ḍartā thā. 7maiṅ ne sochā, chalo vah boleṅ jin ke ziyādā din guzre haiṅ, vah tālīm deṅ jinheṅ mut’addid sāloṅ kā tajribā hāsil hai.

8lekin jo rūh insān meṅ hai yānī jo dam qādir-e-mutlaq ne us meṅ phūṅk diyā vahī insān ko samajh atā kartā hai. 9na sirf būṛhe log dānishmand haiṅ, na sirf vah insāf samajhte haiṅ jin ke bāl safed haiṅ. 10chunāṅche maiṅ guzārish kartā hūṅ ki zarā merī bāt suneṅ, mujhe bhī apnī rāy pesh karne dījie.

11maiṅ āp ke alfāz ke intizār meṅ rahā. jab āp mauzūṅ javāb talāsh kar rahe the to maiṅ āp kī dānishmand bātoṅ par ġaur kartā rahā. 12maiṅ ne āp par pūrī tavajjuh dī, lekin āp meṅ se koī ayyūb ko ġalat sābit na kar sakā, koī us ke dalāil kā munāsib javāb na de pāyā. 13ab aisā na ho ki āp kaheṅ, ‘ham ne ayyūb meṅ hikmat pāī hai, insān use shikast de kar bhagā nahīṅ saktā balki sirf allāh hī.’ 14kyūṅki ayyūb ne apne dalāil kī tartīb se merā muqāblā nahīṅ kiyā, aur jab maiṅ javāb dūṅgā to āp kī bāteṅ nahīṅ duharāūṅgā.

15āp ghabrā kar javāb dene se bāz āe haiṅ, ab āp kuchh nahīṅ kah sakte. 16kyā maiṅ mazīd intizār karūṅ, go āp ḵẖāmosh ho gae haiṅ, āp ruk kar mazīd javāb nahīṅ de sakte? 17maiṅ bhī javāb dene meṅ hissā lenā chāhatā hūṅ, maiṅ bhī apnī rāy pesh karūṅgā. 18kyūṅki mere andar se alfāz chhalak rahe haiṅ, merī rūh mere andar mujhe majbūr kar rahī hai.

19haqīqat meṅ maiṅ andar se us naī mai kī mānind hūṅ jo band rakhī gaī ho, maiṅ naī mai se bharī huī naī mashkoṅ kī tarah phaṭne ko hūṅ. 20mujhe bolnā hai tāki ārām pāūṅ, lāzim hī hai ki maiṅ apne hoṅṭoṅ ko khol kar javāb dūṅ. 21yaqīnan na maiṅ kisī kī jānibdārī, na kisī kī chāplūsī karūṅgā. 22kyūṅki maiṅ ḵẖushāmad kar hī nahīṅ saktā, varnā merā ḵẖāliq mujhe jald hī uṛā le jāegā.