Ayyūb 40

ayyūb rabb ko javāb nahīṅ de saktā

1rabb ne ayyūb se pūchhā,

2“kyā malāmat karne vālā adālat meṅ qādir-e-mutlaq se jhagaṛnā chāhatā hai? allāh kī sarzanish karne vālā use javāb de!”

3tab ayyūb ne javāb de kar rabb se kahā,

4“maiṅ to nālāiq hūṅ, maiṅ kis tarah tujhe javāb dūṅ? maiṅ apne muṅh par hāth rakh kar ḵẖāmosh rahūṅgā. 5ek bār maiṅ ne bāt kī aur is ke bād mazīd ek dafā, lekin ab se maiṅ javāb meṅ kuchh nahīṅ kahūṅgā.”

allāh kā javāb : kyā tujhe merī jaisī qudrat hāsil hai?

6tab allāh tūfān meṅ se ayyūb se hamkalām huā,

7“mard kī tarah kamarbastā ho jā! maiṅ tujh se savāl karūṅ aur tū mujhe tālīm de. 8kyā tū vāqaī merā insāf mansūḵẖ karke mujhe mujrim ṭhaharānā chāhatā hai tāki ḵẖud rāstbāz ṭhahare? 9kyā terā bāzū allāh ke bāzū jaisā zorāvar hai? kyā terī āvāz us kī āvāz kī tarah kaṛaktī hai. 10ā, apne āp ko shān-o-shaukat se ārāstā kar, izzat-o-jalāl se mulabbas ho jā! 11ba-yak-vaqt apnā shadīd qahar muḵẖtalif jagahoṅ par nāzil kar, har maġrūr ko apnā nishānā banā kar use ḵẖāk meṅ milā de. 12har mutakabbir par ġaur karke use past kar. jahāṅ bhī bedīn ho vahīṅ use kuchal de. 13un sab ko miṭṭī meṅ chhupā de, unheṅ rassoṅ meṅ jakaṛ kar kisī ḵẖufiyā jagah giriftār kar. 14tab hī maiṅ terī tārīf karke mān jāūṅgā ki terā dahanā hāth tujhe najāt de saktā hai.

allāh kī qudrat aur hikmat kī do misāleṅ

15bahemot [a] sāīnsadān muttafiq nahīṅ ki yah kaun sā jānvar thā. par ġaur kar jise maiṅ ne tujhe ḵẖalaq karte vaqt banāyā aur jo bail kī tarah ghās khātā hai. 16us kī kamar meṅ kitnī tāqat, us ke peṭ ke paṭṭhoṅ meṅ kitnī quvvat hai. 17vah apnī dum ko deodār ke daraḵẖt kī tarah laṭakne detā hai, us kī rānoṅ kī naseṅ mazbūtī se ek dūsrī se juṛī huī haiṅ. 18us kī haḍḍiyāṅ pītal ke se pāip, lohe ke se sarīe haiṅ. 19vah allāh ke kāmoṅ meṅ se avval hai, us ke ḵẖāliq hī ne use us kī talvār dī. 20pahāṛiyāṅ use apnī paidāvār pesh kartī, khule maidān ke tamām jānvar vahāṅ khelte kūdte haiṅ. 21vah kāṅṭedār jhāṛiyoṅ ke nīche ārām kartā, sarkaṅḍoṅ aur daldal meṅ chhupā rahatā hai. 22ḵẖārdār jhāṛiyāṅ us par sāyā ḍāltī aur nadī ke safedā ke daraḵẖt use ghere rakhte haiṅ. 23jab daryā sailāb kī sūrat iḵẖtiyār kare to vah nahīṅ bhāgtā. go daryā-e-yardan us ke muṅh par phūṭ paṛe to bhī vah apne āp ko mahfūz samajhtā hai. 24kyā koī us kī āṅkhoṅ meṅ uṅgaliyāṅ ḍāl kar use pakaṛ saktā hai? agar use phaṅde meṅ pakṛā bhī jāe to kyā koī us kī nāk ko chhed saktā hai? hargiz nahīṅ

[a] sāīnsadān muttafiq nahīṅ ki yah kaun sā jānvar thā.