Ayyūb 41
1kyā tū liviyātān [a] sāīnsadān muttafiq nahīṅ ki yah kaun sā jānvar thā. ajhdahe ko machhlī ke kāṅṭe se pakaṛ saktā yā us kī zabān ko rasse se bāṅdh saktā hai? 2kyā tū us kī nāk chhed kar us meṅ se rassā guzār saktā yā us ke jabṛe ko kāṅṭe se chīr saktā hai? 3kyā vah kabhī tujh se bār bār raham māṅgegā yā narm narm alfāz se terī ḵẖushāmad karegā? 4kyā vah kabhī tere sāth ahd karegā ki tū use apnā ġulām banāe rakhe? hargiz nahīṅ! 5kyā tū parinde kī tarah us ke sāth khel saktā yā use bāṅdh kar apnī laṛkiyoṅ ko de saktā hai tāki vah us ke sāth kheleṅ? 6kyā saudāgar kabhī us kā saudā kareṅge yā use tājiroṅ meṅ taqsīm kareṅge? kabhī nahīṅ! 7kyā tū us kī khāl ko bhāloṅ se yā us ke sar ko hārpūnoṅ se bhar saktā hai? 8ek dafā use hāth lagāyā to yah laṛāī tujhe hameshā yād rahegī, aur tū āindā aisī harkat kabhī nahīṅ karegā!
9yaqīnan us par qābū pāne kī har ummīd farebdih sābit hogī, kyūṅki use dekhte hī insān gir jātā hai. 10koī itnā bedhaṛak nahīṅ hai ki use mushtail kare. to phir kaun merā sāmnā kar saktā hai? 11kis ne mujhe kuchh diyā hai ki maiṅ us kā muāvazā dūṅ. āsmān tale har chīz merī hī hai!
12maiṅ tujhe us ke āzā ke bayān se maharūm nahīṅ rakhūṅgā, ki vah kitnā baṛā, tāqatvar aur ḵẖūbsūrat hai. 13kaun us kī khāl [b] lafzī tarjumā : bairūnī libās. utār saktā, kaun us ke zirābaktar kī do tahoṅ ke andar tak pahuṅch saktā hai? 14kaun us ke muṅh kā darvāzā kholne kī jur’at kare? us ke haulnāk dāṅt dekh kar insān ke roṅgṭe khaṛe ho jāte haiṅ. 15us kī pīṭh par ek dūsrī se ḵẖūb juṛī huī ḍhāloṅ kī qatāreṅ hotī haiṅ. 16vah itnī mazbūtī se ek dūsrī se lagī hotī haiṅ ki un ke darmiyān se havā bhī nahīṅ guzar saktī, 17balki yūṅ ek dūsrī se chimṭī aur lipṭī rahatī haiṅ ki unheṅ ek dūsrī se alag nahīṅ kiyā jā saktā.
18jab chhīṅkeṅ māre to bijlī chamak uṭhtī hai. us kī āṅkheṅ tulū-e-subah kī palkoṅ kī mānind haiṅ. 19us ke muṅh se mash’aleṅ aur chiṅgāriyāṅ ḵẖārij hotī haiṅ, 20us ke nathnoṅ se dhuāṅ yūṅ nikaltā hai jis tarah bhaṛaktī aur dahaktī āg par rakhī gaī deg se. 21jab phūṅk māre to koile dahak uṭhte aur us ke muṅh se shole nikalte haiṅ.
22us kī gardan meṅ itnī tāqat hai ki jahāṅ bhī jāe vahāṅ us ke āge āge māyūsī phail jātī hai. 23us ke gosht-post kī taheṅ ek dūsrī se ḵẖūb juṛī huī haiṅ, vah ḍhāle hue lohe kī tarah mazbūt aur belachak haiṅ. 24us kā dil patthar jaisā saḵẖt, chakkī ke nichle pāṭ jaisā mustahkam hai.
25jab uṭhe to zorāvar ḍar jāte aur dahshat khā kar pīchhe haṭ jāte haiṅ. 26hathiyāroṅ kā us par koī asar nahīṅ hotā, ḵẖwāh koī talvār, neze, barchhī yā tīr se us par hamlā kyūṅ na kare. 27vah lohe ko bhūsā aur pītal ko galī saṛī lakṛī samajhtā hai. 28tīr use nahīṅ bhagā sakte, aur agar ġulel ke patthar us par chalāo to un kā asar bhūse ke barābar hai. 29ḍaṅḍā use tinkā sā lagtā hai, aur vah shamshīr kā shor-sharābā sun kar haṅs uṭhtā hai. 30us ke peṭ par tez ṭhīkre se lage haiṅ, aur jis tarah anāj par gāhane kā ālā chalāyā jātā hai usī tarah vah kīchaṛ par chaltā hai. 31jab samundar kī gaharāiyoṅ meṅ se guzre to pānī ubaltī deg kī tarah khaulne lagtā hai. vah marham ke muḵẖtalif ajzā ko milā milā kar tayyār karne vāle attār kī tarah samundar ko harkat meṅ lātā hai. 32apne pīchhe vah chamaktā damaktā rāstā chhoṛtā hai. tab lagtā hai ki samundar kī gaharāiyoṅ ke safed bāl haiṅ. 33duniyā meṅ us jaisā koī maḵẖlūq nahīṅ, aisā banāyā gayā hai ki kabhī na ḍare. 34jo bhī ālā ho us par vah hiqārat kī nigāh se dekhtā hai, vah tamām robdār jānvaroṅ kā bādshāh hai.”