Ayyūb 7
allāh mujhe kyūṅ nahīṅ chhoṛtā?
1insān duniyā meṅ saḵẖt ḵẖidmat karne par majbūr hotā hai, jīte jī vah mazdūr kī sī zindagī guzārtā hai. 2ġulām kī tarah vah shām ke sāy kā ārzūmand hotā, mazdūr kī tarah mazdūrī ke intizār meṅ rahatā hai. 3mujhe bhī bemānī mahīne aur musībat kī rāteṅ nasīb huī haiṅ. 4jab bistar par leṭ jātā to sochtā hūṅ ki kab uṭh saktā hūṅ? lekin lagtā hai ki rāt kabhī ḵẖatm nahīṅ hogī, aur maiṅ fajr tak bechainī se karvaṭeṅ badaltā rahatā hūṅ. 5mere jism kī har jagah kīṛe aur khuraṅḍ phail gae haiṅ, merī sukṛī huī jild meṅ pīp paṛ gaī hai. 6mere din jūlāhe kī nāl [a] yānī shaṭal. se kahīṅ ziyādā tezī se guzar gae haiṅ. vah apne anjām tak pahuṅch gae haiṅ, dhāgā ḵẖatm ho gayā hai.
7ai allāh, ḵẖayāl rakh ki merī zindagī dam bhar kī hī hai! merī āṅkheṅ āindā kabhī ḵẖushhālī nahīṅ dekheṅgī. 8jo mujhe is vaqt dekhe vah āindā mujhe nahīṅ dekhegā. tū merī taraf dekhegā, lekin maiṅ hūṅgā nahīṅ. 9jis tarah bādal ojhal ho kar ḵẖatm ho jātā hai usī tarah pātāl meṅ utarne vālā vāpas nahīṅ ātā. 10vah dubārā apne ghar vāpas nahīṅ āegā, aur us kā maqām use nahīṅ jāntā.
11chunāṅche maiṅ vah kuchh rok nahīṅ saktā jo mere muṅh se nikalnā chāhatā hai. maiṅ raṅjīdā hālat meṅ bāt karūṅgā, apne dil kī talḵẖī kā izhār karke āh-o-zārī karūṅgā. 12ai allāh, kyā maiṅ samundar yā samundarī ajhdahā hūṅ ki tū ne mujhe nazarband kar rakhā hai? 13jab maiṅ kahatā hūṅ, ‘merā bistar mujhe tasallī de, sone se merā ġam halkā ho jāe’ 14to tū mujhe haulnāk ḵẖwāboṅ se himmat hārne detā, royāoṅ se mujhe dahshat khilātā hai. 15merī itnī burī hālat ho gaī hai ki sochtā hūṅ, kāsh koī merā galā ghūṅṭ kar mujhe mār ḍāle, kāsh maiṅ zindā na rahūṅ balki dam chhoṛūṅ. 16maiṅ ne zindagī ko radd kar diyā hai, ab maiṅ ziyādā der tak zindā nahīṅ rahūṅgā. mujhe chhoṛ, kyūṅki mere din dam bhar ke hī haiṅ.
17insān kyā hai ki tū us kī itnī qadar kare, us par itnā dhyān de? 18vah itnā aham to nahīṅ hai ki tū har subah us kā muāinā kare, har lamhā us kī jāṅch-paṛtāl kare. 19kyā tū mujhe takne se kabhī nahīṅ bāz āegā? kyā tū mujhe itnā sukūn bhī nahīṅ degā ki pal bhar ke liye thūk niglūṅ? 20ai insān ke paharedār, agar mujh se ġaltī huī bhī to is se maiṅ ne terā kyā nuqsān kiyā? tū ne mujhe apne ġazab kā nishānā kyūṅ banāyā? maiṅ tere liye bojh kyūṅ ban gayā hūṅ? 21tū merā jurm muāf kyūṅ nahīṅ kartā, merā qusūr darguzar kyūṅ nahīṅ kartā? kyūṅki jald hī maiṅ ḵẖāk ho jāūṅgā. agar tū mujhe talāsh bhī kare to nahīṅ milūṅgā, kyūṅki maiṅ hūṅgā nahīṅ.”