Ayyūb 8

bildad kā javāb : apne gunāh se taubā kar!

1tab bildad sūḵẖī ne javāb de kar kahā,

2“tū kab tak is qism kī bāteṅ karegā? kab tak tere muṅh se āṅdhī ke jhoṅke nikaleṅge? 3kyā allāh insāf kā ḵẖūn kar saktā, kyā qādir-e-mutlaq rāstī ko āge pīchhe kar saktā hai? 4tere beṭoṅ ne us kā gunāh kiyā hai, is liye us ne unheṅ un ke jurm ke qabze meṅ chhoṛ diyā. 5ab tere liye lāzim hai ki tū allāh kā tālib ho aur qādir-e-mutlaq se iltijā kare, 6ki tū pāk ho aur sīdhī rāh par chale. phir vah ab bhī terī ḵẖātir josh meṅ ā kar terī rāstbāzī kī sukūnatgāh ko bahāl karegā. 7tab terā mustaqbil nihāyat azīm hogā, ḵẖwāh terī ibatidāī hālat kitnī past kyūṅ na ho.

8guzashtā nasal se zarā pūchh le, us par dhyān de jo un ke bāpdādā ne tahqīqāt ke bād mālūm kiyā. 9kyūṅki ham ḵẖud kal hī paidā hue aur kuchh nahīṅ jānte, zamīn par hamāre din sāy jaise ārizī haiṅ. 10lekin yah tujhe tālīm de kar bāt batā sakte haiṅ, yah tujhe apne dil meṅ jamāshudā ilm pesh kar sakte haiṅ. 11kyā ābī narsal vahāṅ ugtā hai jahāṅ daldal nahīṅ? kyā sarkaṅḍā vahāṅ phaltā phūltā hai jahāṅ pānī nahīṅ? 12us kī koṁpleṅ abhī nikal rahī haiṅ aur use toṛā nahīṅ gayā ki agar pānī na mile to bāqī hariyālī se pahale hī sūkh jātā hai. 13yah hai un kā anjām jo allāh ko bhūl jāte haiṅ, isī tarah bedīn kī ummīd jātī rahatī hai. 14jis par vah etimād kartā hai vah nihāyat hī nāzuk hai, jis par us kā bharosā hai vah makṛī ke jāle jaisā kamzor hai. 15jab vah jāle par ṭek lagāe to khaṛā nahīṅ rahatā, jab use pakaṛ le to qāim nahīṅ rahatā.

16bedīn dhūp meṅ shādāb bel kī mānind hai. us kī koṁpleṅ chāroṅ taraf phail jātī, 17us kī jaṛeṅ patthar ke ḍher par chhā kar un meṅ ṭik jātī haiṅ. 18lekin agar use ukhāṛā jāe to jis jagah pahale ug rahī thī vah us kā inkār karke kahegī, ‘maiṅ ne tujhe kabhī dekhā bhī nahīṅ.’ 19yah hai us kī rāh kī nām-nihād ḵẖushī! jahāṅ pahale thā vahāṅ dīgar paude zamīn se phūṭ nikaleṅge.

20yaqīnan allāh beilzām ādmī ko mustarad nahīṅ kartā, yaqīnan vah sharīr ādmī ke hāth mazbūt nahīṅ kartā. 21vah ek bār phir tujhe aisī ḵẖushī baḵẖshegā ki tū haṅs uṭhegā aur shādmānī ke nāre lagāegā. 22jo tujh se nafrat karte haiṅ vah sharm se mulabbas ho jāeṅge, aur bedīnoṅ ke ḵẖaime nest-o-nābūd hoṅge.”