Yoel 1
1zail meṅ rabb kā vah kalām hai jo yoel bin fatūel par nāzil huā.
2ai buzurgo, suno! ai mulk ke tamām bāshindo, tavajjuh do! jo kuchh in dinoṅ meṅ tumheṅ pesh āyā hai kyā vah pahale kabhī tumheṅ yā tumhāre bāpdādā ko pesh āyā? 3apne bacchoṅ ko is ke bāre meṅ batāo, jo kuchh pesh āyā hai us kī yād nasal-dar-nasal tāzā rahe.
4jo kuchh ṭiḍḍī ke lārve ne chhoṛ diyā use bāliġ ṭiḍḍī khā gaī, jo bāliġ ṭiḍḍī chhoṛ gaī use ṭiḍḍī kā bacchā khā gayā, aur jo ṭiḍḍī kā bacchā chhoṛ gayā use javān ṭiḍḍī khā gaī. 5ai nashe meṅ dhut logo, jāg uṭho aur ro paṛo! ai mai pīne vālo, vāvailā karo! kyūṅki naī mai tumhāre muṅh se chhīn lī gaī hai. 6ṭiḍḍiyoṅ kī zabardast aur anaginat qaum mere mulk par ṭūṭ paṛī hai. un ke sher ke se dāṅt aur shernī kā sā jabṛā hai. 7natīje meṅ mere aṅgūr kī beleṅ tabāh, mere anjīr ke daraḵẖt zāe ho gae haiṅ. ṭiḍḍiyoṅ ne chhāl ko bhī utār liyā, ab shāḵẖeṅ safed safed nazar ātī haiṅ.
8āh-o-zārī karo, ṭāṭ se mulabbas us kuṅvārī kī tarah giryā karo jis kā maṅgetar intiqāl kar gayā ho. 9rabb ke ghar meṅ ġallā aur mai kī nazreṅ band ho gaī haiṅ. imām jo rabb ke ḵẖādim haiṅ mātam kar rahe haiṅ. 10khet tabāh hue, zamīn jhulas gaī hai. anāj ḵẖatm, aṅgūr ḵẖatm, zaitūn ḵẖatm.
11ai kāshtkāro, sharmasār ho jāo! ai aṅgūr ke bāġbāno, āh-o-bukā karo! kyūṅki khet kī fasal barbād ho gaī hai, gandum aur jau kī fasal ḵẖatm hī hai. 12aṅgūr kī bel sūkh gaī, anjīr kā daraḵẖt murjhā gayā hai. anār, khajūr, seb balki phal lāne vāle tamām daraḵẖt pajhmurdā ho gae haiṅ. insān kī tamām ḵẖushī ḵẖāk meṅ milāī gaī hai.
13ai imāmo, ṭāṭ kā libās oṛh kar mātam karo! ai qurbāngāh ke ḵẖādimo, vāvailā karo! ai mere ḵẖudā ke ḵẖādimo, āo, rāt ko bhī ṭāṭ oṛh kar guzāro! kyūṅki tumhāre ḵẖudā kā ghar ġallā aur mai kī nazroṅ se maharūm ho gayā hai. 14muqaddas roze kā elān karo. logoṅ ko ḵẖās ijtimā ke liye bulāo. buzurgoṅ aur mulk ke tamām bāshindoṅ ko rabb apne ḵẖudā ke ghar meṅ jamā karke buland āvāz se rabb se iltijā karo.
15us din par afsos! kyūṅki rabb kā vah din qarīb hī hai jab qādir-e-mutlaq ham par tabāhī nāzil karegā. 16kyā aisā nahīṅ huā ki hamāre dekhte dekhte ham se ḵẖurāk chhīn lī gaī, ki allāh ke ghar meṅ ḵẖushī-o-shādmānī band ho gaī hai? 17ḍheloṅ meṅ chhupe bīj jhulas gae haiṅ, is liye ḵẖālī godām ḵẖastāhāl aur anāj ko mahfūz rakhne ke makān ṭūṭ phūṭ gae haiṅ. un kī zarūrat nahīṅ rahī, kyūṅki ġallā sūkh gayā hai. 18hāy, maveshī kaisī dardanāk āvāz nikāl rahe haiṅ! gāy-bail pareshānī se idhar udhar phir rahe haiṅ, kyūṅki kahīṅ bhī charāgāh nahīṅ miltī. bheṛ-bakriyoṅ ko bhī taklīf hai.
19ai rabb, maiṅ tujhe pukārtā hūṅ, kyūṅki khule maidān kī charāgāheṅ nazar-e-ātish ho gaī haiṅ, tamām daraḵẖt bhasm ho gae haiṅ. 20jaṅglī jānvar bhī hāṁpte hāṁpte tere intizār meṅ haiṅ, kyūṅki nadiyāṅ sūkh gaī haiṅ, aur khule maidān kī charāgāheṅ nazar-e-ātish ho gaī haiṅ.