Yūhannā 2
qānā meṅ shādī
1tīsre din galīl ke gāoṅ qānā meṅ ek shādī huī. īsā kī māṅ vahāṅ thī 2aur īsā aur us ke shāgirdoṅ ko bhī dāvat dī gaī thī. 3mai ḵẖatm ho gaī to īsā kī māṅ ne us se kahā, “un ke pās mai nahīṅ rahī.”
4īsā ne javāb diyā, “ai ḵẖātūn, merā āp se kyā vāstā? merā vaqt abhī nahīṅ āyā.”
5lekin us kī māṅ ne naukroṅ ko batāyā, “jo kuchh vah tum ko batāe vah karo.” 6vahāṅ patthar ke chhah maṭke paṛe the jinheṅ yahūdī dīnī ġusal ke liye istemāl karte the. har ek meṅ taqrīban 100 liṭar kī gunjāish thī. 7īsā ne naukroṅ se kahā, “maṭkoṅ ko pānī se bhar do.” chunāṅche unhoṅ ne unheṅ labālab bhar diyā. 8phir us ne kahā, “ab kuchh nikāl kar ziyāfat kā intizām chalāne vāle ke pās le jāo.” unhoṅ ne aisā hī kiyā. 9jūṅ hī ziyāfat kā intizām chalāne vāle ne vah pānī chakhā jo mai meṅ badal gayā thā to us ne dūlhe ko bulāyā. (use mālūm na thā ki yah kahāṅ se āī hai, agarchi un naukroṅ ko patā thā jo use nikāl kar lāe the.) 10us ne kahā, “har mezbān pahale acchhī qism kī mai pīne ke liye pesh kartā hai. phir jab logoṅ ko nashā chaṛhne lage to vah nisbatan ghaṭiyā qism kī mai pilāne lagtā hai. lekin āp ne acchhī mai ab tak rakh chhoṛī hai.”
11yūṅ īsā ne galīl ke qānā meṅ yah pahalā ilāhī nishān dikhā kar apne jalāl kā izhār kiyā. yah dekh kar us ke shāgird us par īmān lāe.
12is ke bād vah apnī māṅ, apne bhāiyoṅ aur apne shāgirdoṅ ke sāth kafarnahūm ko chalā gayā. vahāṅ vah thoṛe din rahe.
īsā bait-ul-muqaddas meṅ jātā hai
13jab yahūdī īd-e-fasah qarīb ā gaī to īsā yarūshalam chalā gayā. 14bait-ul-muqaddas meṅ jā kar us ne dekhā ki kaī log us meṅ gāy-bail, bheṛeṅ aur kabūtar bech rahe haiṅ. dūsre mez par baiṭhe ġairmulkī sikke bait-ul-muqaddas ke sikkoṅ meṅ badal rahe haiṅ. 15phir īsā ne rassiyoṅ kā koṛā banā kar sab ko bait-ul-muqaddas se nikāl diyā. us ne bheṛoṅ aur gāy-bailoṅ ko bāhar hāṅk diyā, paise badalne vāloṅ ke sikke bikher die aur un kī mezeṅ ulaṭ dīṅ. 16kabūtar bechane vāloṅ ko us ne kahā, “ise le jāo. mere bāp ke ghar ko maṅḍī meṅ mat badlo.” 17yah dekh kar īsā ke shāgirdoṅ ko kalām-e-muqaddas kā yah havālā yād āyā ki “tere ghar kī ġairat mujhe khā jāegī.”
18yahūdiyoṅ ne javāb meṅ pūchhā, “āp hameṅ kyā ilāhī nishān dikhā sakte haiṅ tāki hameṅ yaqīn āe ki āp ko yah karne kā iḵẖtiyār hai?”
19īsā ne javāb diyā, “is maqdis ko ḍhā do to maiṅ ise tīn din ke andar dubārā tāmīr kar dūṅgā.”
20yahūdiyoṅ ne kahā, “bait-ul-muqaddas ko tāmīr karne meṅ 46 sāl lag gae the aur āp use tīn din meṅ tāmīr karnā chāhate haiṅ?”
21lekin jab īsā ne “is maqdis” ke alfāz istemāl kie to is kā matlab us kā apnā badan thā. 22us ke murdoṅ meṅ se jī uṭhne ke bād us ke shāgirdoṅ ko us kī yah bāt yād āī. phir vah kalām-e-muqaddas aur un bātoṅ par īmān lāe jo īsā ne kī thīṅ.
īsā insānī fitrat se vāqif hai
23jab īsā fasah kī īd ke liye yarūshalam meṅ thā to bahut se log us ke peshakaradā ilāhī nishānoṅ ko dekh kar us ke nām par īmān lāne lage. 24lekin us ko un par etimād nahīṅ thā, kyūṅki vah sab ko jāntā thā. 25aur use insān ke bāre meṅ kisī kī gavāhī kī zarūrat nahīṅ thī, kyūṅki vah jāntā thā ki insān ke andar kyā kuchh hai.