Yūhannā 4
īsā aur sāmrī aurat
1farīsiyoṅ ko ittilā milī ki īsā yahayā kī nisbat ziyādā shāgird banā rahā aur logoṅ ko baptismā de rahā hai, 2hālāṅki vah ḵẖud baptismā nahīṅ detā thā balki us ke shāgird. 3jab ḵẖudāvand īsā ko yah bāt mālūm huī to vah yahūdiyā ko chhoṛ kar galīl ko vāpas chalā gayā. 4vahāṅ pahuṅchne ke liye use sāmriyā meṅ se guzarnā thā.
5chalte chalte vah ek shahar ke pās pahuṅch gayā jis kā nām sūḵẖār thā. yah us zamīn ke qarīb thā jo yāqūb ne apne beṭe yūsuf ko dī thī. 6vahāṅ yāqūb kā kuāṅ thā. īsā safar se thak gayā thā, is liye vah kueṅ par baiṭh gayā. dopahar ke taqrīban bārah baj gae the.
7ek sāmrī aurat pānī bharne āī. īsā ne us se kahā, “mujhe zarā pānī pilā.” 8(us ke shāgird khānā ḵẖarīdne ke liye shahar gae hue the.)
9sāmrī aurat ne tājjub kiyā, kyūṅki yahūdī sāmriyoṅ ke sāth tālluq rakhne se inkār karte haiṅ. us ne kahā, “āp to yahūdī haiṅ, aur maiṅ sāmrī aurat hūṅ. āp kis tarah mujh se pānī pilāne kī daraḵẖwāst kar sakte haiṅ?”
10īsā ne javāb diyā, “agar tū us baḵẖshish se vāqif hotī jo allāh tujh ko denā chāhatā hai aur tū use jāntī jo tujh se pānī māṅg rahā hai to tū us se māṅgtī aur vah tujhe zindagī kā pānī detā.”
11ḵẖātūn ne kahā, “ḵẖudāvand, āp ke pās to bālṭī nahīṅ hai aur yah kuāṅ gaharā hai. āp ko zindagī kā yah pānī kahāṅ se milā? 12kyā āp hamāre bāp yāqūb se baṛe haiṅ jis ne hameṅ yah kuāṅ diyā aur jo ḵẖud bhī apne beṭoṅ aur revṛoṅ samet us ke pānī se lutf’andoz huā?”
13īsā ne javāb diyā, “jo bhī is pānī meṅ se pie use dubārā piyās lagegī. 14lekin jise maiṅ pānī pilā dūṅ use bād meṅ kabhī bhī piyās nahīṅ lagegī. balki jo pānī maiṅ use dūṅgā vah us meṅ ek chashmā ban jāegā jis se pānī phūṭ kar abdī zindagī muhayyā karegā.”
15aurat ne us se kahā, “ḵẖudāvand, mujhe yah pānī pilā deṅ. phir mujhe kabhī bhī piyās nahīṅ lagegī aur mujhe bār bār yahāṅ ā kar pānī bharnā nahīṅ paṛegā.”
16īsā ne kahā, “jā, apne ḵẖāvand ko bulā lā.”
17aurat ne javāb diyā, “merā koī ḵẖāvand nahīṅ hai.”
īsā ne kahā, “tū ne sahīh kahā ki merā ḵẖāvand nahīṅ hai, 18kyūṅki terī shādī pāṅch mardoṅ se ho chukī hai aur jis ādmī ke sāth tū ab rah rahī hai vah terā shauhar nahīṅ hai. terī bāt bilkul durust hai.”
19aurat ne kahā, “ḵẖudāvand, maiṅ dekhtī hūṅ ki āp nabī haiṅ. 20hamāre bāpdādā to isī pahāṛ par ibādat karte the jabki āp yahūdī log isrār karte haiṅ ki yarūshalam vah markaz hai jahāṅ hameṅ ibādat karnī hai.”
21īsā ne javāb diyā, “ai ḵẖātūn, yaqīn jān ki vah vaqt āegā jab tum na to is pahāṛ par bāp kī ibādat karoge, na yarūshalam meṅ. 22tum sāmrī us kī parastish karte ho jise nahīṅ jānte. is ke muqāble meṅ ham us kī parastish karte haiṅ jise jānte haiṅ, kyūṅki najāt yahūdiyoṅ meṅ se hai. 23lekin vah vaqt ā rahā hai balki pahuṅch chukā hai jab haqīqī parastār rūh aur sacchāī se bāp kī parastish kareṅge, kyūṅki bāp aise hī parastār chāhatā hai. 24allāh rūh hai, is liye lāzim hai ki us ke parastār rūh aur sacchāī se us kī parastish kareṅ.”
25aurat ne us se kahā, “mujhe mālūm hai ki masīh yānī masah kiyā huā shaḵẖs ā rahā hai. jab vah āegā to hameṅ sab kuchh batā degā.”
26is par īsā ne use batāyā, “maiṅ hī masīh hūṅ jo tere sāth bāt kar rahā hūṅ.”
27usī lamhe shāgird pahuṅch gae. unhoṅ ne jab dekhā ki īsā ek aurat se bāt kar rahā hai to tājjub kiyā. lekin kisī ne pūchhne kī jur’at na kī ki “āp kyā chāhate haiṅ?” yā “āp is aurat se kyūṅ bāteṅ kar rahe haiṅ?”
28aurat apnā ghaṛā chhoṛ kar shahar meṅ chalī gaī aur vahāṅ logoṅ se kahane lagī, 29“āo, ek ādmī ko dekho jis ne mujhe sab kuchh batā diyā hai jo maiṅ ne kiyā hai. vah masīh to nahīṅ hai?” 30chunāṅche vah shahar se nikal kar īsā ke pās āe.
31itne meṅ shāgird zor de kar īsā se kahane lage, “ustād, kuchh khānā khā leṅ.”
32lekin us ne javāb diyā, “mere pās khāne kī aisī chīz hai jis se tum vāqif nahīṅ ho.”
33shāgird āpas meṅ kahane lage, “kyā koī us ke pās khānā le kar āyā?”
34lekin īsā ne un se kahā, “merā khānā yah hai ki us kī marzī pūrī karūṅ jis ne mujhe bhejā hai aur us kā kām takmīl tak pahuṅchāūṅ. 35tum to ḵẖud kahate ho, ‘mazīd chār mahīne tak fasal pak jāegī.’ lekin maiṅ tum ko batātā hūṅ, apnī nazar uṭhā kar khetoṅ par ġaur karo. fasal pak gaī hai aur kaṭāī ke liye tayyār hai. 36fasal kī kaṭāī shurū ho chukī hai. kaṭāī karne vāle ko mazdūrī mil rahī hai aur vah fasal ko abdī zindagī ke liye jamā kar rahā hai tāki bīj bone vālā aur kaṭāī karne vālā donoṅ mil kar ḵẖushī manā sakeṅ. 37yūṅ yah kahāvat durust sābit ho jātī hai ki ‘ek bīj botā aur dūsrā fasal kāṭtā hai.’ 38maiṅ ne tum ko us fasal kī kaṭāī karne ke liye bhej diyā hai jise tayyār karne ke liye tum ne mehanat nahīṅ kī. auroṅ ne ḵẖūb mehanat kī hai aur tum is se fāidā uṭhā kar fasal jamā kar sakte ho.”
39us shahar ke bahut se sāmrī īsā par īmān lāe. vajah yah thī ki us aurat ne us ke bāre meṅ yah gavāhī dī thī, “us ne mujhe sab kuchh batā diyā jo maiṅ ne kiyā hai.” 40jab vah us ke pās āe to unhoṅ ne minnat kī, “hamāre pās ṭhahareṅ.” chunāṅche vah do din vahāṅ rahā.
41aur us kī bāteṅ sun kar mazīd bahut se log īmān lāe. 42unhoṅ ne aurat se kahā, “ab ham terī bātoṅ kī binā par īmān nahīṅ rakhte balki is liye ki ham ne ḵẖud sun aur jān liyā hai ki vāqaī duniyā kā najātadihandā yahī hai.”
afsar ke beṭe kī shifā
43vahāṅ do din guzārne ke bād īsā galīl ko chalā gayā. 44us ne ḵẖud gavāhī de kar kahā thā ki nabī kī us ke apne vatan meṅ izzat nahīṅ hotī. 45ab jab vah galīl pahuṅchā to maqāmī logoṅ ne use ḵẖush’āmadīd kahā, kyūṅki vah fasah kī īd manāne ke liye yarūshalam āe the aur unhoṅ ne sab kuchh dekhā jo īsā ne vahāṅ kiyā thā.
46phir vah dubārā qānā meṅ āyā jahāṅ us ne pānī ko mai meṅ badal diyā thā. us ilāqe meṅ ek shāhī afsar thā jis kā beṭā kafarnahūm meṅ bīmār paṛā thā. 47jab use ittilā milī ki īsā yahūdiyā se galīl pahuṅch gayā hai to vah us ke pās gayā aur guzārish kī, “kānā se mere pās ā kar mere beṭe ko shifā deṅ, kyūṅki vah marne ko hai.” 48īsā ne us se kahā, “jab tak tum log ilāhī nishān aur mojize nahīṅ dekhte īmān nahīṅ lāte.”
49shāhī afsar ne kahā, “ḵẖudāvand āeṅ, is se pahale ki merā laṛkā mar jāe.”
50īsā ne javāb diyā, “jā, terā beṭā zindā rahegā.”
ādmī īsā kī bāt par īmān lāyā aur apne ghar chalā gayā. 51vah abhī rāste meṅ thā ki us ke naukar us se mile. unhoṅ ne use ittilā dī ki beṭā zindā hai.
52us ne un se pūchhgichh kī ki us kī tabīat kis vaqt se behatar hone lagī thī. unhoṅ ne javāb diyā, “buḵẖār kal dopahar ek baje utar gayā.” 53phir bāp ne jān liyā ki usī vaqt īsā ne use batāyā thā, “tumhārā beṭā zindā rahegā.” aur vah apne pūre gharāne samet us par īmān lāyā.
54yūṅ īsā ne apnā dūsrā ilāhī nishān us vaqt dikhāyā jab vah yahūdiyā se galīl meṅ āyā thā.