Yūnus 1
yūnus allāh se farār ho jātā hai
1rabb yūnus bin amittī se hamkalām huā, 2“baṛe shahar nīnvā jā kar us par merī adālat kā elān kar, kyūṅki un kī burāī mere huzūr tak pahuṅch gaī hai.”
3yūnus ravānā huā, lekin mashriqī shahar nīnvā ke liye nahīṅ balki maġribī shahar tarsīs ke liye. rabb ke huzūr se farār hone ke liye vah yāfā shahar pahuṅch gayā jahāṅ ek baharī jahāz tarsīs ko jāne vālā thā. safar kā kirāyā adā karke yūnus jahāz meṅ baiṭh gayā tāki rabb ke huzūr se bhāg nikle.
4lekin rabb ne samundar par zabardast āṅdhī bhejī. tūfān itnā shadīd thā ki jahāz ke ṭukṛe ṭukṛe hone kā ḵẖatrā thā. 5mallāh saham gae, aur har ek chīḵẖtā chillātā apne devtā se iltijā karne lagā. jahāz ko halkā karne ke liye unhoṅ ne sāmān ko samundar meṅ phaiṅk diyā.
lekin yūnus jahāz ke nichle hisse meṅ leṭ gayā thā. ab vah gaharī nīṅd so rahā thā. 6phir kaptān us ke pās āyā aur kahane lagā, “āp kis tarah so sakte haiṅ? uṭheṅ, apne devtā se iltijā kareṅ! shāyad vah ham par dhyān de aur ham halāk na hoṅ.”
7mallāh āpas meṅ kahane lage, “āo, ham qur’ā ḍāl kar mālūm kareṅ ki kaun hamārī musībat kā bāis hai.” unhoṅ ne qur’ā ḍālā to yūnus kā nām niklā. 8tab unhoṅ ne us se pūchhā, “hameṅ batāeṅ ki yah āfat kis ke qusūr ke bāis ham par nāzil huī hai? āp kyā karte haiṅ, kahāṅ se āe haiṅ, kis mulk aur kis qaum se haiṅ?”
9yūnus ne javāb diyā, “maiṅ ibrānī hūṅ, aur rabb kā parastār hūṅ jo āsmān kā ḵẖudā hai. samundar aur ḵẖushkī donoṅ usī ne banāe haiṅ.” 10yūnus ne unheṅ yah bhī batāyā ki maiṅ rabb ke huzūr se farār ho rahā hūṅ. yah sab kuchh sun kar dīgar musāfiroṅ par shadīd dahshat tārī huī. unhoṅ ne kahā, “yah āp ne kyā kiyā hai?” 11itne meṅ samundar mazīd mutlātim hotā jā rahā thā. chunāṅche unhoṅ ne pūchhā, “ab ham āp ke sāth kyā kareṅ tāki samundar tham jāe aur hamārā pīchhā chhoṛ de?” 12yūnus ne javāb diyā, “mujhe uṭhā kar samundar meṅ phaiṅk deṅ to vah tham jāegā. kyūṅki maiṅ jāntā hūṅ ki yah baṛā tūfān merī hī vajah se āp par ṭūṭ paṛā hai.”
13pahale mallāhoṅ ne us kā mashvrā na mānā balki chappū mār mār kar sāhil par pahuṅchne kī sirtoṛ koshish karte rahe. lekin befāidā, samundar pahale kī nisbat kahīṅ ziyādā mutlātim ho gayā. 14tab vah buland āvāz se rabb se iltijā karne lage, “ai rabb, aisā na ho ki ham is ādmī kī zindagī ke sabab se halāk ho jāeṅ. aur jab ham use samundar meṅ phaiṅkeṅge to hameṅ begunāh ādmī kī jān lene ke zimmādār na ṭhaharā. kyūṅki jo kuchh ho rahā hai vah terī hī marzī se ho rahā hai.” 15yah kah kar unhoṅ ne yūnus ko uṭhā kar samundar meṅ phaiṅk diyā. pānī meṅ girte hī samundar ṭhāṭheṅ mārne se bāz ā kar tham gayā. 16yah dekh kar musāfiroṅ par saḵẖt dahshat chhā gaī, aur unhoṅ ne rabb ko zabah kī qurbānī pesh kī aur mannateṅ mānīṅ.
17lekin rabb ne ek baṛī machhlī ko yūnus ke pās bhejā jis ne use nigal liyā. yūnus tīn din aur tīn rāt machhlī ke peṭ meṅ rahā.