Yūnus 3

yūnus nīnvā meṅ

1rabb ek bār phir yūnus se hamkalām huā, 2“baṛe shahar nīnvā jā kar use vah paiġām sunā de jo maiṅ tujhe dūṅgā.”

3is martabā yūnus rabb kī sun kar nīnvā ke liye ravānā huā. rabb ke nazdīk nīnvā aham shahar thā. us meṅ se guzarne ke liye tīn din darkār the. 4pahale din yūnus shahar meṅ dāḵẖil huā aur chalte chalte logoṅ ko paiġām sunāne lagā, “ain 40 din ke bād nīnvā tabāh ho jāegā.”

5yah sun kar nīnvā ke bāshinde allāh par īmān lāe. unhoṅ ne roze kā elān kiyā, aur chhoṭe se le kar baṛe tak sab ṭāṭ oṛh kar mātam karne lage.

6jab yūnus kā paiġām nīnvā ke bādshāh tak pahuṅchā to us ne taḵẖt par se utar kar apne shāhī kapṛoṅ ko utār diyā aur ṭāṭ oṛh kar ḵẖāk meṅ baiṭh gayā. 7us ne shahar meṅ elān kiyā, “bādshāh aur us ke shurfā kā farmān suno! kisī ko bhī khāne yā pīne kī ijāzat nahīṅ. gāy-bail aur bheṛ-bakriyoṅ samet tamām jānvar bhī is meṅ shāmil haiṅ. na unheṅ charne do, na pānī pīne do. 8lāzim hai ki sab log jānvaroṅ samet ṭāṭ oṛh leṅ. har ek pūre zor se allāh se iltijā kare, har ek apnī burī rāhoṅ aur apne zulm-o-tashaddud se bāz āe. 9kyā mālūm, shāyad allāh pachhtāe. shāyad us kā shadīd ġazab ṭal jāe aur ham halāk na hoṅ.”

10jab allāh ne un kā yah ravayyā dekhā, ki vah vāqaī apnī burī rāhoṅ se bāz āe to vah pachhtāyā aur un par vah āfat na lāyā jis kā elān us ne kiyā thā.