Ahabār 1
bhasm hone vālī qurbānī
1rabb ne mulāqāt ke ḵẖaime meṅ se mūsā ko bulā kar kahā 2ki isrāīliyoṅ ko ittilā de,
“agar tum meṅ se koī rabb ko qurbānī pesh karnā chāhe to vah apne gāy-bailoṅ yā bheṛ-bakriyoṅ meṅ se jānvar chun le.
3agar vah apne gāy-bailoṅ meṅ se bhasm hone vālī qurbānī chaṛhānā chāhe to vah beaib bail chun kar use mulāqāt ke ḵẖaime ke darvāze par pesh kare tāki rabb use qabūl kare. 4qurbānī pesh karne vālā apnā hāth jānvar ke sar par rakhe to yah qurbānī maqbūl ho kar us kā kaffārā degī. 5qurbānī pesh karne vālā bail ko vahāṅ rabb ke sāmne zabah kare. phir hārūn ke beṭe jo imām haiṅ us kā ḵẖūn rabb ko pesh karke use darvāze par kī qurbāngāh ke chār pahalūoṅ par chhiṛkeṅ. 6is ke bād qurbānī pesh karne vālā khāl utār kar jānvar ke ṭukṛe ṭukṛe kare. 7imām qurbāngāh par āg lagā kar us par tartīb se lakṛiyāṅ chuneṅ. 8us par vah jānvar ke ṭukṛe sar aur charbī samet rakheṅ. 9lāzim hai ki qurbānī pesh karne vālā pahale jānvar kī aṅtaṛiyāṅ aur piṅḍaliyāṅ dhoe, phir imām pūre jānvar ko qurbāngāh par jalā de. is jalne vālī qurbānī kī ḵẖushbū rabb ko pasand hai.
10agar bhasm hone vālī qurbānī bheṛ-bakriyoṅ meṅ se chunī jāe to vah beaib nar ho. 11pesh karne vālā use rabb ke sāmne qurbāngāh kī shimālī simt meṅ zabah kare. phir hārūn ke beṭe jo imām haiṅ us kā ḵẖūn qurbāngāh ke chār pahalūoṅ par chhiṛkeṅ. 12is ke bād pesh karne vālā jānvar ke ṭukṛe ṭukṛe kare aur imām yah ṭukṛe sar aur charbī samet qurbāngāh kī jaltī huī lakṛiyoṅ par tartīb se rakhe. 13lāzim hai ki qurbānī pesh karne vālā pahale jānvar kī aṅtaṛiyāṅ aur piṅḍaliyāṅ dhoe, phir imām pūre jānvar ko rabb ko pesh karke qurbāngāh par jalā de. is jalne vālī qurbānī kī ḵẖushbū rabb ko pasand hai.
14agar bhasm hone vālī qurbānī parindā ho to vah qumrī yā javān kabūtar ho. 15imām use qurbāngāh ke pās le āe aur us kā sar maroṛ kar qurbāngāh par jalā de. vah us kā ḵẖūn yūṅ nikalne de ki vah qurbāngāh kī ek taraf se nīche ṭapke. 16vah us kā poṭā aur jo us meṅ hai dūr karke qurbāngāh kī mashriqī simt meṅ phaiṅk de, vahāṅ jahāṅ rākh phaiṅkī jātī hai. 17use pesh karte vaqt imām us ke par pakaṛ kar parinde ko phāṛ ḍāle, lekin yūṅ ki vah bilkul ṭukṛe ṭukṛe na ho jāe. phir imām use qurbāngāh par jaltī huī lakṛiyoṅ par jalā de. is jalne vālī qurbānī kī ḵẖushbū rabb ko pasand hai.