Ahabār 18
nājāiz jinsī tālluqāt
1rabb ne mūsā se kahā, 2“isrāīliyoṅ ko batānā ki maiṅ rabb tumhārā ḵẖudā hūṅ. 3misriyoṅ kī tarah zindagī na guzārnā jin meṅ tum rahate the. mulk-e-kan’ān ke logoṅ kī tarah bhī zindagī na guzārnā jin ke pās maiṅ tumheṅ le jā rahā hūṅ. un ke rasm-o-rivāj na apnānā. 4mere hī ahkām par amal karo aur merī hidāyāt ke mutābiq chalo. maiṅ rabb tumhārā ḵẖudā hūṅ. 5merī hidāyāt aur ahkām ke mutābiq chalnā, kyūṅki jo yūṅ karegā vah jītā rahegā. maiṅ rabb hūṅ.
6tum meṅ se koī bhī apnī qarībī rishtedār se hambistar na ho. maiṅ rabb hūṅ.
7apnī māṅ se hambistar na honā, varnā tere bāp kī behuramtī ho jāegī. vah terī māṅ hai, is liye us se hambistar na honā.
8apne bāp kī kisī bhī bīvī se hambistar na honā, varnā tere bāp kī behuramtī ho jāegī.
9apnī bahan se hambistar na honā, chāhe vah tere bāp yā terī māṅ kī beṭī ho, chāhe vah tere hī ghar meṅ yā kahīṅ aur paidā huī ho.
10apnī potī yā navāsī se hambistar na honā, varnā terī apnī behuramtī ho jāegī.
11apne bāp kī bīvī kī beṭī se hambistar na honā. vah terī bahan hai.
12apnī phūphī se hambistar na honā. vah tere bāp kī qarībī rishtedār hai.
13apnī ḵẖālā se hambistar na honā. vah terī māṅ kī qarībī rishtedār hai.
14apne bāp ke bhāī kī bīvī se hambistar na honā, varnā tere bāp ke bhāī kī behuramtī ho jāegī. us kī bīvī terī chachī hai.
15apnī bahū se hambistar na honā. vah tere beṭe kī bīvī hai.
16apnī bhābī se hambistar na honā, varnā tere bhāī kī behuramtī ho jāegī.
17agar terā jinsī tālluq kisī aurat se ho to us kī beṭī, potī yā navāsī se hambistar honā manā hai, kyūṅki vah us kī qarībī rishtedār haiṅ. aisā karnā baṛī sharmanāk harkat hai.
18apnī bīvī ke jīte jī us kī bahan se shādī na karnā.
19kisī aurat se us kī māhavārī ke dinoṅ meṅ hambistar na honā. is daurān vah nāpāk hai.
20kisī dūsre mard kī bīvī se hambistar na honā, varnā tū apne āp ko nāpāk karegā.
21apne kisī bhī bacche ko malik devtā ko qurbānī ke taur par pesh karke jalā denā manā hai. aisī harkat se tū apne ḵẖudā ke nām ko dāġ lagāegā. maiṅ rabb hūṅ.
22mard dūsre mard ke sāth jinsī tālluqāt na rakhe. aisī harkat qābil-e-ghin hai.
23kisī jānvar se jinsī tālluqāt na rakhnā, varnā tū nāpāk ho jāegā. aurtoṅ ke liye bhī aisā karnā manā hai. yah baṛī sharmanāk harkat hai.
24aisī harkatoṅ se apne āp ko nāpāk na karnā. kyūṅki jo qaumeṅ maiṅ tumhāre āge mulk se nikālūṅgā vah isī tarah nāpāk hotī rahīṅ. 25mulk ḵẖud bhī nāpāk huā. is liye maiṅ ne use us ke qusūr ke sabab se sazā dī, aur natīje meṅ us ne apne bāshindoṅ ko ugal diyā. 26lekin tum merī hidāyāt aur ahkām ke mutābiq chalo. na desī aur na pardesī aisī koī ghinaunī harkat kareṅ. 27kyūṅki yah tamām qābil-e-ghin bāteṅ un se huīṅ jo tum se pahale is mulk meṅ rahate the. yūṅ mulk nāpāk huā. 28lihāzā agar tum bhī mulk ko nāpāk karoge to vah tumheṅ isī tarah ugal degā jis tarah us ne tum se pahale maujūd qaumoṅ ko ugal diyā. 29jo bhī mazkūrā ghinaunī harkatoṅ meṅ se ek kare use us kī qaum meṅ se miṭāyā jāe. 30mere ahkām ke mutābiq chalte raho aur aise qābil-e-ghin rasm-o-rivāj na apnānā jo tumhāre āne se pahale rāij the. in se apne āp ko nāpāk na karnā. maiṅ rabb tumhārā ḵẖudā hūṅ.”