Ahabār 2
ġallā kī nazar
1agar koī rabb ko ġallā kī nazar pesh karnā chāhe to vah is ke liye behtarīn maidā istemāl kare. us par vah zaitūn kā tel uṅḍele aur lubān rakh kar 2use hārūn ke beṭoṅ ke pās le āe jo imām haiṅ. imām tel se milāyā gayā muṭṭhī bhar maidā aur tamām lubān le kar qurbāngāh par jalā de. yah yādgār kā hissā hai, aur us kī ḵẖushbū rabb ko pasand hai. 3bāqī maidā aur tel hārūn aur us ke beṭoṅ kā hissā hai. vah rabb kī jalne vālī qurbāniyoṅ meṅ se ek nihāyat muqaddas hissā hai.
4agar yah qurbānī tanūr meṅ pakāī huī roṭī ho to us meṅ ḵẖamīr na ho. is kī do qismeṅ ho saktī haiṅ, roṭiyāṅ jo behtarīn maide aur tel se banī huī hoṅ aur roṭiyāṅ jin par tel lagāyā gayā ho.
5agar yah qurbānī tave par pakāī huī roṭī ho to vah behtarīn maide aur tel kī ho. us meṅ ḵẖamīr na ho. 6chūṅki vah ġallā kī nazar hai is liye roṭī ko ṭukṛe ṭukṛe karnā aur us par tel ḍālnā.
7agar yah qurbānī kaṛāhī meṅ pakāī huī roṭī ho to vah behtarīn maide aur tel kī ho.
8agar tū in chīzoṅ kī banī huī ġallā kī nazar rabb ke huzūr lānā chāhe to use imām ko pesh karnā. vahī use qurbāngāh ke pās le āe. 9phir imām yādgār kā hissā alag karke use qurbāngāh par jalā de. aisī qurbānī kī ḵẖushbū rabb ko pasand hai. 10qurbānī kā bāqī hissā hārūn aur us ke beṭoṅ ke liye hai. vah rabb kī jalne vālī qurbāniyoṅ meṅ se ek nihāyat muqaddas hissā hai.
11ġallā kī jitnī nazreṅ tum rabb ko pesh karte ho un meṅ ḵẖamīr na ho, kyūṅki lāzim hai ki tum rabb ko jalne vālī qurbānī pesh karte vaqt na ḵẖamīr, na shahad jalāo. 12yah chīzeṅ fasal ke pahale phaloṅ ke sāth rabb ko pesh kī jā saktī haiṅ, lekin unheṅ qurbāngāh par na jalāyā jāe, kyūṅki vahāṅ rabb ko un kī ḵẖushbū pasand nahīṅ hai. 13ġallā kī har nazar meṅ namak ho, kyūṅki namak us ahd kī numāindagī kartā hai jo tere ḵẖudā ne tere sāth bāṅdhā hai. tujhe har qurbānī meṅ namak ḍālnā hai.
14agar tū ġallā kī nazar ke liye fasal ke pahale phal pesh karnā chāhe to kuchlī huī kacchī bāliyāṅ bhūn kar pesh karnā. 15chūṅki vah ġallā kī nazar hai is liye us par tel uṅḍelanā aur lubān rakhnā. 16kuchle hue dānoṅ aur tel kā jo hissā rabb kā hai yānī yādgār kā hissā use imām tamām lubān ke sāth jalā de. yah nazar rabb ke liye jalne vālī qurbānī hai.