Ahabār 23
1rabb ne mūsā se kahā, 2“isrāīliyoṅ ko batānā ki yah merī, rabb kī īdeṅ haiṅ jin par tumheṅ logoṅ ko muqaddas ijtimā ke liye jamā karnā hai.
sabat kā din
3hafte meṅ chhah din kām karnā, lekin sātvāṅ din har tarah se ārām kā din hai. us din muqaddas ijtimā ho. jahāṅ bhī tum rahate ho vahāṅ kām na karnā. yah din rabb ke liye maḵẖsūs sabat hai.
fasah kī īd aur beḵẖamīrī roṭī kī īd
4yah rabb kī īdeṅ haiṅ jin par tumheṅ logoṅ ko muqaddas ijtimā ke liye jamā karnā hai.
5fasah kī īd pahale mahīne ke chaudhveṅ din shurū hotī hai. us din sūraj ke ġurūb hone par rabb kī ḵẖushī manāī jāe. 6agle din rabb kī yād meṅ beḵẖamīrī roṭī kī īd shurū hotī hai. sāt din tak tumhārī roṭī meṅ ḵẖamīr na ho. 7in sāt dinoṅ ke pahale din muqaddas ijtimā ho aur log apnā har kām chhoṛeṅ. 8in sāt dinoṅ meṅ rozānā rabb ko jalne vālī qurbānī pesh karo. sātveṅ din bhī muqaddas ijtimā ho aur log apnā har kām chhoṛeṅ.”
pahale pūle kī īd
9rabb ne mūsā se kahā, 10“isrāīliyoṅ ko batānā ki jab tum us mulk meṅ dāḵẖil hoge jo maiṅ tumheṅ dūṅgā aur vahāṅ anāj kī fasal kāṭoge to tumheṅ imām ko pahalā pūlā denā hai. 11itwār ko imām yah pūlā rabb ke sāmne hilāe tāki tum manzūr ho jāo. 12us din bheṛ kā ek yaksālā beaib bacchā bhī rabb ko pesh karnā. use qurbāngāh par bhasm hone vālī qurbānī ke taur par chaṛhānā. 13sāth hī ġallā kī nazar ke liye tel se milāyā gayā 3 kilogrām behtarīn maidā bhī pesh karnā. jalne vālī yah qurbānī rabb ko pasand hai. is ke ilāvā mai kī nazar ke liye ek liṭar mai bhī pesh karnā. 14pahale yah sab kuchh karo, phir hī tumheṅ naī fasal ke anāj se khāne kī ijāzat hogī, ḵẖwāh vah bhunā huā ho, ḵẖwāh kacchā yā roṭī kī sūrat meṅ pakāyā gayā ho. jahāṅ bhī tum rahate ho vahāṅ aisā hī karnā hai. yah usūl abad tak qāim rahe.
haftoṅ kī īd yānī pantikust
15jis din tum ne anāj kā pūlā pesh kiyā us din se pūre sāt hafte gino. 16pachāsaveṅ din yānī sātveṅ itwār ko rabb ko nae anāj kī qurbānī chaṛhānā. 17har gharāne kī taraf se rabb ko hilāne vālī qurbānī ke taur par do roṭiyāṅ pesh kī jāeṅ. har roṭī ke liye 3 kilogrām behtarīn maidā istemāl kiyā jāe. un meṅ ḵẖamīr ḍāl kar pakānā hai. yah fasal kī pahalī paidāvār kī qurbānī haiṅ. 18in roṭiyoṅ ke sāth ek javān bail, do meṅḍhe aur bheṛ ke sāt beaib aur yaksālā bacche pesh karo. unheṅ rabb ke huzūr bhasm hone vālī qurbānī ke taur par chaṛhānā. is ke ilāvā ġallā kī nazar aur mai kī nazar bhī pesh karnī hai. jalne vālī is qurbānī kī ḵẖushbū rabb ko pasand hai. 19phir gunāh kī qurbānī ke liye ek bakrā aur salāmatī kī qurbānī ke liye do yaksālā bheṛ ke bacche chaṛhāo. 20imām bheṛ ke yah do bacche mazkūrā roṭiyoṅ samet hilāne vālī qurbānī ke taur par rabb ke sāmne hilāe. yah rabb ke liye maḵẖsūs-o-muqaddas haiṅ aur qurbāniyoṅ meṅ se imām kā hissā haiṅ. 21usī din logoṅ ko muqaddas ijtimā ke liye jamā karo. koī bhī kām na karnā. yah usūl abad tak qāim rahe, aur ise har jagah mānnā hai.
22kaṭāī ke vaqt apnī fasal pūre taur par na kāṭnā balki khet ke kināroṅ par kuchh chhoṛ denā. is tarah jo kuchh kaṭāī karte vaqt khet meṅ bach jāe use chhoṛnā. bachā huā anāj ġarīboṅ aur pardesiyoṅ ke liye chhoṛ denā. maiṅ rabb tumhārā ḵẖudā hūṅ.”
nae sāl kī īd
23rabb ne mūsā se kahā, 24“isrāīliyoṅ ko batānā ki sātveṅ mahīne kā pahalā din ārām kā din hai. us din muqaddas ijtimā ho jis par yād dilāne ke liye narsiṅgā phūṅkā jāe. 25koī bhī kām na karnā. rabb ko jalne vālī qurbānī pesh karnā.”
kaffārā kā din
26rabb ne mūsā se kahā, 27“sātveṅ mahīne kā dasvāṅ din kaffārā kā din hai. us din muqaddas ijtimā ho. apnī jān ko dukh denā aur rabb ko jalne vālī qurbānī pesh karnā. 28us din kām na karnā, kyūṅki yah kaffārā kā din hai, jab rabb tumhāre ḵẖudā ke sāmne tumhārā kaffārā diyā jātā hai. 29jo us din apnī jān ko dukh nahīṅ detā use us kī qaum meṅ se miṭāyā jāe. 30jo us din kām kartā hai use maiṅ us kī qaum meṅ se nikāl kar halāk karūṅgā. 31koī bhī kām na karnā. yah usūl abad tak qāim rahe, aur ise har jagah mānnā hai. 32yah din ārām kā ḵẖās din hai jis meṅ tumheṅ apnī jān ko dukh denā hai. ise mahīne ke navveṅ din kī shām se le kar aglī shām tak manānā.”
jhoṁpaṛiyoṅ kī īd
33rabb ne mūsā se kahā, 34“isrāīliyoṅ ko batānā ki sātveṅ mahīne ke paṅdrahaveṅ din jhoṁpaṛiyoṅ kī īd shurū hotī hai. is kā daurāniyā sāt din hai. 35pahale din muqaddas ijtimā ho. is din koī kām na karnā. 36in sāt dinoṅ ke daurān rabb ko jalne vālī qurbāniyāṅ pesh karnā. āṭhveṅ din muqaddas ijtimā ho. rabb ko jalne vālī qurbānī pesh karo. is ḵẖās ijtimā ke din bhī kām nahīṅ karnā hai.
37yah rabb kī īdeṅ haiṅ jin par tumheṅ muqaddas ijtimā karnā hai tāki rabb ko rozmarrā kī matlūbā jalne vālī qurbāniyāṅ aur mai kī nazreṅ pesh kī jāeṅ yānī bhasm hone vālī qurbāniyāṅ, ġallā kī nazreṅ, zabah kī qurbāniyāṅ aur mai kī nazreṅ. 38yah qurbāniyāṅ un qurbāniyoṅ ke ilāvā haiṅ jo sabat ke din chaṛhāī jātī haiṅ aur jo tum ne hadie ke taur par yā mannat mān kar yā apnī dilī ḵẖushī se pesh kī haiṅ.
39chunāṅche sātveṅ mahīne ke paṅdrahaveṅ din fasal kī kaṭāī ke iḵẖtitām par rabb kī yah īd yānī jhoṁpaṛiyoṅ kī īd manāo. ise sāt din manānā. pahalā aur āḵẖirī din ārām ke din haiṅ. 40pahale din apne liye daraḵẖtoṅ ke behtarīn phal, khajūr kī ḍāliyāṅ aur ghane daraḵẖtoṅ aur safedā kī shāḵẖeṅ toṛnā. sāt din tak rabb apne ḵẖudā ke sāmne ḵẖushī manāo. 41har sāl sātveṅ mahīne meṅ rabb kī ḵẖushī meṅ yah īd manānā. yah usūl abad tak qāim rahe. 42īd ke hafte ke daurān jhoṁpaṛiyoṅ meṅ rahanā. tamām mulk meṅ ābād isrāīlī aisā kareṅ. 43phir tumhārī aulād jānegī ki isrāīliyoṅ ko misr se nikālte vaqt maiṅ ne unheṅ jhoṁpaṛiyoṅ meṅ basāyā. maiṅ rabb tumhārā ḵẖudā hūṅ.”
44mūsā ne isrāīliyoṅ ko rabb kī īdoṅ ke bāre meṅ yah bāteṅ batāīṅ.