Ahabār 24
rabb ke sāmne shamādān aur roṭiyāṅ
1rabb ne mūsā se kahā, 2“isrāīliyoṅ ko hukm de ki vah tere pās kūṭe hue zaitūnoṅ kā ḵẖālis tel le āeṅ tāki muqaddas kamre ke shamādān ke charāġ mutvātir jalte raheṅ. 3hārūn unheṅ musalsal, shām se le kar subah tak rabb ke huzūr saṁbhāle yānī vahāṅ jahāṅ vah muqaddastarīn kamre ke parde ke sāmne paṛe haiṅ, us parde ke sāmne jis ke pīchhe ahd kā sandūq hai. yah usūl abad tak qāim rahe. 4vah ḵẖālis sone ke shamādān par lage charāġoṅ kī dekh-bhāl yūṅ kare ki yah hameshā rabb ke sāmne jalte raheṅ.
5bārah roṭiyāṅ pakānā. har roṭī ke liye 3 kilogrām behtarīn maidā istemāl kiyā jāe. 6unheṅ do qatāroṅ meṅ rabb ke sāmne ḵẖālis sone kī mez par rakhnā. 7har qatār par ḵẖālis lubān ḍālnā. yah lubān roṭī ke liye yādgārī kī qurbānī hai jise bād meṅ rabb ke liye jalānā hai. 8har hafte ko rabb ke sāmne tāzā roṭiyāṅ isī tartīb se mez par rakhnī haiṅ. yah isrāīliyoṅ ke liye abdī ahd kī lāzimī shart hai. 9mez kī roṭiyāṅ hārūn aur us ke beṭoṅ kā hissā haiṅ, aur vah unheṅ muqaddas jagah par khāeṅ, kyūṅki vah jalne vālī qurbāniyoṅ kā muqaddastarīn hissā haiṅ. yah abad tak un kā haq rahegā.”
allāh kī tauhīn, ḵẖūṅrezī aur zaḵẖmī karne kī sazāeṅ
10-11 ḵẖaimāgāh meṅ ek ādmī thā jis kā bāp misrī aur māṅ isrāīlī thī. māṅ kā nām salūmīt thā. vah dibrī kī beṭī aur dān ke qabīlā kī thī. ek din yah ādmī ḵẖaimāgāh meṅ kisī isrāīlī se jhagaṛne lagā. laṛte laṛte us ne rabb ke nām par kufr bak kar us par lānat bhejī. yah sun kar log use mūsā ke pās le āe. 12vahāṅ unhoṅ ne use pahare meṅ biṭhā kar rabb kī hidāyat kā intizār kiyā.
13tab rabb ne mūsā se kahā, 14“lānat karne vāle ko ḵẖaimāgāh ke bāhar le jāo. jinhoṅ ne us kī yah bāteṅ sunī haiṅ vah sab apne hāth us ke sar par rakheṅ. phir pūrī jamāat use saṅgasār kare. 15isrāīliyoṅ se kahanā ki jo bhī apne ḵẖudā par lānat bheje use apne qusūr ke natīje bardāsht karne paṛeṅge. 16jo bhī rabb ke nām par kufr bake use sazā-e-maut dī jāe. pūrī jamāat use saṅgasār kare. jis ne rabb ke nām par kufr bakā ho use zarūr sazā-e-maut denī hai, ḵẖwāh desī ho yā pardesī.
17jis ne kisī ko mār ḍālā hai use sazā-e-maut dī jāe. 18jis ne kisī ke jānvar ko mār ḍālā hai vah us kā muāvazā de. jān ke badle jān dī jāe. 19agar kisī ne kisī ko zaḵẖmī kar diyā hai to vahī kuchh us ke sāth kiyā jāe jo us ne dūsre ke sāth kiyā hai. 20agar dūsre kī koī haḍḍī ṭūṭ jāe to us kī vahī haḍḍī toṛī jāe. agar dūsre kī āṅkh zāe ho jāe to us kī āṅkh zāe kar dī jāe. agar dūsre kā dāṅt ṭūṭ jāe to us kā vahī dāṅt toṛā jāe. jo bhī zaḵẖm us ne dūsre ko pahuṅchāyā vahī zaḵẖm use pahuṅchāyā jāe. 21jis ne kisī jānvar ko mār ḍālā hai vah us kā muāvazā de, lekin jis ne kisī insān ko mār diyā hai use sazā-e-maut denī hai. 22desī aur pardesī ke liye tumhārā ek hī qānūn ho. maiṅ rabb tumhārā ḵẖudā hūṅ.”
23phir mūsā ne isrāīliyoṅ se bāt kī, aur unhoṅ ne rabb par lānat bhejne vāle ko ḵẖaimāgāh se bāhar le jā kar use saṅgasār kiyā. unhoṅ ne vaisā hī kiyā jaisā rabb ne mūsā ko hukm diyā thā.