Ahabār 5
gunāh kī qurbāniyoṅ ke bāre meṅ ḵẖās hidāyāt
1ho saktā hai ki kisī ne yūṅ gunāh kiyā ki us ne koī jurm dekhā yā vah us ke bāre meṅ kuchh jāntā hai. to bhī jab gavāhoṅ ko qasam ke liye bulāyā jātā hai to vah gavāhī dene ke liye sāmne nahīṅ ātā. is sūrat meṅ vah qusūrvār ṭhahartā hai.
2ho saktā hai ki kisī ne ġairirādī taur par kisī nāpāk chīz ko chhū liyā hai, ḵẖwāh vah kisī jaṅglī jānvar, maveshī yā reṅgne vāle jānvar kī lāsh kyūṅ na ho. is sūrat meṅ vah nāpāk hai aur qusūrvār ṭhahartā hai.
3ho saktā hai ki kisī ne ġairirādī taur par kisī shaḵẖs kī nāpākī ko chhū liyā hai yānī us kī koī aisī chīz jis se vah nāpāk ho gayā hai. jab use mālūm ho jātā hai to vah qusūrvār ṭhahartā hai.
4ho saktā hai ki kisī ne beparvāī se kuchh karne kī qasam khāī hai, chāhe vah acchhā kām thā yā ġalat. jab vah jān letā hai ki us ne kyā kiyā hai to vah qusūrvār ṭhahartā hai.
5jo is tarah ke kisī gunāh kī binā par qusūrvār ho, lāzim hai ki vah apnā gunāh taslīm kare. 6phir vah gunāh kī qurbānī ke taur par ek bheṛ yā bakrī pesh kare. yūṅ imām us kā kaffārā degā.
7agar qusūrvār shaḵẖs ġurbat ke bāis bheṛ yā bakrī na de sake to vah rabb ko do qumriyāṅ yā do javān kabūtar pesh kare, ek gunāh kī qurbānī ke liye aur ek bhasm hone vālī qurbānī ke liye. 8vah unheṅ imām ke pās le āe. imām pahale gunāh kī qurbānī ke liye parindā pesh kare. vah us kī gardan maroṛ ḍāle lekin aise ki sar judā na ho jāe. 9phir vah us ke ḵẖūn meṅ se kuchh qurbāngāh ke ek pahalū par chhiṛke. bāqī ḵẖūn vah yūṅ nikalne de ki vah qurbāngāh ke pāe par ṭapke. yah gunāh kī qurbānī hai. 10phir imām dūsre parinde ko qavāid ke mutābiq bhasm hone vālī qurbānī ke taur par pesh kare. yūṅ imām us ādmī kā kaffārā degā aur use muāfī mil jāegī.
11agar vah shaḵẖs ġurbat ke bāis do qumriyāṅ yā do javān kabūtar bhī na de sake to phir vah gunāh kī qurbānī ke liye ḍeṛh kilogrām behtarīn maidā pesh kare. vah us par na tel uṅḍele, na lubān rakhe, kyūṅki yah ġallā kī nazar nahīṅ balki gunāh kī qurbānī hai. 12vah use imām ke pās le āe jo yādgār kā hissā yānī muṭṭhī bhar un qurbāniyoṅ ke sāth jalā de jo rabb ke liye jalāī jātī haiṅ. yah gunāh kī qurbānī hai. 13yūṅ imām us ādmī kā kaffārā degā aur use muāfī mil jāegī. ġallā kī nazar kī tarah bāqī maidā imām kā hissā hai.”
qusūr kī qurbānī
14rabb ne mūsā se kahā, 15“agar kisī ne beīmānī karke ġairirādī taur par rabb kī maḵẖsūs aur muqaddas chīzoṅ ke silsile meṅ gunāh kiyā ho, aisā shaḵẖs qusūr kī qurbānī ke taur par rabb ko beaib aur qīmat ke lihāz se munāsib meṅḍhā yā bakrā pesh kare. us kī qīmat maqdis kī sharah ke mutābiq muqarrar kī jāe. 16jitnā nuqsān maqdis ko huā hai utnā hī vah de. is ke ilāvā vah mazīd 20 fīsad adā kare. vah use imām ko de de aur imām jānvar ko qusūr kī qurbānī ke taur par pesh karke us kā kaffārā de. yūṅ use muāfī mil jāegī.
17agar koī ġairirādī taur par gunāh karke rabb ke kisī hukm se tajāvuz kare to vah qusūrvār hai, aur vah us kā zimmādār ṭhaharegā. 18vah qusūr kī qurbānī ke taur par imām ke pās ek beaib aur qīmat ke lihāz se munāsib meṅḍhā le āe. us kī qīmat maqdis kī sharah ke mutābiq muqarrar kī jāe. phir imām yah qurbānī us gunāh ke liye chaṛhāe jo qusūrvār shaḵẖs ne ġairirādī taur par kiyā hai. yūṅ use muāfī mil jāegī. 19yah qusūr kī qurbānī hai, kyūṅki vah rabb kā gunāh karke qusūrvār ṭhaharā hai.”