Ahabār 8
hārūn aur us ke beṭoṅ kī maḵẖsūsiyat
1rabb ne mūsā se kahā, 2“hārūn aur us ke beṭoṅ ko mere huzūr le ānā. nīz imāmoṅ ke libās, masah kā tel, gunāh kī qurbānī ke liye javān bail, do meṅḍhe aur beḵẖamīrī roṭiyoṅ kī ṭokrī le ānā. 3phir pūrī jamāat ko ḵẖaime ke darvāze par jamā karnā.”
4mūsā ne aisā hī kiyā. jab pūrī jamāat ikaṭṭhī ho gaī to 5us ne un se kahā, “ab maiṅ vah kuchh kartā hūṅ jis kā hukm rabb ne diyā hai.” 6mūsā ne hārūn aur us ke beṭoṅ ko sāmne lā kar ġusal karāyā. 7us ne hārūn ko katān kā zerjāmā pahanā kar kamarband lapeṭā. phir us ne choġā pahanāyā jis par us ne bālāposh ko mahārat se bune hue paṭke se bāṅdhā. 8is ke bād us ne sīne kā kīsā lagā kar us meṅ donoṅ qurae banām ūrīm aur tummīm rakhe. 9phir us ne hārūn ke sar par pagṛī rakhī jis ke sāmne vāle hisse par us ne muqaddas tāj yānī sone kī taḵẖtī lagā dī. sab kuchh us hukm ke ain mutābiq huā jo rabb ne mūsā ko diyā thā.
10is ke bād mūsā ne masah ke tel se maqdis ko aur jo kuchh us meṅ thā masah karke use maḵẖsūs-o-muqaddas kiyā. 11us ne yah tel sāt bār jānvar chaṛhāne kī qurbāngāh aur us ke sāmān par chhiṛak diyā. isī tarah us ne sāt bār dhone ke hauz aur us ḍhāṅche par tel chhiṛak diyā jis par hauz rakhā huā thā. yūṅ yah chīzeṅ maḵẖsūs-o-muqaddas huīṅ. 12us ne hārūn ke sar par masah kā tel uṅḍel kar use masah kiyā. yūṅ vah maḵẖsūs-o-muqaddas huā.
13phir mūsā ne hārūn ke beṭoṅ ko sāmne lā kar unheṅ zerjāme pahanāe, kamarband lapeṭe aur un ke saroṅ par pagṛiyāṅ bāṅdhīṅ. sab kuchh us hukm ke ain mutābiq huā jo rabb ne mūsā ko diyā thā.
14ab mūsā ne gunāh kī qurbānī ke liye javān bail ko pesh kiyā. hārūn aur us ke beṭoṅ ne apne hāth us ke sar par rakhe. 15mūsā ne use zabah karke us ke ḵẖūn meṅ se kuchh le kar apnī uṅglī se qurbāngāh ke sīṅgoṅ par lagā diyā tāki vah gunāhoṅ se pāk ho jāe. bāqī ḵẖūn us ne qurbāngāh ke pāe par uṅḍel diyā. yūṅ us ne use maḵẖsūs-o-muqaddas karke us kā kaffārā diyā. 16mūsā ne aṅtaṛiyoṅ par kī tamām charbī, joṛkalejī aur donoṅ gurde un kī charbī samet le kar qurbāngāh par jalā die. 17lekin bail kī khāl, gosht aur aṅtaṛiyoṅ ke gobar ko us ne ḵẖaimāgāh ke bāhar le jā kar jalā diyā. sab kuchh us hukm ke mutābiq huā jo rabb ne mūsā ko diyā thā.
18is ke bād us ne bhasm hone vālī qurbānī ke liye pahalā meṅḍhā pesh kiyā. hārūn aur us ke beṭoṅ ne apne hāth us ke sar par rakh die. 19mūsā ne use zabah karke us kā ḵẖūn qurbāngāh ke chār pahalūoṅ par chhiṛak diyā. 20us ne meṅḍhe ko ṭukṛe ṭukṛe karke sar, ṭukṛe aur charbī jalā dī. 21us ne aṅtaṛiyāṅ aur piṅḍaliyāṅ pānī se sāf karke pūre meṅḍhe ko qurbāngāh par jalā diyā. sab kuchh us hukm ke ain mutābiq huā jo rabb ne mūsā ko diyā thā. rabb ke liye jalne vālī yah qurbānī bhasm hone vālī qurbānī thī, aur us kī ḵẖushbū rabb ko pasand thī.
22is ke bād mūsā ne dūsre meṅḍhe ko pesh kiyā. is qurbānī kā maqsad imāmoṅ ko maqdis meṅ ḵẖidmat ke liye maḵẖsūs karnā thā. hārūn aur us ke beṭoṅ ne apne hāth meṅḍhe ke sar par rakh die. 23mūsā ne use zabah karke us ke ḵẖūn meṅ se kuchh le kar hārūn ke dahane kān kī lau par aur us ke dahane hāth aur dahane pāoṅ ke aṅgūṭhoṅ par lagāyā. 24yahī us ne hārūn ke beṭoṅ ke sāth bhī kiyā. us ne unheṅ sāmne lā kar un ke dahane kān kī lau par aur un ke dahane hāth aur dahane pāoṅ ke aṅgūṭhoṅ par ḵẖūn lagāyā. bāqī ḵẖūn us ne qurbāngāh ke chār pahalūoṅ par chhiṛak diyā. 25us ne meṅḍhe kī charbī, dum, aṅtaṛiyoṅ par kī sārī charbī, joṛkalejī, donoṅ gurde un kī charbī samet aur dahanī rān alag kī. 26phir vah rabb ke sāmne paṛī beḵẖamīrī roṭiyoṅ kī ṭokrī meṅ se ek sādā roṭī, ek roṭī jis meṅ tel ḍālā gayā thā aur ek roṭī jis par tel lagāyā gayā thā le kar charbī aur rān par rakh dī. 27us ne yah sab kuchh hārūn aur us ke beṭoṅ ke hāthoṅ par rakh kar use hilāne vālī qurbānī ke taur par rabb ko pesh kiyā. 28phir us ne yah chīzeṅ un se vāpas le kar qurbāngāh par jalā dīṅ jis par pahale bhasm hone vālī qurbānī rakhī gaī thī. rabb ke liye jalne vālī yah qurbānī imāmoṅ ko maḵẖsūs karne ke liye chaṛhāī gaī, aur us kī ḵẖushbū rabb ko pasand thī.
29mūsā ne sīnā bhī liyā aur use hilāne vālī qurbānī ke taur par rabb ke sāmne hilāyā. yah maḵẖsūsiyat ke meṅḍhe meṅ se mūsā kā hissā thā. mūsā ne is meṅ bhī sab kuchh rabb ke hukm ke ain mutābiq kiyā.
30phir us ne masah ke tel aur qurbāngāh par ke ḵẖūn meṅ se kuchh le kar hārūn, us ke beṭoṅ aur un ke kapṛoṅ par chhiṛak diyā. yūṅ us ne unheṅ aur un ke kapṛoṅ ko maḵẖsūs-o-muqaddas kiyā.
31mūsā ne un se kahā, “gosht ko mulāqāt ke ḵẖaime ke darvāze par ubāl kar use un roṭiyoṅ ke sāth khānā jo maḵẖsūsiyat kī qurbāniyoṅ kī ṭokrī meṅ paṛī haiṅ. kyūṅki rabb ne mujhe yahī hukm diyā hai. 32gosht aur roṭiyoṅ kā baqāyā jalā denā. 33sāt din tak mulāqāt ke ḵẖaime ke darvāze meṅ se na nikalnā, kyūṅki maqdis meṅ ḵẖidmat ke liye tumhārī maḵẖsūsiyat ke itne hī din haiṅ. 34jo kuchh āj huā hai vah rabb ke hukm ke mutābiq huā tāki tumhārā kaffārā diyā jāe. 35tumheṅ sāt rāt aur din tak ḵẖaime ke darvāze ke andar rahanā hai. rabb kī is hidāyat ko māno varnā tum mar jāoge, kyūṅki yah hukm mujhe rabb kī taraf se diyā gayā hai.”
36hārūn aur us ke beṭoṅ ne un tamām hidāyāt par amal kiyā jo rabb ne mūsā kī mārifat unheṅ dī thīṅ.