Lūqā 10
īsā 72 shāgirdoṅ ko munādī ke liye bhejtā hai
1is ke bād ḵẖudāvand ne mazīd 72 shāgirdoṅ ko muqarrar kiyā aur unheṅ do do karke apne āge har us shahar aur jagah bhej diyā jahāṅ vah abhī jāne ko thā. 2us ne un se kahā, “fasal bahut hai, lekin mazdūr thoṛe. is liye fasal ke mālik se daraḵẖwāst karo ki vah fasal kāṭne ke liye mazīd mazdūr bhej de. 3ab ravānā ho jāo, lekin zahan meṅ yah bāt rakho ki tum bheṛ ke bacchoṅ kī mānind ho jinheṅ maiṅ bheṛiyoṅ ke darmiyān bhej rahā hūṅ. 4apne sāth na baṭvā le jānā, na sāmān ke liye baig, na jūte. aur rāste meṅ kisī ko bhī salām na karnā. 5jab bhī tum kisī ke ghar meṅ dāḵẖil ho to pahale yah kahanā, ‘is ghar kī salāmatī ho.’ 6agar us meṅ salāmatī kā koī bandā hogā to tumhārī barkat us par ṭhaharegī, varnā vah tum par lauṭ āegī. 7salāmatī ke aise ghar meṅ ṭhaharo aur vah kuchh khāo piyo jo tum ko diyā jāe, kyūṅki mazdūr apnī mazdūrī kā haqdār hai. muḵẖtalif gharoṅ meṅ ghūmte na phiro balki ek hī ghar meṅ raho. 8jab bhī tum kisī shahar meṅ dāḵẖil ho aur log tum ko qabūl kareṅ to jo kuchh vah tum ko khāne ko deṅ use khāo. 9vahāṅ ke marīzoṅ ko shifā de kar batāo ki allāh kī bādshāhī qarīb ā gaī hai. 10lekin agar tum kisī shahar meṅ jāo aur log tum ko qabūl na kareṅ to phir shahar kī saṛkoṅ par khaṛe ho kar kaho, 11‘ham apne jūtoṅ se tumhāre shahar kī gard bhī jhāṛ dete haiṅ. yūṅ ham tumhāre ḵẖilāf gavāhī dete haiṅ. lekin yah jān lo ki allāh kī bādshāhī qarīb ā gaī hai.’ 12maiṅ tum ko batātā hūṅ ki us din us shahar kī nisbat sadūm kā hāl ziyādā qābil-e-bardāsht hogā.
taubā na karne vāle shaharoṅ par afsos
13ai ḵẖurāzīn, tujh par afsos! bait-saidā, tujh par afsos! agar sūr aur saidā meṅ vah mojize kie gae hote jo tum meṅ hue to vahāṅ ke log kab ke ṭāṭ oṛh kar aur sar par rākh ḍāl kar taubā kar chuke hote. 14jī hāṅ, adālat ke din tumhārī nisbat sūr aur saidā kā hāl ziyādā qābil-e-bardāsht hogā. 15aur tū ai kafarnahūm, kyā tujhe āsmān tak sarfarāz kiyā jāegā? hargiz nahīṅ, balki tū utartā utartā pātāl tak pahuṅchegā.
16jis ne tumhārī sunī us ne merī bhī sunī. aur jis ne tum ko radd kiyā us ne mujhe bhī radd kiyā. aur mujhe radd karne vāle ne use bhī radd kiyā jis ne mujhe bhejā hai.”
72 shāgirdoṅ kī vāpsī
1772 shāgird lauṭ āe. vah bahut ḵẖush the aur kahane lage, “ḵẖudāvand, jab ham āp kā nām lete haiṅ to badruheṅ bhī hamāre tābe ho jātī haiṅ.”
18īsā ne javāb diyā, “iblīs mujhe nazar āyā aur vah bijlī kī tarah āsmān se gir rahā thā. 19dekho, maiṅ ne tum ko sāṁpoṅ aur bichhūoṅ par chalne kā iḵẖtiyār diyā hai. tum ko dushman kī pūrī tāqat par iḵẖtiyār hāsil hai. kuchh bhī tum ko nuqsān nahīṅ pahuṅchā sakegā. 20lekin is vajah se ḵẖushī na manāo ki badruheṅ tumhāre tābe haiṅ, balki is vajah se ki tumhāre nām āsmān par darj kie gae haiṅ.”
bāp kī tamjīd
21usī vaqt īsā rūh-ul-quds meṅ ḵẖushī manāne lagā. us ne kahā, “ai bāp, āsmān-o-zamīn ke mālik! maiṅ terī tamjīd kartā hūṅ ki tū ne yah bāt dānāoṅ aur aqalmandoṅ se chhupā kar chhoṭe bacchoṅ par zāhir kar dī hai. hāṅ mere bāp, kyūṅki yahī tujhe pasand āyā.
22mere bāp ne sab kuchh mere sapurd kar diyā hai. koī nahīṅ jāntā ki farzand kaun hai sivā-e-bāp ke. aur koī nahīṅ jāntā ki bāp kaun hai sivā-e-farzand ke aur un logoṅ ke jin par farzand yah zāhir karnā chāhatā hai.”
23phir īsā shāgirdoṅ kī taraf muṛā aur alāhidagī meṅ un se kahane lagā, “mubārak haiṅ vah āṅkheṅ jo vah kuchh dekhtī haiṅ jo tum ne dekhā hai. 24maiṅ tum ko batātā hūṅ ki bahut se nabī aur bādshāh yah dekhnā chāhate the jo tum dekhte ho, lekin unhoṅ ne na dekhā. aur vah yah sunne ke ārzūmand the jo tum sunte ho, lekin unhoṅ ne na sunā.”
nek sāmrī kī tamsīl
25ek mauqe par sharīat kā ek ālim īsā ko phaṅsāne kī ḵẖātir khaṛā huā. us ne pūchhā, “ustād, maiṅ kyā kyā karne se mīrās meṅ abdī zindagī pā saktā hūṅ?”
26īsā ne us se kahā, “sharīat meṅ kyā likhā hai? tū us meṅ kyā paṛhtā hai?”
27ādmī ne javāb diyā, “‘rabb apne ḵẖudā se apne pūre dil, apnī pūrī jān, apnī pūrī tāqat aur apne pūre zahan se piyār karnā.’ aur ‘apne paṛosī se vaisī muhabbat rakhnā jaisī tū apne āp se rakhtā hai’.”
28īsā ne kahā, “tū ne ṭhīk javāb diyā. aisā hī kar to zindā rahegā.”
29lekin ālim ne apne āp ko durust sābit karne kī ġaraz se pūchhā, “to merā paṛosī kaun hai?”
30īsā ne javāb meṅ kahā, “ek ādmī yarūshalam se yarīhū kī taraf jā rahā thā ki vah ḍākuoṅ ke hāthoṅ meṅ paṛ gayā. unhoṅ ne us ke kapṛe utār kar use ḵẖūb mārā aur adhmuā chhoṛ kar chale gae. 31ittifāq se ek imām bhī usī rāste par yarīhū kī taraf chal rahā thā. lekin jab us ne zaḵẖmī ādmī ko dekhā to rāste kī parlī taraf ho kar āge nikal gayā. 32lāvī qabīle kā ek ḵẖādim bhī vahāṅ se guzrā. lekin vah bhī rāste kī parlī taraf se āge nikal gayā. 33phir sāmriyā kā ek musāfir vahāṅ se guzrā. jab us ne zaḵẖmī ādmī ko dekhā to use us par taras āyā. 34vah us ke pās gayā aur us ke zaḵẖmoṅ par tel aur mai lagā kar un par paṭṭiyāṅ bāṅdh dīṅ. phir us ko apne gadhe par biṭhā kar sarāy tak le gayā. vahāṅ us ne us kī mazīd dekh-bhāl kī. 35agle din us ne chāṅdī ke do sikke nikāl kar sarāy ke mālik ko die aur kahā, ‘is kī dekh-bhāl karnā. agar ḵẖarchā is se baṛh kar huā to maiṅ vāpsī par adā kar dūṅgā’.”
36phir īsā ne pūchhā, “ab terā kyā ḵẖayāl hai, ḍākuoṅ kī zad meṅ āne vāle ādmī kā paṛosī kaun thā? imām, lāvī yā sāmrī?”
37ālim ne javāb diyā, “vah jis ne us par raham kiyā.”
īsā ne kahā, “bilkul ṭhīk. ab tū bhī jā kar aisā hī kar.”
īsā mariyam aur marthā ke ghar jātā hai
38phir īsā shāgirdoṅ ke sāth āge niklā. chalte chalte vah ek gāoṅ meṅ pahuṅchā. vahāṅ kī ek aurat banām marthā ne use apne ghar meṅ ḵẖush’āmadīd kahā. 39marthā kī ek bahan thī jis kā nām mariyam thā. vah ḵẖudāvand ke pāoṅ meṅ baiṭh kar us kī bāteṅ sunne lagī 40jabki marthā mehamānoṅ kī ḵẖidmat karte karte thak gaī. āḵẖirkār vah īsā ke pās ā kar kahane lagī, “ḵẖudāvand, kyā āp ko parvā nahīṅ ki merī bahan ne mehamānoṅ kī ḵẖidmat kā pūrā intizām mujh par chhoṛ diyā hai? us se kaheṅ ki vah merī madad kare.”
41lekin ḵẖudāvand īsā ne javāb meṅ kahā, “marthā, marthā, tū bahut sī fikroṅ aur pareshāniyoṅ meṅ paṛ gaī hai. 42lekin ek bāt zarūrī hai. mariyam ne behatar hissā chun liyā hai aur yah us se chhīnā nahīṅ jāegā.”